Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

    Originally posted by barg.e.gul View Post
    @ Moderators

    Please close this thread!
    Nahin behna - I'll tell him how important it was that Iqbal were born as shaair and NOT as a politician, scienctist or something else
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #32
      Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

      Originally posted by filbahere View Post
      kia hamain shairoon ki zarorat hay
      shair log to wasey bi is dunia per bhoj hotey haan

      hmm ko scientist, engineers , workers and doctors ki zarorat hay
      aik nakamey , society sey door , sirf shairi main magan logon ki zaroorat naeen hay
      Janab Filba ji aap k replies perh k to hamein lagta hai k haamray khyal mein hamaree qaum ko sab se pehlay aisssay naujawano ki zarurat hai jo apni buzurg aur azeem hastiyon, aur mufakkiron ki qadar kerna seekhein :) :) :) ......
      sigpic

      Comment

      • #33
        Re: Agar Iqbal na hotey...?

        Originally posted by barg.e.gul View Post
        is mey ajeeb kya hai?

        chalein aap issi point ko explain ker dein..?
        ajeeb yeh k iqbal na huty to kia huna tha..kuch bee nahi ALLAH ny kisi aur bandy ko bej daina tha.......

        main to yehi kahonga k iqbal ko parr ker meri bikhri hui sochain akhati hu gai hain....aur mujy main himmat paida hugaee hay....aur mujy jeena ka hosila mila hay aur sab sy bari baat jo mujy pata chali hay k mera makam buhat ala hay LOOH O Qalam per bee meri dastras hay ager
        KEE MUHAMMAD PBUH SY WAFA TOO NY TO HUM TERY HAIN
        YEH JEHAN CHEEZ HAY KIA LOOG O QALAM TERY HAIN

        Comment

        • #34
          Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

          Originally posted by filbahere View Post
          do you know Allama Iqbal
          no dought he was a great poet
          but do you know he was a drinker as well
          aik nakam wakeel etc etc

          malka bartania key marnay per kia kaha tha
          "
          utta garb sey aj saya khuda
          "
          means key malka bartania khuda ka saya thee
          astagfiruallah

          critics to yeh bi kehtay haan key Iqbal ney us wakat key ik mashoor shair name is wakat meray zehan main naeen hay ki shairi ko copy kia kerta tha

          but from my point of view he was a great poet and nothing else
          he was not a good leader , not a good lawyer

          actually jab hmm kisi ki tareef kerna shorow kertay haan to us key kharab pehloo khatam ker detay haan
          thats wrong

          but in poetry i admire him , but i don't think key ager wo na hota to urdu adab per zeada farak perta
          urdu adab per ager farak per sakta tha to wo ghalib ki shari na honey sey per sakta tha

          wasey mujeh yeh samj naeen ati , saray sharabi itni acchi shari kesay ker letay haan
          kia acchi poetry baghair sharab peay naeen ho sakti kia
          MERA KHIYAL HAY K AP BE SHARAB PEE KER AISI BEHKEE HUI BATAIN KER RAHY HIAN....SAB SY ASAAN KAAM TANKEED KERNA HY...JO AAP HAMISHA SY KERTY HAIN ....KIUN K AAP K PASS THOOS BAAT KOI B NAHI....

          WAISY AGER MAIN AAP SY POCHON K AAP SHARAB PEE KER ALLAH KEE HAMAD AUR PIYARY NABI SAW KEE SHAAM MAIN KUCH LIKH SAKTY HIAN?
          NAHI.................KABI NAHI...................
          AUR ALLAMA KEE POETRY KEE TO KIA HEE HY UNOON NY INSAAN KO OS KA MAKAM DEKHAYA HAY...WO AIK ACHY LEADER YA WAKEEL NA SAHEE..LAKIN DOOR ANDAISH TO THY AUR UNAIN PATA THA K AAP JAISA B HUNY HAIN...
          JO K MAGHRABI TEHZEB MAIN JAKRY HUY HAIN...
          KHEERA NA KER SAKA MUJY JALWA DANISH O FARANG
          SURMA HAY MERI AANKH KA KHAK E MADINA I NAJAF

          AUR JO AAP NY KAHA K HE WAS NOT GUD LAYER....
          TO KIA AAP HAIN? KIA AP ACHY TEACHER HAIN? ACHY DOCTOR HAIN?
          ACHY SCEINTIST HAN? ACHY PROGRAMER HANI????
          KIA GHATIA SOCH HAY AAP KEE.....
          WO AIK AZEEM INSAAN HAIN....AUR SHAID AAP KAMM ELMI KEE WAJA SY UN KEY BARY MAIN YEH KEH RAHY HAIN....
          AISY LOAG TO HAZARON SALL BAD PAIDA HTY HAYN
          HAZRON SAL NARGAS APNI BEY NOORI PER ROTI HAY
          BARI MUSHKAL SY HUTA HAY CHAMAN MAIN DEEDA WAR PAIDA

