Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

    Assalamalikum
    hamara yeh topic beroozgari=Unemployment pay hai ..
    aap logoo kay khayal main jitnay loog berozgar hain woh hakoomat ki kutaheoon ki waja say hotay hian ? ya un ki apni ghalityan hoti hain kay behtar say behtar job ki talash main apni zindagi guzaar daytay hian (means kay logoo ki demands zaida hain)....?
    aap loog apni raye daian is mozoo pay :)
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

    hum ye nahi keh saktey hein key in mey sey koi aik khata kaar hai...

    bohot saari cheezein count hoti hien

    Sirf hum Pakistan ki baat karein to wahan mey ney aik cheez deykhi hai peechley kuch saal pehley saarey log MCS ker rahey they phir MBA aa gaya aur aaj kal IT hai

    medecine aur engineering to hamesha on the top rahey hein ( pata nahi saarey parents ye kyun chahtey hein key un ki beytian doctors hon aur beytey engineer...)

    meyrey kehney ka maqsad ye hai key aik balance hona chahiye....ab agar saarey doctors ban gaye to patient kaun ho ga :lol

    GOV. ki responsibility hai key wo agar education level per kuch cheezein introduce ker rahi hai to aagey wo professional level per bhi aap ko itni oppotunities dey key aap ussi mey aagey kuch ker sako

    aik aur baat jo meyra khayal hai key honi chahiye ho hai key degrees key sath sath her insaan ko koi "skill" bhi zaroor aani chahiye ta key agar ussey apni degrees ki base per job nahi milti hai to kam sey kam wo apni skill ko isteymaal mey laatey huye kuch na kuch shuru ker sakey

    ab jo log bohot demanding hien yani key wo high post ya theek thak job key ilawa kuch sochtey hi nahi to meyra khayal hai key ye ghalt hai aap akhri "serhi" per kabhi bhi nahi phonch saktey hein jab tak aap ney "pehli serhi" per qadam na rakha ho...
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

      well hamare khyal mein zimadari dono per ayed hoti hai agerchey zayada hisa govt ka hai. es liye k jab policies esi banae jayen gi jo parrhi likhi work force tou produce karne per zore deti hain lakin unn ko kahin khapane ka band-o-bast nahi kerten tou bey rozgari tou ho gi
      es liye k jab unrealisitic approach follow ki jati hai tou bey rozgari bherrti hai. I mean keepin the illetracy rates in minds ye hamari govt ki zimadari hai k woh un logon k liye employment ki strategies banaye ab chahye ye training skilss hon ya kuch aur
      aur ye hamara awam ka apna bhi qasoor hai k ham vocational edu ya vocational skills ko khatir mein nahi late. nateeja BAs MAs tou bhot nikalte hain uni colleges se but they are not prepared for practical life neither they want to opt for such so called odd jobs
      aur es tarah se bhi k ham mein apne representatives ko na tou choose kerne ka shaoor pukhta hua hai aur na he ham apne awami numaindon ko question kerte hain k woh public k liye kiya ker rahe hain.
      "All I have learned from Life is that I know nothing."

      Comment

      • #4
        Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

        ??
        ..YAHOO PASS HO GAYA...

        Comment

        • #5
          Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

          sarasar hakoomat ki NA AHLI AUR NALAIQI KI WAJHA SE AUR HMARY SARY NIZAM MAIN CRUPTION KI WAJHA SE.....AUR IS KI ZEMY DAR HAKOOMAT HY..
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment

          • #6

            Originally posted by aabi2cool View Post

            ham ne bhi yehi kaha hai :)
            "All I have learned from Life is that I know nothing."

            Comment

            • #7
              Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

              Originally posted by aabi2cool View Post
              sarasar hakoomat ki NA AHLI AUR NALAIQI KI WAJHA SE AUR HMARY SARY NIZAM MAIN CRUPTION KI WAJHA SE.....AUR IS KI ZEMY DAR HAKOOMAT HY..
              theek hai Govt ki bhi ghalatiyan hain .....lekan kuch aisay bhi to loog hain jo yeh chahtay hian baghher mehnat kay achi job mill jaye or pesa zaida hoo ....yani aik dam say oper jana chahtay hain ....or choti moti job karna pasand nahi kartay ...is baray main aap ka kia khayal hai ?
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment

              • #8
                Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

                Originally posted by Xenya View Post

                ab jo log bohot demanding hien yani key wo high post ya theek thak job key ilawa kuch sochtey hi nahi to meyra khayal hai key ye ghalt hai aap akhri "serhi" per kabhi bhi nahi phonch saktey hein jab tak aap ney "pehli serhi" per qadam na rakha ho...
                :thmbup:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                • #9
                  Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

                  Mere khyal main hamaray mulk main talent ki kami nahien hai....Talent ki kami nahien hai hamaray mulk main...laikin her kisi ko us ki marzi job tu nahien mil sakti na...aur ham log jab bhi apni education mukamal ker k university say ya college say bahir aatay hain tu sochtay hain k shayad hamaray liey job pahlay say intazar ker rahi hai...aur isi chakar main agar ham ko koee doosri job milti bhi hai tu ham us ko accept nahienkertay k wo hamaray profession say taluq nahien rakhti...MBA Marketting walla marketing manager hi banana chata hai Drafts man ko civil eng ki post chahiey, is tarha ki bohot see misalain hain .... ham ko sochna chahiey k ham ko start pahli seerhi say kerna hai na k chlang lga ker chat per pohncha jaey ....

