Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: Islam aur Ham??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Islam aur Ham??

    :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba
    kiya haal ho gya is thread ka....................?

    Comment


    • #62
      Re: Islam aur Ham??

      Originally posted by Me Here View Post
      :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba
      kiya haal ho gya is thread ka....................?
      barish to nahi hu rahi ..............hal kia huna hay es ka:eye:

      Comment


      • #63
        Re: Islam aur Ham??

        Originally posted by Me Here View Post
        :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba
        kiya haal ho gya is thread ka....................?
        :mm: I am amazed keh aap ney aisa likha - pehli baar kisi ney kuchh mana hai aur aap ney ussey pick nahin kiya!!!!!
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #64
          Re: Islam aur Ham??

          Originally posted by Masood View Post
          :mm: I am amazed keh aap ney aisa likha - pehli baar kisi ney kuchh mana hai aur aap ney ussey pick nahin kiya!!!!!

          Bhai maine shuro ki discussion perhi thi.......n i was thinking k ye to wo topic hai jis main atleast MUSLIMS mai koi contradiction nahi hona chahye
          thatz y i said that

          i ll poke my nose soon :insha:

          Comment


          • #65
            Re: Islam aur Ham??

            Originally posted by Khalil View Post
            barish to nahi hu rahi ..............hal kia huna hay es ka:eye:

            pichli barish k asraat hoon ge phir:blush: :blush:

            Comment


            • #66
              Re: Islam aur Ham??

              Originally posted by Me Here View Post
              Bhai maine shuro ki discussion perhi thi.......n i was thinking k ye to wo topic hai jis main atleast MUSLIMS mai koi contradiction nahi hona chahye
              thatz y i said that

              i ll poke my nose soon :insha:
              Barish ....end tak perhna tha na :P

              btw mujhey aap ki reply sey pata chal gaya tha key aap ney issey poora nahi perha :D

              i'll be waiting for your thoughts :insha:
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #67
                Re: Islam aur Ham??

                Originally posted by Khalil View Post
                Sab sy pehly to main aap ko bata don k es main Ulma Ekram ka qat'an koi bee kasoor nahi hay aur jo kasoor hay wo hum sab ka apna hay
                kiun k hum ny sab kuch Ulma ekram per choara huwa hay.....
                Namaz sirf Ulma parha sakta hay
                Namaz Jinaza aalim paraha sakta hay
                Shadi main Nikah aalam perha sakta hay
                Ger main koi bee Rasam hu os main Khatam shareef aik Molvi ya aalim hee ker skata hay........

                Jab hum ny sab ko Un per chora hua hy to en per Elzam kiun?
                Hum KHudh koi kaam kiun nahi karsaty...
                Kia aik father apni beti ka NikaH khudh nahi parha sakta ....kia wo apny father ka namz jinaza nahi parha sakta?
                Kia osy 6 kalma nahi atey..............aur mujy yakeen hay k jo loag namaz jinaza parr rahy huty hian 100 main sy siraf 10 ko hee ata huga k kaisa adaa kerna hay..........................any way Ulma Ekram ny jitna Islam k liy kaam kia hay Hum kabi bee UN per tanked nahi kar skaty thay are Great.

                aur bakee rahi Baat Islam kee
                K aap ny kaha hay k Humain Jo Hazrat Muhammad SAWW Ny Islam dia hay wo to aaj nazer hee nahi araha hay....................
                TO es k bary main yeh kehna chahoon ga k ab hum main jo Islam hay
                wo ya to Imam Abu hanifa ka hay ya imam shafee ka ya pher Imam Jafar sadiq ka.............................(yehan per aik alag behes chirr jay gee:khi: )
                Personaly main siraf wo islam ko manta hun Jo main ny Hazrat Muhammad SAWW k bary main suna hay ya pher wo jo mera dill manta hay...
                Kiun k jaisa k quran main hay k Apps main tafarka main na paroo.....
                to ager hum kisi main maslak main jain to yeh firka bandi hay jo ALLAH
                Ny bilkul hee mana frmaya hay to pher hum Khuda k Hukam kee khilaf warzi ker rahay hain.
                aur chalian ager hum Sunni siraf firka kee baat karain to es main bee agy aik Imam dosri kee dalil ko radd ker raha huta hay...............aur bee siraf apny zati ejtihad per................to pher hum kia karian gy? jab apny hee Imam aaps main ulj rahy hain?
                ager hum ny es dunia man aur alam Islam main Yakta hun hay to humain
                as Insaan rehna huga.....meri baat main zra ghoor karian
                as insaan................pher as muslim............
                jab tak hum aik achy insaan nahi hungy aik acha Muslim nahi hu sakty...aur ager hum Ik Insaan huker sab k bary main sochy gy to acha hee sochy gy
                mager jab hum aik Muslim ban ker sochty hain to siraf dosry muslim k bary main hee sochty hian..................hamary diloon main bakee mazahib k liy nafrat hay...........ager hum as Insaan sochy gy to wo nafrat humain nazer nahi aye gee..inshaALLAH...

