Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Muhabbat aur Hasil

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Muhabbat aur Hasil

    Originally posted by ForumAdmin
    Agreed
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #17
      Re: Muhabbat aur Hasil

      Originally posted by YAARAM
      aur wese bhi Muhabbat kam hi kisi ki hoti hai.....yeh log kahan hone dete hain.....huh ana parast log...
      Chhotey bhai logon ki ana ko torr kar hi to muhabbat karney ka sawaad aata hai. Aur haan muhabbat kam kam hi hoti hai magar jab hoti hai to belive me yeh azmat ka aala tareen muqaam hota hai. Muhabbat woh jazbah hai jis ney duniya keh tmaam jazbon ko jila bakhshi hai. Aur yeh muhabbat hi hai jis ki badolat INSAAN ki takhleeq hui hai. So belive me there is true love :) nahin to poochh lena main btaoun ga keh kissey hai :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #18
        Re: Muhabbat aur Hasil

        Originally posted by barg.e.gul
        Muhabbat naam hi aik pakeezey jazbey ka hai
        agree Gul - yeh muhabbat agar sachi aur pakeezah hai to bilashubah sab sey haseen rishta hai :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #19
          Re: Muhabbat aur Hasil

          Originally posted by Saima Shaheen
          Mohabbat to ek jazba hai dear, jo Dil se Dil tak hota hai , Is mei logo ka ky amal dakhal ......... Mohabbat sacha jazba hai dear, yeh kisi ko bhi ho jati hai, haan albata aap dosrey se bhi wesi mohabbat aur wafa ki umeed karein to yeh galat aur bewaqoofi ho gi, issi tarah aap apni mohabbat se kisi ko badal bhi nahi saktey ager os ki fitrat mei mohabbat ho hi na to ....
          saima aagey main bharhata hoon:

          ... to aap us sey muhabbat ka taqaza to dar-kinaar muhabbat ki aik boond ki tawaqoh nahin rakh saktey. Aur muhabbat jab ho jati hai to insaan ka wajood iski gawahi deta hai keh aap kisi ki muhabbat mein ho aur aap ka dil gawahi deta hai keh woh aap ki muhabbat mein aisey hi hai jaisey tum. Sachi muhabbat mein aisey aisey INCIDENT hotey hain keh jo ajeeb lagtey hain, magar dil ko dil sey raah hoti hai. (lagta hai tajarbah bol raha hai :lol :lol )
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #20
            Re: Muhabbat aur Hasil

            Yeh daur kisi doosrey door sey mukhtalif to nahin khala ji :zuban: insaan har zamaney mein apney daur ko kosta chala aaya hai. Yeh kaisey mumkin hai keh aaney wala daur ya guzar janey wala daur mukhtalif hoga ya tha??? Har daur mein aisey log mojood they aur hain aur rahein ge jo apney lalach mein doosron ko istimaal kartey hain. To phir IS daur ko ilzam kyun?
            is leay ke ye doar he hi madiyat parasti ka,jitni insani qadren is doar me pamal hui hen pehle kisi doar me nahi

            Kyun? Kuchh roshnee dalein plz
            roshni dalne ke leay search light ya torch chaey jo is waqt pas nahi he :tang:

            aur agar saathi aisa ho jo har zakhm peh apni wafaoun ki marham rakh dey to????
            oohh achaa yani doctor he :cc: marham pati free :D

            yeh to aap ka kaam hai khala ji
            majburi he na ab is ke bina kisi ko baat jo samjh nahi ati uncle :hathora

            Comment

            • #21
              Re: Muhabbat aur Hasil

              wese aap sab ki baten parh kar aek qita yaad agya,uncle masood se mazrat ke sath :tang:
              Attached Files

              Comment

              • #22
                Re: Muhabbat aur Hasil

                Zaberdast Shy :>
                Zindagi Thak Gaye ..!!

