Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?
Collapse
X
-
Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?
Is main kai factors hain.Aur govt aur awam donon hi qusoorwaar hain.
Govt ka qusoor yeh hai kay muashi policy behtar nahin banai jati,development kay projects ko puri tarah monitor nahin kiya jata,jis ki wajah say nai aasamian ya to nikalti nahi ya phir rishwat aur sifarish ka merit malhooz-e-khatir rakha jata hai,jis ki wajah say awam ki kaseer ta'adaad rozgaar khareed nahin paati.
Awam ka qusoor yeh hai kay agar sab log simple education per iktifa karain gay ya phir sab hi doctors ban'nay lagain gay to sab logon ko adjust karna namumkinaat main say ho jaye ga.
Hamaray haan aisa bhi hota hai kay aik saal kuch logon ko kisi field main achi job mil jaati hai to foran saray log us taraf mutawajoh ho jatay hain aur aglay kai barson main us field kay liyay aik khaip tay'yar hoti hai ,phir pata chalta hai kay us field main to bas utni hi gunjaish thi jitnay logon ko pahlay saal hire kar liya gaya tha.
Maira khiyal hai kay ham sief govt ko qusoorwaar nahin thahra saktay,is main hamari bhi ghaflat hai.
Comment
-
Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?
MEREY KHAYAL MEY BEROZGAARI KI ZIMMEDAAR SIRF AUR SIRF khud awam hain,iss key main aap ko aik so bohot dalaail dey sakta hun,maslan
main ney yahan europe mey bohot he educated logon ko mazduri kaarobaar chhoti chhoti dukaanen kertey dekhah hai,aur aik minute faarigh bethhna unn ko kaatney ko dodrta hai,
aisa woh pakistan main bhi ker saktey hain lekin kiun keh uss ka daada perdaada angraizon kesaathh foaj mey bohot badra afsar thah,iss liye agar woh koi chhoti dukaan khholey tho uss key daada ki thoheen hogi,yaa uss ka baap agar kisi achcheh post per hai tho uss key baap ko apney naalaaiq betey ki naalaaiqi chhupaaney key liye beairun-i-mulk bhejwaana padrta hai,
asal main taalim ka mutlub hum log ghulat maanon mey letey hain,taalim kisi insaan ko insaan aur insaan sey muhazzab insaan bananey aur uss ki salahiaton ko ujager karney ka ik fun hai,lekin hum log iss ko sarkaari mulaazimut ka waahid zaria sumajhtey hain,
berun-i-mulk aaker he hum logon ko yeh ehsaas ho jaata hai keh agar itni mehnut hum pakistan mey kartey tho humain yahan aaney ki kia zarurat thih,lekin
aap shaayad achchih tarah jaantey hain keh humain pakistan mey woh konsey anasir hain jo mehnut mazduri
karney sey rokti hain?
Comment
-
Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?
Originally posted by sccorpion81 View PostMere khyal main hamaray mulk main talent ki kami nahien hai....Talent ki kami nahien hai hamaray mulk main...laikin her kisi ko us ki marzi job tu nahien mil sakti na...aur ham log jab bhi apni education mukamal ker k university say ya college say bahir aatay hain tu sochtay hain k shayad hamaray liey job pahlay say intazar ker rahi hai...aur isi chakar main agar ham ko koee doosri job milti bhi hai tu ham us ko accept nahienkertay k wo hamaray profession say taluq nahien rakhti...MBA Marketting walla marketing manager hi banana chata hai Drafts man ko civil eng ki post chahiey, is tarha ki bohot see misalain hain .... ham ko sochna chahiey k ham ko start pahli seerhi say kerna hai na k chlang lga ker chat per pohncha jaey ....
Doosru wajha kuch Hakoomat ki ghaltion ko bhi nazar andaz nahien kia ja sakta...her oonchi post per baitha hoowa aadmi crupt hai...us ko jis nay paisa ziyada dia us nay us ko chun lia...kuch non professional banday aisi aisi jaghon per baithay nazar aa tay hain k aqal dang rah jati hai
Insan ko apni had tak koshish kerni chahiey laikin jo milay us per shukar bhi kerna chahiey yeh nahien k bahtar say bahtar ki talash main zindagey hi guzar jaey
Taqdeer Bnanay walay tu nay kami tu na ki
Ab kis ko kia mila Yeh tu Muqadar ki Baat hai
:clap: :clap: :clap:
:phool:
Comment
Comment