Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

UPDATES: Itna inteyhai Qadam???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • UPDATES: Itna inteyhai Qadam???

    Jang

    Poor parents give child to clear hospital billDawn
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Itna inteyhai Qadam???

    for a time being its ok...but this couple should not give birth to a child as they don't deserve 2 b the Parents
    Last edited by Shaim; 25 March 2007, 17:11.
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: Itna inteyhai Qadam???

      very bad

      Comment

      • #4
        Re: Itna inteyhai Qadam???

        its so bad situation aorr our govt bhee kuchh nahee kerr rahee iss baree main
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment

        • #5
          Re: Itna inteyhai Qadam???

          well kiya kahoon?
          ye post buhat pehle dekhi per reply samajh nahi a raha tha
          poverty insaan ko itna ziada majboor ker deti hai?
          ager PARENTS hayaat hoon to her bacche ka poora HAQQ hota hai un per or PARENTS ka farz bhi hoota hai k uski nashronuma thiik se karin
          per aise halaaat main........i wud say the same thing......shaid babies ko birth nahi deni chahye ager halaat aise hoon.....q k us masoom ka HAQQ chin jata hai yuun.....

          Comment

          • #6
            Re: UPDATES: Itna inteyhai Qadam???

            mere answer ko kis ne edit kia :fuming:

            kia ghalat tha us mein...sachi baat he ki thi :fuming:
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: Itna inteyhai Qadam???

              Originally posted by Me Here View Post

              jo loog apnay buchon ko paida ker ke phaink dete hein, ya sell ker dete hein...mein kia bataon ke un parents ke baray mein mere dil mein kitni mohabat he...bus itna kahon ga ke aisay loogon ko ager jala bhi diya jaye to bhi mere dil ki aag thundi nahi ho gi :fuming:
              :thmbup:

              Comment

              • #8
                Re: UPDATES: Itna inteyhai Qadam???

                to es main burai kee konsi bat hay theek hee to kia hay................heheh

                jab pehly etni ghurbat hay jo pher bacha paida kerny kee kia zarorat hay....
                aur jab paida ker lia hay to os ka rizak os k hath main hay hee nahi wo to khuda k hath main ......aisy logon ko buhat karri saza daini chayee.....

                Comment

                • #9
                  Re: UPDATES: Itna inteyhai Qadam???

                  Originally posted by Khalil View Post
                  to es main burai kee konsi bat hay theek hee to kia hay................heheh

                  jab pehly etni ghurbat hay jo pher bacha paida kerny kee kia zarorat hay....
                  aur jab paida ker lia hay to os ka rizak os k hath main hay hee nahi wo to khuda k hath main ......aisy logon ko buhat karri saza daini chayee.....
                  ager tu ne kabi aisa kia to tujay saza mein doon ga :lpop:
                  :thmbup:

                  Comment

                  • #10
                    Re: UPDATES: Itna inteyhai Qadam???

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    mere answer ko kis ne edit kia :fuming:

                    kia ghalat tha us mein...sachi baat he ki thi :fuming:
                    maine hi edit kara hai bhai:)
                    n i think reason apko pata ho gi or ager nahi to ok PM mai bata deti hoon

                    KHUSH RAHYEE!:)

                    Comment

                    • #11
                      Re: Itna inteyhai Qadam???

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      jo loog apnay buchon ko paida ker ke phaink dete hein, ya sell ker dete hein...mein kia bataon ke un parents ke baray mein mere dil mein kitni mohabat he...bus itna kahon ga ke aisay loogon ko ager jala bhi diya jaye to bhi mere dil ki aag thundi nahi ho gi :fuming:

                      Listen Bhai!

                      jo feelings apki hain main us se .001% bhi disagree nahi per main tasweer k dono taraf dekhna chahti hoon
                      tasweer ka dosra rukh yahi batata hai k "GHURBAT & MUFLISE" wo cheezin hain jo ik insaan se uska IMAAN tak cheen lete hain.....
                      ise silsile main apne ik HADITH bhi suni ho gi

                      "MUFLISE INSAAN KO KUFR MAI MUBTILA KER DETI HAI"

                      ik Islamic history ka waqya bhi hai ise silsily main
                      ik SAHABI the (Sahabi means that HE was companion of PROPHET PBUH),un per muflise ai to unho ne pait bherne k lye choori ki.....wo Hazrat Ali RA k paas lae gae to Hazrat Ali RA ne farmaya k is mai iska qasoor nahi beshak muflise insaan ka imaan cheen leti hai.........or ye wahi SAHABI the jo k her mumkin koshish kerte the ISLAM k mutabiq chalne main