                Comment

                • #23
                  Re: Muhabbat aur Hasil

                  shukria khwahish :)

                  Comment

                  • #24
                    Re: Muhabbat aur Hasil

                    Originally posted by shy
                    is leay ke ye doar he hi madiyat parasti ka,jitni insani qadren is doar me pamal hui hen pehle kisi doar me nahi
                    Khala jaan aap to aisey kah rahi hain goya aap ney pichhey daur dekhey hain. Mera mushahida hai keh insaan kisi daur mein khush nahin raha. Farq siraf itna hai keh pichhley adwaar mein maloomat ka sailab is tarha nahin ubharta tha jaisey aaj kal. Aaj to agar kisi ney Mongoliya mein kuchh kiya ho to uski khabar duniya keh koney koney mein hawa ki tarha phail jati hai, isi liye hamein aaj key daur mein har baat per sey pardah uthaa diya geya hai. Pehley adwaar mein batein logon tak pohanchtey kaee kaee maheeney lag jatey they. Warna sach to yeh hai keh aap tareekh key awraaq ulat kar dekh lein, jo zulm-o-sitam, be-raah rawi aaj hai woh pehley bhi huwa karti thi. Kaha jata hai keh insaani daur ka sab sey PAST tareen daur woh hai jab ISLAM ka zahoor honey ka waqt aaya tha. Mujhey btaiye keh aaj kon sey mulk mein parosi ki aurat ko apni malkiyyat samajh kar us per haath dala jata hai? Insaani rishtey jahan tak khatam huwey hain to is mein hamara apna bohat ziyada dosh hai.
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #25
                      Re: Muhabbat aur Hasil

                      Aap ka qita bohat achha hai. Magar aik baat yaad rakhein:

                      "har pedah honey wala bacha is baat ki gawahi deta hai keh Allah apney insaan sey mayoos nahin huwa"...

                      Yeh ham insano ki khoobi hai keh ham apni apni khushnoodi key liye doosron per sey mayoosiyon aur na-umeedon key band baandh letey hain :)
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #26
                        Re: Muhabbat aur Hasil

                        Originally posted by Masood

                        :thmbup:
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment

                        • #27
                          Re: Muhabbat aur Hasil

                          Originally posted by Masood
                          Agree 100%. Muhabbat insaan ka doosra naam hai. Agar insaan apney aap sey inkar karta hai to woh muhabbat sey inkaar karta hai.
                          Ek shair yaad aaya

                          "Mohabbat ka bhi is mei dhakal tha shayed
                          Yeh Duniya mehaz ikhtiyar se na bani "

                          Originally posted by Masood
                          Jeeti raho bacha :rose :rose

                          Thankoo Untle dee :p

                          Originally posted by Masood
                          Kaisey? Shaoor ki hadein agar khaardar taron sey bandhi hon to kaisey nibhaya jaa sakta hai?
                          Phir to ek hi rasta hai yaan oun taron mei qaid raha jayeh, yaan inhein phalank diya jayeh....... ager umeed ho to intizar kiya jayeh ke kab yeh tarein muqadar khudh hata deta hai....magar remember

                          "waiting will not make a mountian smaller or easier to climb" kya samjhey

                          Originally posted by Masood
                          Zindagi to hai hi jabr-e-musalsal ka naam. Lekin FULLSTOP lgaa diya jaey to kya woh talkhi khatam ho sakti hai jo kisi ko na paaney ki hoti hai?

                          Wo talkhi to her pal insan ke sath rehti hain, ek tees ban ker ..... ab chahey to insan ous tees ko sahey aur chahey to yeh nobat aaney hi na dai.
                          sigpic

                          Comment

                          • #28
                            Re: Muhabbat aur Hasil

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            "Mohabbat ka bhi is mei dhakal tha shayed
                            Yeh Duniya mehaz ikhtiyar se na bani "
                            Main aik kitaab parh raha tha, jo mera next mazmoon ho ga usi per likhoon ga inshaAllah, ussey parh kar ehsaas huwa hai keh Allah tala ney is kainat aur khasoosan INSAAN ko kin muhabbaton sey pedah kiya hai. Aur ham insaano ney muhabbat ko kya ghalat andaaz dey diya hai.