                  Doosru wajha kuch Hakoomat ki ghaltion ko bhi nazar andaz nahien kia ja sakta...her oonchi post per baitha hoowa aadmi crupt hai...us ko jis nay paisa ziyada dia us nay us ko chun lia...kuch non professional banday aisi aisi jaghon per baithay nazar aa tay hain k aqal dang rah jati hai

                  Insan ko apni had tak koshish kerni chahiey laikin jo milay us per shukar bhi kerna chahiey yeh nahien k bahtar say bahtar ki talash main zindagey hi guzar jaey

                  Taqdeer Bnanay walay tu nay kami tu na ki
                  Ab kis ko kia mila Yeh tu Muqadar ki Baat hai
                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

                    Originally posted by Aanchal View Post
                    theek hai Govt ki bhi ghalatiyan hain .....lekan kuch aisay bhi to loog hain jo yeh chahtay hian baghher mehnat kay achi job mill jaye or pesa zaida hoo ....yani aik dam say oper jana chahtay hain ....or choti moti job karna pasand nahi kartay ...is baray main aap ka kia khayal hai ?
                    aap by rozgari kehti kis ko hain ? by roz gari ussy naheen kehty k roz gar to ho laikin log karna na chaty hon balk byroz gari ka matlab hi ye hy k logon ko koi kaam hi na mily karny ko...
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment

                    • #11
                      Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

                      Originally posted by aabi2cool View Post
                      aap by rozgari kehti kis ko hain ? by roz gari ussy naheen kehty k roz gar to ho laikin log karna na chaty hon balk byroz gari ka matlab hi ye hy k logon ko koi kaam hi na mily karny ko...
                      koi kaam kio nahi milta aap kay khayal main ?
                      kia sirf Govt hi ki job reh gai hain ? mulk main kuch or nahi kia ja sakta kia :)
                      Last edited by .; 13 December 2006, 01:04.
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #12
                        Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

                        Originally posted by sccorpion81 View Post
                        Mere khyal main hamaray mulk main talent ki kami nahien hai....Talent ki kami nahien hai hamaray mulk main...laikin her kisi ko us ki marzi job tu nahien mil sakti na...aur ham log jab bhi apni education mukamal ker k university say ya college say bahir aatay hain tu sochtay hain k shayad hamaray liey job pahlay say intazar ker rahi hai...aur isi chakar main agar ham ko koee doosri job milti bhi hai tu ham us ko accept nahienkertay k wo hamaray profession say taluq nahien rakhti...MBA Marketting walla marketing manager hi banana chata hai Drafts man ko civil eng ki post chahiey, is tarha ki bohot see misalain hain .... ham ko sochna chahiey k ham ko start pahli seerhi say kerna hai na k chlang lga ker chat per pohncha jaey ....

                        Doosru wajha kuch Hakoomat ki ghaltion ko bhi nazar andaz nahien kia ja sakta...her oonchi post per baitha hoowa aadmi crupt hai...us ko jis nay paisa ziyada dia us nay us ko chun lia...kuch non professional banday aisi aisi jaghon per baithay nazar aa tay hain k aqal dang rah jati hai

                        Insan ko apni had tak koshish kerni chahiey laikin jo milay us per shukar bhi kerna chahiey yeh nahien k bahtar say bahtar ki talash main zindagey hi guzar jaey

                        Taqdeer Bnanay walay tu nay kami tu na ki
                        Ab kis ko kia mila Yeh tu Muqadar ki Baat hai

                        :thmbup: :thmbup: :thmbup:
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        • #13
                          Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

                          I would reply GOVT ki .. from ever n ever ... :)
                          Equal opportunity right >> Lack
                          Freedom of applying work >> Lack
                          Freedom to be hired as a new commer >> Lack
                          who made these conditions if not govt??
                          Visit My Early PS Work
                          You Are Welcome To Comment

                          Comment

                          • #14
                            Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

                            govt.

                            Comment

                            • #15
                              Re: Berozgari Awaam ki ghalati ya Govt ki ?

                              Meray khayal mein tu sari ki sari ghalti hakoomat ki hai, Laiken is mein kuch na kuch hamar bhi amal dakhal hai

                              Comment

                              Working...
                              X