                      Main ye nahi kahoon gi k ye event koi buhat accha event hai.....well apna blood kise azeez nahi hoota.......jis ilaaqy ki baat ho rahi hai wahan awareness bhi zahir hai hamare areas se kam hi hoo gi.....+ main factor MUFLISE ka hai......
                      jo hoa wo ghalt tha or apki jis bat ko edit kara hai.....i too agree with that k aise situations mai bachon ko birth hi nahi deni chahye.....

                      anyhow hope u got me:)
                      ik or bat jo kehna chahoon gi.........
                      ager hum sab SAHIB E ZAKAT log ZAKAT pay karin to koi bhi ZAKAT lene wala na rahy:)
                      atleast in situations ko dekh ker hum sabko strickly ZAKAT ki taraf aana chahye......is mai NAFS ka jihaad bhi shamil hai:)

                      KHUSH RAHYYE!
                      WASALAM!

                      Comment

                      • #12
                        Re: UPDATES: Itna inteyhai Qadam???

                        @ Me here

                        acc. to my knowledge Islam family planing ki ijazat deyta hai kuch reasons ki base pey

                        now if you consider RIZQ as only reason to not have a child, is totally wrong and it is not Permissible in Islam coz Raziq is ALlah T'ala aur her bacha is dunya mey apney sath Rizq ley ker aata hai

                        now @ topic

                        mujhey abhi tak nahi samaj aai key is saari situation mey ghalti pey kaun hai....
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #13

                          Mehere sister

                          Got ur point...i know ke muflasi mein insaan se koi baeed nahi...choori mein haath kaatnay ki saza he, lekin us soorat mein jub moaashray mein muflasi na ho, aur insaan jub bhooka ho aur us ke liye koi option na bachay to wo haram janwar ka goost tak bhi kha sakta he...its all understandable..but but but

                          kuch cheezein Allah Taalah ne insaan ke haath mein bhi rakhi hui he, isi liye to wo saza -o- jaza ki kasooti pe parkha jata he. Chand din pehlay BBC mein India mein buchon ki neelami ki khabar perhi, aur neelam honay walay buchay haath mein poster uthay thay...yeh dil dehla dene wali soorat-e-haal he atleast mere liye. Dekho insaan ko apni istataat ke mutabik kadam uthana chahiye, ager wo ziada buchon ka pait nahi paal sakta to ziada buchay paida na karay...her baat ka ilzaam Allah pe dhar dena...akalmandi nahi...Allah ne insaan ko Aqal bana ke baija he aur us pe kuch zumadaariyaan aaid ki hein, jin ka wo paband he. still mere point wohi he, jo loog buchay paal nahi saktay mut paida karein
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: UPDATES: Itna inteyhai Qadam???

                            Originally posted by yellowsky View Post
                            @ Me here

                            acc. to my knowledge Islam family planing ki ijazat deyta hai kuch reasons ki base pey

                            now if you consider RIZQ as only reason to not have a child, is totally wrong and it is not Permissible in Islam coz Raziq is ALlah T'ala aur her bacha is dunya mey apney sath Rizq ley ker aata hai

                            now @ topic

                            mujhey abhi tak nahi samaj aai key is saari situation mey ghalti pey kaun hai....
                            dekho...yahan pe loogon ki soochon ko zank laga hua he...loogon ko islaam ka sahi se pata nahi, aur jitni ghaltiyaan hein wo islam pe thoop dete hein...Islam mein yeh kahin nahi ke aap buchon ka dheer lagatay jao aur un ki perwarish achi na karo...yeh koi logic nahi ke buchay pe bucha paida kerte jao aur is ka ilzaam phir Allah pe de daalo
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: UPDATES: Itna inteyhai Qadam???

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              dekho...yahan pe loogon ki soochon ko zank laga hua he...loogon ko islaam ka sahi se pata nahi, aur jitni ghaltiyaan hein wo islam pe thoop dete hein...Islam mein yeh kahin nahi ke aap buchon ka dheer lagatay jao aur un ki perwarish achi na karo...yeh koi logic nahi ke buchay pe bucha paida kerte jao aur is ka ilzaam phir Allah pe de daalo
                              hmmm
                              mey inshAllah Quran ki wo ayat azroor quote karun gi jis mey ye likha hai ...mujhey search kerna ho ga inshALlah

                              aur sialkoty yahan kisi ney bhi Islam ko blame nahi kiya hai......
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              Working...
                              X