Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aquari
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    you highlighted very critical points acquari...baat wohi he, jo loog practicle nahi, jo loog apni dreams aur fantasy world mein rehna chahtay hein, kuch kuch kerne say aari hein, wo dehaat mein rehna pasand karein ge. aur jo loog practicle hein, naye challenges accept kerne walay hein, jinhein zindagi mein ramak nazar aati he, jinhein zindagi ba-maksad nazar aati he, jo apni zindagi ko aik tareeka kaar, nazam-o-zabt se guzaarna chahtay hein, jo apna istehsaal bardasht nahi kerna chahtay, jo kisi ki imlaak per kabiz nahi hona chahtay, jo insaaniyat ka ehtaraam kerna chahtay hein, wo shehri zindagi ki he khawahish karein ge.

    yes baat bilkul yehi hai..k zindagi main agey barhna chaheya or agey barhney k liyaa ird gird k mahool main aisey rastey or mooqa mayasair honegy tub hi humzindagi ki da'ur main agey barh sakain geyy...
    Abb lets wait k Team A kyaa dallelain mazeed share kerti haii :)

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    you highlighted very critical points acquari...baat wohi he, jo loog practicle nahi, jo loog apni dreams aur fantasy world mein rehna chahtay hein, kuch kuch kerne say aari hein, wo dehaat mein rehna pasand karein ge. aur jo loog practicle hein, naye challenges accept kerne walay hein, jinhein zindagi mein ramak nazar aati he, jinhein zindagi ba-maksad nazar aati he, jo apni zindagi ko aik tareeka kaar, nazam-o-zabt se guzaarna chahtay hein, jo apna istehsaal bardasht nahi kerna chahtay, jo kisi ki imlaak per kabiz nahi hona chahtay, jo insaaniyat ka ehtaraam kerna chahtay hein, wo shehri zindagi ki he khawahish karein ge.

    Leave a comment:


  • aquari
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi


    Shorrow Allah k naam sey jo bara mehrban nehyata rehm kerney wala haii
    Shehri Zindagi

    Hum shehroo main rehney waley loogo ko loog bemurawat,khud gharz ,adam bezar etc etc is qism k alfazoo sey nawaztey hain ...kunk humari zindagiya bauht fast chal rahi haii..hum waqt k saath qadm sey qadm mila ker chalney ki koshish main kabhi kabhi apni zaati zindagi ko peechey choor detey hain...hum is main huqbajanib bhi tu haii kal ko koi bura waqt aye gaa tu kon kifalat ki zimdari bharey gaa....shehri zindagi kum sey kum humain apney pairoo main khara kerti haii ,humari imlak kisi jagirdar k pass qarz main liya howey $ k awez girwi nahi parii hoti ..hum sey ghalat kaghazoo per anghootey nahi lagwayee jateyy k ,larkiyoo k gher k under taleem sey dur nahi rakhaa jata na hi kisi jhagrey ko sort out kerney k liyaa humaain khoon baha main diya jata haii...aurtoo k liya sirf faraiz ki adayegii ki baatnahi ki jatii haqooq bhi bataye jatey hain...
    Is shehr ki bheer main her koi masroof zaroor hai pr woh janta haii kis simt ko jaraha hai,ussey itna sha'or apni taleem ,apney ird gird k mahool sey milta haii k woh poori duniya main kahi bhi asani sey move krsakain ...
    ager sirf larkkiyoo ki taleem k hawaley sey hi baat ki jayee tu saaf farq nazar ata haii dehat ki larki ager 4jama'tain bhi parh jaye tu bari baat hai jub k yahan larkiya school colleges universities her jaga talemm asani sey hasil ker sakti hai or kisi bhi gher ko chalney k liyaa isrf $ hi tu nahi chhayeaa us ki gher ki aurat ko bhi taleem k zewar sey arsta hona zaroori hai..werna woh sahi tarbiyat kaisey karey gii jub khud hi us ko haqooq ka nahi pata tu woh baqioo ko kya sikhaye gii...us ek k taleem yafta or bashao'or honey per poora konba depend kerta haii..
    Is k elawa shehrii mahool insan ko sha'or deta haii ...kum sey kum khandani jhagroo ki bhent nahi charhta koi nau'jawan...na hi jaidad ki masloo main parta haii ussey maloom hota hai k virasat k kya usool haii....jirga k hatdharam or janibadrana faisloo k agey ussey sir nahi jhukana partaa..woh apni zindagi k faisley khud ley sakta haii ..zaberdsati k faisley koi musalat nahi kerta kunk woh itna basha'our hota haii k sahi or ghalat dekh sakain or jis ghr main tarbeet pata haii us k parents bhi ager taleem yafta or sensible loog hai tu woh apni aulad ko is maqam tak poohnch adetey hain k un ki aulad sahi or ghalat main tameez ker sakain na k khandi jhagroo or faltoo ki baatoo main woh apni aulad ki khushi ka hi gala khount dey ...k ager tum ney baat na manii tu humain nuqsan hojaye gaa ya etc etc
    Meri nazar main shehri zindagi ka sub sey behtren faida taleem,aurat ka maqam or sha'or haii