          Comment

          • #35
            Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

            [QUOTE]
            Originally posted by filbahere View Post
            kia hamain shairoon ki zarorat hay
            shair log to wasey bi is dunia per bhoj hotey haan
            humain wakee poet kee koi zarorat nahi hay ..LAKIN Iqbal jaison kee hay jo humain apni pechan kara sakin....balky mery khiyal main to aap ko khudh aisa shair huna chayee........jo hamisha choti soch sochty hian,,,

            hmm ko scientist, engineers , workers and doctors ki zarorat hay
            aap kia hayn???????
            aik
            nakamey ,
            aap yeh to nahi hian???

            kindlay apney signature sey yeh tarakoons ( trucks ) wala sheer to delete kareen
            yehi wakee aap to ghatian soch k malik hay...trucks pakistani road k shahzdy hain......aur shaid aap ko yeh pata na hu k main ny yeh shair ALLAH k liy likha hay ....kk wo kaha hay???

            Comment

            • #36
              Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

              Originally posted by Masood View Post
              Nahin behna - I'll tell him how important it was that Iqbal were born as shaair and NOT as a politician, scienctist or something else
              Gee bhai yeh nahi janty...............enain batana hee pary ga....

              Comment

              • #37
                Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

                Originally posted by Khalil View Post
                AISY LOAG TO HAZARON SALL BAD PAIDA HTY HAYN
                HAZRON SAL NARGAS APNI BEY NOORI PER ROTI HAY
                BARI MUSHKAL SY HUTA HAY CHAMAN MAIN DEEDA WAR PAIDA
                Bilkul durust kaha aap nay....:) :thmbup:
                Allama Iqbal k lieey Sheikh Abdul Qadir At Law Saabiq Mudeer e Makhzan farmaatay hain:

                .."Kissay khabar thi k Ghalib Merhoom k baad Hindustaan mein phir koi Aisa shakhs peda hoga jo urdu shayari k jism mein ek naeey rooh phoonk de ga aur jis ki badaulat ghaalib ka baynazeer takhayyul aur nirala andaz e bayan phir wajood mein aaen gay aur Adab- e Urdu k farogh ka baaesh hongay....., Magar Zubaan e Urdu ki Khush Iqbaali dekhieey k IQBAL sa SHAYAR usey NAseeb huaa.........":) :) :)
                sigpic

                Comment

                • #38
                  Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

                  Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post

                  :salam: :salam: :salam: :salam: :salam: :salam: :salam:

                  Comment

                  • #39
                    Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

                    Originally posted by filbahere View Post
                    kia hamain shairoon ki zarorat hay
                    shair log to wasey bi is dunia per bhoj hotey haan
                    Iqbal Jis Tarz k shayar thay us tarz k shayar ki hamein shayad aaj bhi zarurat hai k jinn k qalam nay muslim duniya ki fikree o fani riwayat ko Heran kunn tareeqay se qalamband kiya........

                    aap chahein to perh bhi saktay hain .ZABOOR E AJAM......jis k teesray hissay BANDAGI NAMA mein..unhon nay Ghulami se bachnay ki talqeen ki hai aur aur aazadi k lieey Aqwaam mein naya jazba josh peda kiya hai.....:)

                    BAAL E JIBRAEL jis mein WAHDATUL WAJOOD ka ziker hai, INSAN ki Khudi means Ehsas e nafs yani zaat k yaqeen ko ujagar ko ujaagar kiya hai:)

                    Ye farmatay huey k:

                    Tu raaz e kun fakaan hai , apni aankhon pe aayaan hoja
                    Khuda ka raazdaan hoja , Khuda ka terjumaan hoja

                    Hawas nay ker diya tukray tukray no e insaan ko
                    Akhuwat ka byaan ho ja mohabbat ki zubaan ho ja

                    Ye hindi, wo khurasani, ye afghani, wo taurani'
                    Tu aey sharmindah e saahil uchhal kar bay karaan ho ja

                    Sayed Qasim Mehmood Apni tasneef .."Payam-e-Iqbal Bay Naujawanan-e-Millat...mein farmatay hain k IQBAl ki Shayaree teen adwar mein munqasim hai aur un teeno adwar mein un ka mukhatib naujawan hain ....:) ......

                    Apni shayree k teesar daur mein likhi gaey nazm"Tuloo e Islam" mein watan k naujwano ko mukhatib kertay huey Allah ki taraf se Ayad honay waali zimaydare ki peshan goeey kertay huey farmaya .....
                    "kuch ashaar likh rahahy hain hum..."