                hamra pegham muhabbat huna chayee jaisa k hamary tamam Sofia Ekram ka tha...Tmama Insaniyat k liy muhabbat..............
                Thanks
                Thats all.
                shukran khl

                Agar aap ney pichli saari posts perhi hoti to aap ye na kehtay key "Ulma per Elzam kaisa"

                Mey phir sey clear ker deyti hun is thread ka maqsad Kisi per tanqeed--kisi per bhi Elzaam tarashi nahi hai ...:thmbup:

                @ your Islam point

                Yahi to saari baat hai issi liye we should get back to the roots

                ab aap key do points

                1- "Jo mey ney Hazrat Muhammad (s.a.w) key baarey mey suna hai"
                SUna hai kya matlab??

                2- aur aap ka ye point key "Ya phir wo jo meyra dil maanta hai"
                aap issey bhi explain karo gey :insha:

                @ Pehley Insaan phir Musalman

                Agar hum is baat per Amal karein to Insaan ban'ney key liye jo Asool aur Qawaid hein wo hamein kahan sey milein gey??

                Islam hi wo Mazhab hai jis ney Insaan ko us ka sahih darja diya hai

                Is per aap phir bhi kuch kahein gey ....your are more than welcome :insha:
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #68
                  Re: Islam aur Ham??

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Tum ne bilkul sahi kaha, hamein Quran perhaya jata he samjaya nahi jata, hamein yeh nahi pata ke hamra deen start kahan se hota he aur khatam kahan pe...chand din pehlay mein ne apni aik cousin ko visit kia jis ka betha hifz-e-Quran ker raha he...mujay dekh ke booli dekho aamir mere beta kitni achi talawat kerta he...usay ishara kerne ki der thi ke us ne pata nahi mujay kia kia suna diya...mein ne poocha ke kia tujay is ka terjma bhi aata he. meri cousin booli ke wo quran hifz ker raha he yeh kum he kia jo terjma bhi yaad karay...yeh to haal he hamari koom ka...taleem ki kami, aur saath mein akal ki bhi kami. Quran ke baray mein ager soocha jaye ke yeh kia he aur kyoon he, to hamein pata chalta he ke yeh Allah Taalah ka peegham he jo insaanon ke liye he...ager insaan arabic perh ke sawaab hasil karein aur asal pegham ko samajnay ki kooshish he na karein to aap khud he aisi koom ki zehni pasmandgi ka andaza laga sakti hein. Yaani jis maksad ke liye Quran baija gaya, wo maksad he pura nahi ho raha...ager sub musalman Quran ko sahi tareekay se samaj ke perh lein to mere nahi khyaal ke firka wariyat ke naam - o- nishan bhi rahay ga. Asal cheez he zehan ki pukhtgi...Andha yakeen sirf Khuda ki zaat ke kisi pe nahi kerna chahiye...her cheez ko samajna chahiye...justaju honi chahiye...loog soochna shuru ker dein...loogon mein aagahi paida ho gi...shaoor janam le ga...aur phir sabi loog Aik he Quran talay jama ho jaein ge. loogon ko shuru se he proper guidance chahiye, ta ke wo bhatkein nahi...
                  aur yeh kaam aik aurat ker sakti he, apnay buchay ko tarbiyat de ke. lekin ager maan he un-perh na samaj ho gi to moaashra to gumrah ho ga he.
                  :)