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Adnan, aap ne jo kuch likha is se mein kisi had tak itfaaq zaroor karon ga ke aap ki baaton mein kuch sadaqat zaroor he :thmbup: lekin...lekin bilkul aisa bhi nahi he :) aik shair he

    Hay justaju ke khoob se he khoob-tar kaha
    Ub theherti he dekhiye ja ke nazar kahan

    Insaan mein aik imteyaazi aur judagana khoobi yeh he ke, yeh khoob se khoob tar ki talaash mein rehta he. Isi mein is ki behtari aur bakaa chupi he. Darwan jo ke aik mash'hoor scientist tha jis ne theory of evolution pesh ki...us ne irtakaa ke jo nazriye pesh kiye aur aik statement introduce kerwai "survival of the fittest". Is ke mutabik jo jo jandaar apnay aap ko mahool ke mutabik bana leta hein un ke survive rehnay ke chances ziada hotay hein. Jub ke jin janwaron ne apnay aap ko mahool ke mutabik na dhaala un ki afzaish ruk gai aur wo species na-paid ho gaein.

    Mere bhai miyaan aap khud bataiye, aap ki zindagi mein hospital, buchon ke achay schools, computer colleges, social welfare ke idaray ziada ehmiyaat rakhtay hein ya ke chaara kaat'na. Hum musalman peechay kyoon hein west se, is ki aik bunyaadi waja yeh he, ke hum haath se kaam kerna pasand kerte hein jub ke wo dimaag se. Hum goo ke apnay aap ko bohat hardworking kehtay hein, ke hum ne chaara kaat lia, to pata nahi ki teer maar lia. Lekin aap khud dekhiye aap kub tak khud haathon se chaara kaatein ge. Angreezon ne to machinein bana le hein, jo 2 min mein yeh sara kaam ker leti hein. Hum apnay dimaag ko kub tak aaram dein ge, hum kub tak practically sust aur kahil banay rahein ge. Hum kub tak billi ko dekh ke aankhein bund karein ge. Ub waqt aaya he ke old customs and traditions ko aik side pe rakh ke aagay berhnay ka...sheher mein aao...achi taleem hasil karo, apna meyaar-e-zindagi buland karo, aik mohazab koom bun ke duniya ke nakshay pe nazar aao. Chara kaatna bund karo, yeh kaam machinein ker lein gi, ager aap phir bhi kudarti mahool ko enjoy kerna chahtay ho to ilm hasil karo...paisa kamao, phir un se form house khareedo aur apni chutiyaan saaf suthray hygenic kudarti mahool mein ja ke guzaaro...aap ko kudrat se koi peechay nahi ker raha. Aap apni development to na rooko...inspiration lo miyaan.

