Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Muhabbat aur Hasil

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Muhabbat aur Hasil

    Muhabbat aur Hasil

    Agar insaan key dil mein kisi ki muhabbat jaag uthey aur yeh aisi sachi aur pakeezah muhabbat ho jo kisi kisam key ghaz aur lalach sey mubar'ra ho aur insaan apney hosh-o-hawaas mein rehta huwa, apney shaoor mein apni tmaam tar zimmeydardiyon ko bhi bakhoobi samajhta ho, magar apni muhabbat key hasool ki khatir har qadam uthaney ko tayyar ho to aisey main is insaan ko kya karna chahiy? Woh qadam uthana chahiye jo mumkin hai koi bohat badi mushkil ley kar aaey ya jis mein fori tor per karney sey bohat si problems hon.

    Kya aisi muhabbat ka wajood hai?
    kya an-dekhey, bin-milley insaan sey itna pyaar ho sakta hai?
    Kya aisey rishtey key liye apney shaoor ki haddon ko phalang jana chahiye?
    Ya phir yeh samajh kar key taqdeer ko manzoor nahin, khamosh ho jana chahiye??

    Apney views pesh kijiye - shukriyah.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Muhabbat aur Hasil

    Originally posted by Masood
    Muhabbat aur Hasil
    Agar mohabbat sachi ho, usme koi laalach na ho, apne hosh o hawaas mein rahta ho, to waisi muhabbat RooH ki muhabbat hoti hai na ke jism ki. Aisi muhabbat yaqinan Allah swt ke nazar mein paak muhabbat hota hai, yeh muhabbat duniya mein hasil nahin hota.
    Jis muhabbat mein lalach ho haasil wahi hota hai.

    Kya aisi muhabbat ka wajood hai?

    Wajood hai, lekin la haasil, Laila Majnoo, Romeo Juliet ki aisi bahut saari daastane hain, unn dono ka wajood tha, lalach nahin tha lekin dono ke muhabbat paak thay

    kya an-dekhey, bin-milley insaan sey itna pyaar ho sakta hai?
    Zaroor, lekin shart hai ke ek image qyaas karna hoga, phir to aap khwabon mein bhi usse dekh sakenge.

    Kya aisey rishtey key liye apney shaoor ki haddon ko phalang jana chahiye?
    Hargiz nahin

    Ya phir yeh samajh kar key taqdeer ko manzoor nahin, khamosh ho jana chahiye??
    Jahan tak main maanto hoon ke taqdeer koi shei nahiin hai (ab iss per bahas mubahsa nahin chahiye), iss liye koshish (tadbeer) karni chahiye
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment

    • #3
      Re: Muhabbat aur Hasil

      Mohabbat par yaqeen hi nahin karti tu us kay barey main kya kaho'n :)
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment

      • #4
        Re: Muhabbat aur Hasil

        Originally posted by Masood
        Kya aisi muhabbat ka wajood hai?
        Apney apney yaqin aur aitebar ki baat hai, jo mantey hain oun ke liyeh nai jo nahi mantey oun ke liyeh nahi hai. Ager koi mohabbat se inkar karey to woh dar-haqiqat apney wajood se inkar ker raha hai.

        Originally posted by Masood
        kya an-dekhey, bin-milley insaan sey itna pyaar ho sakta hai?

        Ager nahi ho sakta to aap ke dil mei khaliq-e-haqiqi ki mohabbat ous ka darr kasiey hai, ky aaap ousey dekh ker oun ki ibadat kertey ho ??

        Originally posted by Masood
        Kya aisey rishtey key liye apney shaoor ki haddon ko phalang jana chahiye?
        Kisi bhi rishtey ke liyeh apney sahoor ki hadon ko parr kerna darust nahi, ager wo rishta sacha aur jayez ho ga to ouse shaoor ki hado'n mei bhi nibhaya ja sakta hai.

