Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

English as National Language?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • English as National Language?

    اسلام و علیکم!
    کیسے ہیں آپ سب لوگ؟
    تو دوستوں ایک نیا موضوں زیرِ بحث لانا چاہتا ہوں اور اُمید ہے کہ آپ اس میں لازمی اپنے اچھے اچھے تاثرات پیش کریں گے۔
    تو۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
    کیا اردو ختم کر کے انگلش کو پاکستان کی قومی زُبان رکھ لینا چاہیے؟
    یا پھر انگلش کو باقاعدہ پاکستان کی سرکاری زبان قرار دے دینا چاہیے۔
    اور یہ سب جانتے ہیں کہ اپنی زبان سب کو پیاری ہوتی ہے مگر ہم نیو ٹیکنالوجی میں صرف انگلش نہ آنے کی وجہ سے پیچھے رہ گے ہیں۔اور آپ ہمسایہ ملک ہی دیکھ لیں وہاں صرف انگلش کی وجہ ہے کافی ترقی ہوءی ہے اور یہ کہ صرف انگلش کی وجی سے انہیں ملٹی نیشنل کمپنیز میں آرام سے ملک میں اور ملک کے باہر نوکری مل جاتی ہے اور ہم پاکستانی یہاں ہی ہاتھ ملتے رہ جاتے ہیں۔

  • #2
    Re: English as National Language?

    Pakistan mey itni ziada zabanein boli jati hein--
    Balochi
    sindhi
    Pashto
    Punjabi

    Phir Urdu ...qaumi zaban key taur pey

    English official zaban key taur pey

    Arabic ka namo nishan hi nahi hai :(

    Meyrey khayal mey beyshak aap inhein ye status na do key kaun si national hai kaun si official hai
    leykin kam sey kam ye 3 zabanein URdu, English aur Arabic to zaroor cover honi chahiyein

    Urdu is liye key aik mulk mey rehtey huye sab logon ko aik common zaban aani chahiye

    English is liye key ye international lang. hai

    Arabic is liye key its a lang. of Quran

    School level per hi ye teeno zabanein araam sey hi aik bacha seekh sakta hai kyun key bachon mey pick kerney ki salhiyat bohot ziada hoti hai
    leykin agar in sabhi languages ko waqai hi as a lang. seykhaya jaye....

    aur regional languages to waisey bhi sab bachey apney parents sey hi seekhtey hein ..meyra nahi khayal key siwaye regional schools key kaheen aur ye as a sub. offer ki jati hon ?

    in the end

    4 lang. to aap ko aani hi chahyein .. :$
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: English as National Language?

      Originally posted by yellowsky View Post
      Pakistan mey itni ziada zabanein boli jati hein--
      Balochi
      sindhi
      Pashto
      Punjabi

      Phir Urdu ...qaumi zaban key taur pey

      English official zaban key taur pey

      Arabic ka namo nishan hi nahi hai :(

      Meyrey khayal mey beyshak aap inhein ye status na do key kaun si national hai kaun si official hai
      leykin kam sey kam ye 3 zabanein URdu, English aur Arabic to zaroor cover honi chahiyein

      Urdu is liye key aik mulk mey rehtey huye sab logon ko aik common zaban aani chahiye

      English is liye key ye international lang. hai

      Arabic is liye key its a lang. of Quran

      School level per hi ye teeno zabanein araam sey hi aik bacha seekh sakta hai kyun key bachon mey pick kerney ki salhiyat bohot ziada hoti hai
      leykin agar in sabhi languages ko waqai hi as a lang. seykhaya jaye....

      aur regional languages to waisey bhi sab bachey apney parents sey hi seekhtey hein ..meyra nahi khayal key siwaye regional schools key kaheen aur ye as a sub. offer ki jati hon ?

      in the end

      4 lang. to aap ko aani hi chahyein .. :$
      Nice:em:

      Comment

      • #4
        Re: English as National Language?

        english ko serkaari zubaan karaar de dena chahiye :blush:
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: English as National Language?