    Ub baandh kamar kia derta he
    phir dekh khuda kia kerta he

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Originally posted by Aanchal View Post
    mundiya rules main parha nahi kay koi dosri team pay tanqeed na karay aap nay sirf apni baat batanai hai
    aap dehati zindagi kay against baat kar saktay hain lekan kisi member ki post ko target bana kay nahi :thmbup:
    marks aap ki team kay cut jaian gay rule is rule :lpop:

    kis team nay kitnay solid proof deye us ka fasila judge karain gay :thmbup:
    Aap apnay asool thooray say naram keejiye, warna maza nahi aaye ga homoepathic debate ka. aap bataiye mein moun utha ke kisi ki post ka reference diye bagair kia likhon...baat se baat chalti he bibi, thoora sa aggression ho is mein koi muzaika nahi hota, is se game ki spirit barhti he. ager phir bhi aap ko aitraaz he, to mere baki paanch shair he yahan larein ge mein chup ker ke dekh loon ga:lpop:

    Leave a comment:


  • Soulmate
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Asslam o ALycum All
    Specially to All members of Team A
    Friendzzz ye rahi mere entry
    Attached Files

    Leave a comment:


  • .
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    jo mein ne ouper itna lamba lecture diya he usay quote ker ke apnay comments deejiye...come up with solid and logical proof...don't beat about the bushes :lpop:
    mundiya rules main parha nahi kay koi dosri team pay tanqeed na karay aap nay sirf apni baat batanai hai
    aap dehati zindagi kay against baat kar saktay hain lekan kisi member ki post ko target bana kay nahi :thmbup:
    marks aap ki team kay cut jaian gay rule is rule :lpop:

    kis team nay kitnay solid proof deye us ka fasila judge karain gay :thmbup:
    Last edited by .; 10 April 2007, 22:32.

    Leave a comment:


  • Soulmate
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Best of luck 2 my team yani ke Team A
    tu dosto mein bas abhi thori der mein aaya apne topic ke saath yani ke

    Dehati Zindgi

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Originally posted by ummid View Post
    aap se yeh kis ne kaha ke kacche anganu.. I mean dehati gharo mein saholiyat ka foqdan hota hai.. yeh baat bilkul hi ghalat hai... dehi zindagi aur kacche gharo mein buniyaadi zaroriyat mayaser hoti hai... aur raha sawal sookon milne ka tu janab Zindagi mein sukoon ho tu na dehi zindagi se koi khas farq perta hai aur na shahri zindagi se.. yeh aik alag topic hai..:na:
    jo mein ne ouper itna lamba lecture diya he usay quote ker ke apnay comments deejiye...come up with solid and logical proof...don't beat about the bushes :lpop:

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Originally posted by NaQsh View Post
    tum bhi na amir abh khud hee laro khud hee bolo
    ager yahan hassi allowed hoti to mein bohat ounchi aawaz mein bhi huss sakta tha :khi:

    chalo ji team A ki aik member to walk out ker gai :khi:

    Leave a comment:


  • ummid
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    ummid aap mera ouper wala matter perhiye, aur bataiye ke aap ko wo mehakta makaan chahiye jahan buniyaad zarooraton ka fukdaan ho, jahan aap haq per awaz na utha sakein, jahan aap ki zubaan ko wadeeray taala laga jaein, jahan loog kasampursi ki zindagi basar karein, jahan beemaron ke liye hasaptaal na ho. Jahan loog aap ke aanay jaanay, khanay peenay pe nazar rakhein, ya aap ko wo makaan chahiye jis pe aap apni merzi se aik ba'izat zindagi basar kare sakein. Jahan aap ko dil aur dimaag ka skoon milay. Bataiye mujay

    aur NAQSH

    tumharay dehaat ki gali gandi he...kisi chooray ko kaho ke saaf ker de :blush:
    aap se yeh kis ne kaha ke kacche anganu.. I mean dehati gharo mein saholiyat ka foqdan hota hai.. yeh baat bilkul hi ghalat hai... dehi zindagi aur kacche gharo mein buniyaadi zaroriyat mayaser hoti hai... aur raha sawal sookon milne ka tu janab Zindagi mein sukoon ho tu na dehi zindagi se koi khas farq perta hai aur na shahri zindagi se.. yeh aik alag topic hai..:na:

    Leave a comment:


  • NaQsh
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    tum bhi na amir abh khud hee laro khud hee bolo

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    Mein aap sub ke logical views ko welcome karon ga, lekin illogical, aur bagair ser pair ki baat na keejiye. We are not living in the dreamland or the world of fantasy. Bahadur loog wo hotay hein jo her kism ke challanges ka samna kerte hein, jo aagay berhtay hein, jo ba'maksad zindagi guzaartay hein. Jinhein apnay insaan honay pe fakhar he, aur jo insaaniyat ki falaah ke liye kaam kerte hein