                  baat wahi hai na key aik Maa agar khud un-perh ho gi to wo aagey apney bachon mey kya cheez muntaqil karey gi

                  aur baat phir hamari soch pey aa jati hai ......Mey yahan bilkul bhi kisi bhi Maa ko ghalt nahi kahun gi ....kyun key ajeeb soch hai hamari society ki jo key zamaney sey chali aa rahi hai aur ussey ab theek kerney ki zaroorat hai

                  deykhein hamarey haan Taleem hassil kerney ka sole maqsad aagey "job" kerna hai.....ab yahan sirf aik larki ki baat kertey hein.....kafi logon ka khayal hota hai key kaun sa hamari beyti ney aagey ja ker "Naukri" kerni hai jo ye degrees pey degrees liye ja rahi hai

                  aur aik aur cheez bhi thori diff. hai ho sakta hai sirf meyrey liye ho

                  Pakistan mey 90% larkiyon key zeyhan mey aik hi baat hai (ye baat un key zeyhan mey daal di gai hai) wo ye key graduation khatam ab ho jaye gi hamari shadi .....so they are more towards beauty.....cooking and stuff

                  beauty consious hona ya cooking bilkul ghalt nahi hain....balkey bilkul bhi ghalt nahi hain magar jo barhey hein wo ye baat bhool jatey hein key aagey issi larki ney aik poori generation nikaalni hai to issi ki education diff. tareekey sey honi chahiye...
                  agar ye awareness aa jaye to kya hi baat hai :insha:

                  do u see wat i mean?
                  Last edited by Z.; 16 February 2007, 01:17.
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #69
                    Re: Islam aur Ham??

                    Originally posted by yellowsky View Post
                    shukran khl

                    Agar aap ney pichli saari posts perhi hoti to aap ye na kehtay key "Ulma per Elzam kaisa"

                    Mey phir sey clear ker deyti hun is thread ka maqsad Kisi per tanqeed--kisi per bhi Elzaam tarashi nahi hai ...:thmbup:

                    @ your Islam point

                    Yahi to saari baat hai issi liye we should get back to the roots

                    ab aap key do points

                    1- "Jo mey ney Hazrat Muhammad (s.a.w) key baarey mey suna hai"
                    SUna hai kya matlab??

                    2- aur aap ka ye point key "Ya phir wo jo meyra dil maanta hai"
                    aap issey bhi explain karo gey :insha:

                    @ Pehley Insaan phir Musalman

                    Agar hum is baat per Amal karein to Insaan ban'ney key liye jo Asool aur Qawaid hein wo hamein kahan sey milein gey??

                    Islam hi wo Mazhab hai jis ney Insaan ko us ka sahih darja diya hai

                    Is per aap phir bhi kuch kahein gey ....your are more than welcome :insha:
                    Good point noted :thmbup:
                    Another good point noted :thmbup:

                    (i m sure u'll be a good journalist one day :insha: )
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #70
                      Re: Islam aur Ham??

                      Originally posted by yellowsky View Post
                      Itney payarey madhab key hum ney 1000 tukrey ker diye hein? Hamarey Ulma ney issey itna interpret kiya hai key hamein wo Islam jo Prophet Muhammad(s.a.w) ney seykhaya tha kaheen nazar hi nahi aata hai---Hamein ye to kaha jata hai key namaz perho ? magar ye nahi bataya jata key kyun perho? hamein ye bhi nahi bataya jata key Islam ka aghaaz sirf namaz perhney sey nahi hota hai balkey is sey pehley bhi bohot kuch kerna hota hai? Hamein bachpan mey Quran seykhaya jata hai leykin sirf Perhna? aur poori zindagi hum issey sirf perhtey rehtey hein without knowing key jo kuch hum perh rahey hein us ka matlab kya hai?
                      filhaal mey issey yaheen khatam kerti hun


                      just pause for a while and think key hum kahan kharey hein?aur ye bhi key jab aap sey ye kaha jaye key Islam kya hai to aap us ka jawab kaisey do gey?