          Originally posted by Khalil View Post
          اسلام و علیکم!

          کیسے ہیں آپ سب لوگ؟
          تو دوستوں ایک نیا موضوں زیرِ بحث لانا چاہتا ہوں اور اُمید ہے کہ آپ اس میں لازمی اپنے اچھے اچھے تاثرات پیش کریں گے۔
          تو۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
          کیا اردو ختم کر کے انگلش کو پاکستان کی قومی زُبان رکھ لینا چاہیے؟
          یا پھر انگلش کو باقاعدہ پاکستان کی سرکاری زبان قرار دے دینا چاہیے۔

          اور یہ سب جانتے ہیں کہ اپنی زبان سب کو پیاری ہوتی ہے مگر ہم نیو ٹیکنالوجی میں صرف انگلش نہ آنے کی وجہ سے پیچھے رہ گے ہیں۔اور آپ ہمسایہ ملک ہی دیکھ لیں وہاں صرف انگلش کی وجہ ہے کافی ترقی ہوءی ہے اور یہ کہ صرف انگلش کی وجی سے انہیں ملٹی نیشنل کمپنیز میں آرام سے ملک میں اور ملک کے باہر نوکری مل جاتی ہے اور ہم پاکستانی یہاں ہی ہاتھ ملتے رہ جاتے ہیں۔
          Sab sey pehli baat to yeh keh India mein kis lehaz sey taraqi ho rahi hai? Koi aisa point btaa dijiyey? Agar wahan per taraqi hui hai to woh siraf Information Technology ka shoaba hai. Aur agar aap yeh samajhtey hain keh India ki IT field mein taraqi English ki wajah sey hai to yeh be'buniyad yaqin hai. Unki is taraqi key peechey bohat sari batein posheedah hain. Aaiyey un per aik nazar daaltey hain...

          West mein yeh baat samjhi gaii hai keh kyun ham apney mulkon mein factories lagaein aur un key dhuwein sey mahol ko gandah karein - yeh kaam ham Asia mein kartey hain aur SASTEE labour mein chand dollers phainktey hain aur apna kaam nikalwatey hain...

          Microsoft ney apna bohat bada sarmaya India mein lagaya hai, Oracle ney aik kaseer doller sey wahan sarmayakari ki hai - is tarha beshumar international companies hain jinhon ney yeh kaam kiya hai - sastee labour - mahol ki aloodgi sey bachna aur phir bhi sab sey ziyada nafa kaun kama raha hai? West!!!

          Ghaur kijiye keh aik cake hai - jiski buniyaad kaafi thos hai jahan per bacha kacha rah jata hai woh yeh log Asia ko dey detey hain aur cream khud khaa jatey hain - sarmayadar ko samajhna aasan nahin.

          Main ney khud 2001 sey Indian Consultants key saath kaam kiya huwa hai abhi bhi mera un sey wasta parrta hai - woh log aik contract key tehat aatey hain idher aur aik GHULAM ki tarha hotey hain - unhein jo kaha jaey woh unhon ney karna hai - jitney ghantey chahein un sey kaam liya jata hai - yeh aik jadeed tor ki ghulami hai! Magar yehi India ki taraqi hai jo hamein nazar aati hai!

          Ab aatey is baat ki janib keh International companies hamarey mulk mein sarmayakari kyun nahin karti? To iska siraf seedha aur saaf jawab hai keh hamarey mulk mein POLITICAL STABILITY nahin!!! Jahan per Hakoomat ko hi ilm na ho keh usney apney 4 saal nikalney hain ya nahin wahan per kaun sarmaya lagata hai????

          Zaroorat zuban badalney ki nahin - Zaroorat mulk mein siyasi nizaam key thehrao ki hai - keh sarmayakaron ko tahafuz miley, sahooliyat milein - magar......
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: English as National Language?

            Originally posted by Masood View Post

            :salam: :em:

            Comment

            Working...
            X