        Originally posted by Masood
        Ya phir yeh samajh kar key taqdeer ko manzoor nahin, khamosh ho jana chahiye??
        Zindagi emi kuch bhi hasil kerne ke liyeh koshish to kerna hoti hai insan ko, bina koshish to kabhi kuch hasil nahi hota. Apni her jayez murad ke liye koshish kerna insan ka farz hai, haan magar ous koshish ke anjam ko apni manzil nahi bana lena chahiye. Ager wo hasil na ho to ousey khuda ki taraf se behtari samajhna chahiye, aur waha fullstop laga diya jayeh. zindagi to musalsal koshishon aur aaghey barhney ka naam hai.

        Originally posted by Masood
        Apney views pesh kijiye - shukriyah.
        Mention not :zuban:
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: Muhabbat aur Hasil

          Kya aisi muhabbat ka wajood hai?
          nop,is doar me namumkin :na:

          kya an-dekhey, bin-milley insaan sey itna pyaar ho sakta hai?
          har giz nahi :tauba (dkhe bina jino ne kia mujhe un ki kahani bhi pata he,nadia samjh kar gae or nikle wo uncle NIDO :lol )

          Kya aisey rishtey key liye apney shaoor ki haddon ko phalang jana chahiye?
          na na na :na: (ager phlangte huey gir gaey to bari zor ki lage gi :wink )

          Ya phir yeh samajh kar key taqdeer ko manzoor nahin, khamosh ho jana chahiye??
          haan bilkul :shh: or ager fer v dil o dimagh na mane to :hathora

          Comment

          • #6
            Re: Muhabbat aur Hasil

            Originally posted by shy

            Agreed :)

            Comment

            • #7
              Re: Muhabbat aur Hasil

              Originally posted by ForumAdmin
              Agreed :)
              dekha na me kitni aqalmandi ki baten karti hun :wink :D agree karne par thankoo :D

              Comment

              • #8
                Re: Muhabbat aur Hasil

                Originally posted by shy
                dekha na me kitni aqalmandi ki baten karti hun :wink :D agree karne par thankoo :D
                Ab aisa kaun sa roz roz hota hai is liye thankoo nahi kaho :D

                Comment

                • #9
                  Re: Muhabbat aur Hasil

                  Masood bhai jesei kafyat aap ne bayan ki hain aisi aik muhabbat main ne apni ankhon se dekhi hai..aur se bar amad hone wale natayej bhi main to kehta hoon ke Allah bachaye aisi muhabbat se ...........:) aur wese bhi Muhabbat kam hi kisi ki hoti hai.....yeh log kahan hone dete hain.....huh ana parast log...:(
                  Allah

                  Comment

                  • #10
                    Re: Muhabbat aur Hasil

                    Muhabbat naam hi aik pakeezey jazbey ka hai

                    - is ka wajood hai for sure
                    -meyra khayal hai key haan
                    -hamein apni hadood chahey wo jo bhi mamla ho nahi aboor kerni chahiein

                    Originally posted by spy009

                    Jahan tak main maanto hoon ke taqdeer koi shei nahiin hai (ab iss per bahas mubahsa nahin chahiye), iss liye koshish (tadbeer) karni chahiye
                    aap ko behas nahi chahiye leykin "Taqdeer aik shei hai "

                    Originally posted by khawahish
                    Mohabbat par yaqeen hi nahin karti tu us kay barey main kya kaho'n

                    kyoon khawahish ??
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • #11
                      Re: Muhabbat aur Hasil

                      Originally posted by YAARAM
                      Masood bhai jesei kafyat aap ne bayan ki hain aisi aik muhabbat main ne apni ankhon se dekhi hai..aur se bar amad hone wale natayej bhi main to kehta hoon ke Allah bachaye aisi muhabbat se ...........:) aur wese bhi Muhabbat kam hi kisi ki hoti hai.....yeh log kahan hone dete hain.....huh ana parast log...:(

                      Mohabbat to ek jazba hai dear, jo Dil se Dil tak hota hai , Is mei logo ka ky amal dakhal ......... Mohabbat sacha jazba hai dear, yeh kisi ko bhi ho jati hai, haan albata aap dosrey se bhi wesi mohabbat aur wafa ki umeed karein to yeh galat aur bewaqoofi ho gi, issi tarah aap apni mohabbat se kisi ko badal bhi nahi saktey ager os ki fitrat mei mohabbat ho hi na to ....
                      sigpic

                      Comment

                      • #12
                        Re: Muhabbat aur Hasil

                        Originally posted by Spy009
                        to waisi muhabbat RooH ki muhabbat hoti hai na ke jism ki.
                        Yeh to sach hai keh jab insaani soch mein milawat aa jaey to muhabbat kya har jazbah toot jata hai. Jismon ka lalach aqal ki tabahee hai. Aur muhabbat ki maut!