                      Quran wo kitaab hai .. jisey samajh aa jaye Jannat us ki ..
                      Parents ya barron ko blame nahen ker saktey har giz .. kion wo hamen skool bhi bhejtey hain .. jab ham wahan usey continoue rakhtey hein apney liye fields chuntey hein .. to definately .. Ashraful makhlooqaat honey ki waja se .. ham aqal band to ho jatey hein .. kam aqal bhi lekin kabhi BE AQAL nahen ho saktey .. is liye jo soch sawal ker sakti hai .. wohi soch QURAN PAAK ko open ker ke parhey samjhey to kion kar har sawal ka jawab nahen milta ..
                      ye do sawal sirf DO sawal nahen hain .. CHAIN of questions ban jaatey hein .. aur yehi aap ko yehan .. nazar bhi aaye gaa .. Well I would like to bring Aayah from Quran to explain the answer n reasons in detail. inshaAllah soon
                      Visit My Early PS Work
                      You Are Welcome To Comment

                      Comment


                      • #71
                        Re: Islam aur Ham??

                        Let me sum up in less words. Quran Allah ka pegham he...hamein isay samajna he, Almiya yeh he ke mein ne jis se Quran perha yeh baat to us ne bhi mujay nahi batai thi. Allah ka pegham samajnay ke liye ye na ke sirf perhnay ke liye, it should be clear.

                        Jahan tak auraton ki taleem aur professionalism ka taaluq he, to mein yeh kahon ga ke aagahi ki zaroorat he...meri teen chooti sisters diff subjects mein Masters ker rahi hein, i don't think ke mein unhein kabi job ke liye kahon ga, aur mein yeh bhi jaanta hoon ke un ke masters ke baad jo aagay perhna chahay wo bhi perhay gi. Mere nazdeek maan baap ki taraf se sub se acha jaheez apni beti ko achi taleem ke zewar se aarasta kerna he. Isi tarah mein ager apni behnon ko ziada jaheez na de saka to yeh sooch ke justify ker jaon ga ke chalo jaheez se bari cheez to mein ne de he di.

                        Ager hum apnay aap ko modernize kerne ki baat kerte hein to hamein apni sooch ko bhi modernize kerne ki zaroorat he. her kaam sirf apnay he faiday ke liye he kyoon. Maan baap ko chahiye ke apni buchiyon ko perhai ta ke wo apnay buchon ko achi tarbiyat de sakein.
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #72
                          Re: Islam aur Ham??

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          Let me sum up in less words. Quran Allah ka pegham he...hamein isay samajna he, Almiya yeh he ke mein ne jis se Quran perha yeh baat to us ne bhi mujay nahi batai thi. Allah ka pegham samajnay ke liye ye na ke sirf perhnay ke liye, it should be clear.

                          Jahan tak auraton ki taleem aur professionalism ka taaluq he, to mein yeh kahon ga ke aagahi ki zaroorat he...meri teen chooti sisters diff subjects mein Masters ker rahi hein, i don't think ke mein unhein kabi job ke liye kahon ga, aur mein yeh bhi jaanta hoon ke un ke masters ke baad jo aagay perhna chahay wo bhi perhay gi. Mere nazdeek maan baap ki taraf se sub se acha jaheez apni beti ko achi taleem ke zewar se aarasta kerna he. Isi tarah mein ager apni behnon ko ziada jaheez na de saka to yeh sooch ke justify ker jaon ga ke chalo jaheez se bari cheez to mein ne de he di.

                          Ager hum apnay aap ko modernize kerne ki baat kerte hein to hamein apni sooch ko bhi modernize kerne ki zaroorat he. her kaam sirf apnay he faiday ke liye he kyoon. Maan baap ko chahiye ke apni buchiyon ko perhai ta ke wo apnay buchon ko achi tarbiyat de sakein.
                          Bravo!!


                          Quran ko samaj key perhney key liye kya steps leyney chahiyein??
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #73
                            Re: Islam aur Ham??