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    ummid aap mera ouper wala matter perhiye, aur bataiye ke aap ko wo mehakta makaan chahiye jahan buniyaad zarooraton ka fukdaan ho, jahan aap haq per awaz na utha sakein, jahan aap ki zubaan ko wadeeray taala laga jaein, jahan loog kasampursi ki zindagi basar karein, jahan beemaron ke liye hasaptaal na ho. Jahan loog aap ke aanay jaanay, khanay peenay pe nazar rakhein, ya aap ko wo makaan chahiye jis pe aap apni merzi se aik ba'izat zindagi basar kare sakein. Jahan aap ko dil aur dimaag ka skoon milay. Bataiye mujay

    aur NAQSH

    tumharay dehaat ki gali gandi he...kisi chooray ko kaho ke saaf ker de :blush:

    Leave a comment:


  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: game b/w Team A n B.... Dehai zindagi V shehre zindagi

    yellowsky ne ibtada do tasaveer share ker ke ki, ouper wali tasveer kisi soorat bhi dehaat ki numaindgi nahi kerti, yeh kis retired army officer, kis col. ya kisi baray businessman ka entertainment area lagta he, luxury vilas banaye dikhaye gaye hein, aur na he aisay garon ki deewarein itni chooti hein ke aik ghar mein paktay khanay ki khushbu doosray ghar mein ja sakay, bibi ghareeb loogon aisay makaan kahan banatay hein. aur doosri tasveer ko mein handycraft stuff kahon ga, jis mein kisi purani tehzeeb ko dikhaya gaya he...mukhtasir yeh ke yeh tasaveer kisi soorat mein pakistan ke kisi dehaat ki akaasi nahi kertein. aur na he mazahir ki baatein aik typical dehaat ki akaasi kerti hein.

    Aray Mazahir miyaan, kabi dehaat mein ja ke dekho, aap to barish ke baad soondhi soondhi khushbu ki baat ker rahay ho us barish ke baad ki nakasi'e'aab ka intzaam dekha kabi. aray miyaan bainson ke goober aur keechar ke maleeday se jo taafun uth'ta he kabi usay bhi soongna :hehe: dekh miyaan tu laakh sakeel urdu bool, lekin baat merboot aur logical ker. let me sort out some critical matters which are required ur grave attention.

    Mujay bata, gairat ke naam pe katal kahan hota he dehaat mein...alright.

    Kala jaadu, toonay tootkay, tohmaat, kin ilaakon ki paidawar hein, dehaat ki. zahir si baat he jahan loogon perhay likhay nahi, ba'shaoor nahi, un ka zehan to aisi fazooliyaat ki amaajgaah banay ga he.

    Aaj ki aurat ka istehsaal kahan ho raha he, dehaat mein. Sheher mein aurat ba'shaoor he, apnay hakook ke liye larna jaanti he.

    dehaat mein to loog haath dhoo ke shayad he kabi khana khatay hon. chootay chootay buchon ki larai se chalti chalti baat auraton ki larai aur dheenga mushti pe ja pohanchti he aisa kahan hota he dehaat mein.

    zameen kisi ki, kabza kisi ka. mehnat koi karay, phal koi leta he, kisi pe ehsaan ker ke, kisi ghareeb se chand paison ke iwaz loogon ki betiyon ki sooday baazi kahan hoti he...dehaat mein.

    jungle ka kanoon kahan hota he, dehaat mein. Dehaat mein to koi apnay chauhadry aur wadeeray ke saamnay aankh tak nahi uthata...aisa sheher mein to nahi hota mere pyaar bhai.

    Ub tu khud bata, makaan ki mitti ki soondhi soondhi khushbu ke iwaz insaan apni insaaniyat aur apni zindagi baich daalay, yeh kahan ki akalmandi he...kia baat kerte ho miyaan. Aik mohazab insaan kabi bhi nahi chahay ga ke us ke buchay dehaat ke mahool mein unperh loogon ke dermeyaan perwan charhein.

    Aap loog bataiye...kia aap loog chaho gay ke aap ke buchay dehaaton mein palein barhein? meri is baat ka jawaab zaroor dejiye ga.

    Leave a comment:

Working...
X