                        Originally posted by Spy009
                        Wajood hai, lekin la haasil
                        ... to kya aisi muhabbat key liye phir traddad karna drust hai jo hasil na ho? Merey nazdeek muhabbat ka na milna hi muhabbat ki mairaaj ban jata hai.

                        Originally posted by Spy009
                        Zaroor, lekin shart hai ke ek image qyaas karna hoga, phir to aap khwabon mein bhi usse dekh sakenge.
                        ... image trashney key liye zaroori nahin keh aap uska khad-o-khaal takhayyul karo balkey aik aisa noor jo aap key ander mojood rehta hai - muhabbat ki soorat mein.

                        Originally posted by Spy009
                        Jahan tak main maanto hoon ke taqdeer koi shei nahiin hai
                        Behas bar-tarf! Aap ki is baat sey shadeed ikhtilaaf hai. Taqdeer apni jaggah aik musalam haqeeqat hai.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #13
                          Re: Muhabbat aur Hasil

                          Originally posted by ~khawahish~
                          Mohabbat par yaqeen hi nahin karti tu us kay barey main kya kaho'n
                          Amna aap bohat bholi ho. Muhabbat ki haqeeqat ko nahin mantin?
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: Muhabbat aur Hasil

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Ager koi mohabbat se inkar karey to woh dar-haqiqat apney wajood se inkar ker raha hai.
                            Agree 100%. Muhabbat insaan ka doosra naam hai. Agar insaan apney aap sey inkar karta hai to woh muhabbat sey inkaar karta hai. :)

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Ager nahi ho sakta to aap ke dil mei khaliq-e-haqiqi ki mohabbat ous ka darr kasiey hai, ky aaap ousey dekh ker oun ki ibadat kertey ho ??
                            Jeeti raho bacha :rose :rose

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            ouse shaoor ki hado'n mei bhi nibhaya ja sakta hai.
                            Kaisey? Shaoor ki hadein agar khaardar taron sey bandhi hon to kaisey nibhaya jaa sakta hai?

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Ager wo hasil na ho to ousey khuda ki taraf se behtari samajhna chahiye, aur waha fullstop laga diya jayeh. zindagi to musalsal koshishon aur aaghey barhney ka naam hai.
                            Zindagi to hai hi jabr-e-musalsal ka naam. Lekin FULLSTOP lgaa diya jaey to kya woh talkhi khatam ho sakti hai jo kisi ko na paaney ki hoti hai?
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #15
                              Re: Muhabbat aur Hasil

                              Originally posted by shy
                              nop,is doar me namumkin
                              Yeh daur kisi doosrey door sey mukhtalif to nahin khala ji :zuban: insaan har zamaney mein apney daur ko kosta chala aaya hai. Yeh kaisey mumkin hai keh aaney wala daur ya guzar janey wala daur mukhtalif hoga ya tha??? Har daur mein aisey log mojood they aur hain aur rahein ge jo apney lalach mein doosron ko istimaal kartey hain. To phir IS daur ko ilzam kyun?

                              Originally posted by shy
                              har giz nahi
                              Kyun? Kuchh roshnee dalein plz

                              Originally posted by shy
                              na na na (ager phlangte huey gir gaey to bari zor ki lage gi )
                              aur agar saathi aisa ho jo har zakhm peh apni wafaoun ki marham rakh dey to????

                              Originally posted by shy
                              haan bilkul or ager fer v dil o dimagh na mane to
                              yeh to aap ka kaam hai khala ji :p
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X