                            Agar aap ney pichli saari posts perhi hoti to aap ye na kehtay key "Ulma per Elzam kaisa"
                            main ny siraf aap kee post dekhai thee pehly...aur main ny quote bee osy kia tha....:wk




                            1- "Jo mey ney Hazrat Muhammad (s.a.w) key baarey mey suna hai"
                            SUna hai kya matlab??
                            point to aik aam sa hay per masood bhai ny aap kee tareef kiun ker di:donno:
                            shaid main yeh kehna chah raha tha k jo main ny Un k bary main stdy kia hay...
                            2- aur aap ka ye point key "Ya phir wo jo meyra dil maanta hai"
                            aap issey bhi explain karo gey :insha:
                            Khuda ny mujy aik adad Aqal e saleem dee hay....main achy aur bury main pehchan ker sakta haun...es liy apny dill kee baat bee manta hun...
                            @ Pehley Insaan phir Musalman

                            Agar hum is baat per Amal karein to Insaan ban'ney key liye jo Asool aur Qawaid hein wo hamein kahan sey milein gey??
                            shaid aap ko masood bhai k jounelist...ka theek hee kaha hay...
                            lakin aap mera yeh bee reply nahi samji........main aur aap sab jantay hian k Islam aik mukamal zabta hiyat hay............lakin es doar main jaisy k hum ny Islam ko apni marzi key mutabik bana lia hay ...Islam kee wo Rooh nahi hay hamary pass to pher es liy ka tha k humain Neutral bann k sochna pary ga..
                            Islam hi wo Mazhab hai jis ney Insaan ko us ka sahih darja diya hai
                            Han main janta hun ager hum 100% muslim huntooo

                            Comment


                            • #74
                              Re: Islam aur Ham??

                              Originally posted by Masood View Post
                              Good point noted :thmbup:
                              Another good point noted :thmbup:

                              (i m sure u'll be a good journalist one day :insha: )
                              sure inshaALLAH................:em:

                              Comment


                              • #75
                                Re: Islam aur Ham??

                                Originally posted by abdulwahab View Post
                                YEH BAAT TOO HER MASLAK KEHTA HAI KEH
                                ''ISLAM AIK MUKAMIL ZABITA HIYYAT HAI''
                                ,LAKIN jiss koo aaj kall kee naam nihad ulmaaa nee boht hee mushkil bana diaa hai.............................
                                MAIN NAY POOCHA KEH AAP BATAIN KEH AAP LOG MUJHAIN BATAIN KEH
                                AAP LOG JO KEHTAY HAIN KEH FIRQA BANDI NAHI HONI CHAHIYAE TOO PHIR AAP KAY LIHAAZ SAY AIK MUSLIM KO KAISA HONA CHAHIYAE?
                                janab wahab sab sab see pehlee baat to yehh haii kehh there is no dout Islam mukmil zabita Hiat haiii
                                aorrr islam main kaheen bhee firqa badee kaa hukam nahee haiii aorr jahan tak aap kaa swall haii kehh ek muslman ko kesaa honaa chahiey to meree bhaii simply baat haii kehh Firqa bandee main paree bagharr islam perr amal kiaa jayee to hamaree anday mojodd ikhtilafatt khatam hoo hoo jainnn gee iss kee lieyy chand battoon per amal kee zaroorat haii
                                1 sab see pehaly apnayy andar bardashat aor mazhabee rawdaree paidaa kaernaa hooo geee
                                2 Firqa wariat per mabnee literature aor joo naam nihad ulmaaa iss kaa kehtee hain unn kee mukamil nafee kernaa hoo gee
                                3 naa sirf eik firqa see talq rakhanay walee loog dossree firqoon kee masajid main namaz parhain balkeh doosaray firqaa wallonn koo bhee apnee masajid main namaz parhanay kee dawat dain
                                4 katal e aam kise ebhee firqa kee namazeeon yaa ulma kaa hoo tamam firqa walee mill uss kee muzamat karain
                                5 kisee bhee muslman koo kafir naa kahain sirf apnee eman kee salamtee kee fikar karain

                                yehh chand eikk tajaweez hain agar inn per amal karain to shayyd hamm asal islam koo paa sakain
                                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                                Comment

                                Working...
                                X