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Thankoo Untle dee
                            TOTLEE kaheen ki :)

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            "waiting will not make a mountian smaller or easier to climb" kya samjhey
                            Bohat achhi tarha samajh geya hoon, lekin thora sa muqaddar saath dey to har kaam hota hai. Badey badey koh-paimaan bhi top per nahin pohanch paatey, manzil unhein hi milti hai jinhein Allah nawazey to agar to saath per bharosa ho to waiting is the game :)

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            ab chahey to insan ous tees ko sahey aur chahey to yeh nobat aaney hi na dai.
                            .... saima yeh jalan bohat sakht hoti hai keh insaan sochey keh woh kisi aur key paas hai
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #29
                              Re: Muhabbat aur Hasil

                              Originally posted by Masood
                              Khala jaan aap to aisey kah rahi hain goya aap ney pichhey daur dekhey hain. Mera mushahida hai keh insaan kisi daur mein khush nahin raha. Farq siraf itna hai keh pichhley adwaar mein maloomat ka sailab is tarha nahin ubharta tha jaisey aaj kal. Aaj to agar kisi ney Mongoliya mein kuchh kiya ho to uski khabar duniya keh koney koney mein hawa ki tarha phail jati hai, isi liye hamein aaj key daur mein har baat per sey pardah uthaa diya geya hai. Pehley adwaar mein batein logon tak pohanchtey kaee kaee maheeney lag jatey they. Warna sach to yeh hai keh aap tareekh key awraaq ulat kar dekh lein, jo zulm-o-sitam, be-raah rawi aaj hai woh pehley bhi huwa karti thi. Kaha jata hai keh insaani daur ka sab sey PAST tareen daur woh hai jab ISLAM ka zahoor honey ka waqt aaya tha. Mujhey btaiye keh aaj kon sey mulk mein parosi ki aurat ko apni malkiyyat samajh kar us per haath dala jata hai? Insaani rishtey jahan tak khatam huwey hain to is mein hamara apna bohat ziyada dosh hai.
                              me ne pichle doar khud nahi dekhe lekin movies me to dekhe hen na jese pehle achanak kisi ghareeb larke ko kisi ameer larki se ishq ho jata tha,ameer larki ko apne driver se ishq ho gya,chalo g kaam tmam hua :tauba lekin abhi to kisi ko ishq hona ho to pehle larka v dekhta he ke larki kitni maaldaar he or larki v yehi dekhti he :donno: to fer change to nazer ata he na dunya me :cc:

                              Comment

                              • #30
                                Re: Muhabbat aur Hasil

                                Originally posted by shy
                                me ne pichle doar khud nahi dekhe lekin movies me to dekhe hen na jese pehle achanak kisi ghareeb larke ko kisi ameer larki se ishq ho jata tha,ameer larki ko apne driver se ishq ho gya,chalo g kaam tmam hua :tauba lekin abhi to kisi ko ishq hona ho to pehle larka v dekhta he ke larki kitni maaldaar he or larki v yehi dekhti he :donno: to fer change to nazer ata he na dunya me :cc:

                                OHOHOHOHO :tauba :tauba aap filmon ko dekh kar pehley dor ki halat ko judge kar rahi hain :tauba Filmon mein aaj tak koi sachi baat dikhaee gaee hai jissey dekh kar kaha jaey keh yeh haqeeqat hai? Main ney bohat filmein dekhi hain, aur isi liye filmon sey SAKHT nafrat hai keh dekhney waley ko yehi ta'sar milta hai keh "chalo filmon mein aisa hota hai" - warna yeh insaani dimagh ko maaouf karney wala sab sey bada zehr-e-mohlak hai. Aur aaj kal muhabbat ko jo zillat mili hai woh inhi BEHOODGI sey bhari filmon ki hi wajah sey to mili hai, jinho ney asal muhabbat ki rooh ko dafan kar key jazbaat sey bhari anhoni muhabbat ki tasweer kheench kar rakh di hai. Yeh baat aap bhi tasleem karein gi keh muhabbat lafani hoti hai.
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X