                    Teray seenay mein hai posheeda raaz e zindagi keh de
                    Musalmaan se hadees e soz o saaz e zindagi keh de

                    Khudaey lam yazal ka dast e qudrat tu zaban tu hai
                    Yaqeen peda kar k aey ghafil maghloob e gumaan tu hai

                    Paray hai charkh e neeli faam se manzil musalmaan ki
                    Sitaray jis ki gard e raah hon wo kaarwaan tu hai

                    Makaan faani ,makeen aani, Azal tera abad tera
                    Khuda ka aakhri pegham tu, jaawadaan tu hai

                    Hina band e uroos e lala hai khoon e jiger tera
                    tere nisbat IBRAHEEMI (AS) hai, memaar e jehan tu hai...:)

                    IQBAAL IS KISAM SHAYAR THAY:) :) jinhein aap nay na janay kia bana daala ............

                    hum aapko aur bhi bata sakatay ger aap jaan'na chahein k YE AZEEM MUFAKKIR , DANISHWAR , SHAYAR KIA THAY HAMAREE QOM k liey AUR KIA HAIN ...AUR HAMEIN KIA SAMJHNA CHAHIEEY INHEIN.:) .................Aur is kisam k azeem mufakkiron danishwaron ki Qaum ko her daur mein zarurat hai :)
                    Last edited by Eshaa Chaudhry; 1 November 2006, 10:14.
                    sigpic

                    Comment

                    • #40
                      Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

                      Originally posted by Khalil View Post
                      :salam: :salam: :salam: :salam: :salam: :salam: :salam:
                      :eye: :eye:
                      sigpic

                      Comment

                      • #41
                        Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

                        Originally posted by Khalil View Post
                        MERA KHIYAL HAY K AP BE SHARAB PEE KER AISI BEHKEE HUI BATAIN KER RAHY HIAN....SAB SY ASAAN KAAM TANKEED KERNA HY...JO AAP HAMISHA SY KERTY HAIN ....KIUN K AAP K PASS THOOS BAAT KOI B NAHI....
                        app ney shairii key ilawa iqbal ko kabi perha hay , naeen na
                        yeh app ki sirf mohabat bol rahi hay , is main app ka kasoor naeen hay

                        WAISY AGER MAIN AAP SY POCHON K AAP SHARAB PEE KER ALLAH KEE HAMAD AUR PIYARY NABI SAW KEE SHAAM MAIN KUCH LIKH SAKTY HIAN?
                        NAHI.................KABI NAHI...................
                        yahan app sey app ki morad Iqbal hay ya main explain kejay ga

                        AUR ALLAMA KEE POETRY KEE TO KIA HEE HY UNOON NY INSAAN KO OS KA MAKAM DEKHAYA HAY...WO AIK ACHY LEADER YA WAKEEL NA SAHEE..LAKIN DOOR ANDAISH TO THY AUR UNAIN PATA THA K AAP JAISA B HUNY HAIN...
                        JO K MAGHRABI TEHZEB MAIN JAKRY HUY HAIN...
                        aik to app logon ki zehaniat ki taan yahian per aa ker totti hay
                        maghrabi tehzeb wagera wagera

                        afsoos hay app ki zehniat per
                        jo app ki zehniat jesa na ho us per maghrabi zehniat ka tappa dey dia

                        KHEERA NA KER SAKA MUJY JALWA DANISH O FARANG
                        SURMA HAY MERI AANKH KA KHAK E MADINA I NAJAF

                        AUR JO AAP NY KAHA K HE WAS NOT GUD LAYER....
                        TO KIA AAP HAIN? KIA AP ACHY TEACHER HAIN? ACHY DOCTOR HAIN?
                        ACHY SCEINTIST HAN? ACHY PROGRAMER HANI????
                        KIA GHATIA SOCH HAY AAP KEE.....
                        App ney Quaid e Azam ko perha hay
                        un ki wakalat ko leen and iqbal ki wakalat ko leen
                        dehkain kis ki wakalat chalti thee,
                        kon accha wakeel tha
                        kon practical insan tha and kon sirf khab dekta raheta tha

                        pe practical yaar ,
                        hakeekat sey moin choraney waley hamesha dosron ki zehniat ko Ghatia zehniat and apni zehniat ko alla zehnaiat tosawar kertay haan

                        Ager practical hona , sach ko sach and joht ko joht kehna app key kheal main ghatia zehniat hay
                        to soch lain key tumain ambia and Hazoor PBUh ki zehaniat bi yahi thee key sach ko sach and joht ko joht kaha jaeey

                        and dehk lain app kin ki zehniat ko johata and ghatia keh rahey haan

                        WO AIK AZEEM INSAAN HAIN....AUR SHAID AAP KAMM ELMI KEE WAJA SY UN KEY BARY MAIN YEH KEH RAHY HAIN....
                        AISY LOAG TO HAZARON SALL BAD PAIDA HTY HAYN
                        okey i agree main ney kamm perha hay , app ney shayed zeada per lia hay

                        app ko kia pata hay
                        key wo jin angreezon ko bora kehtay theey un hi sey wazeefa ley ker khatey they

                        un hi ki malka bartania key tareef main us ko Allah ka saya bana dia

                        kia yeh doghala pan naeen ,
                        aik taraf angreezon ko bora bhala kaha ja rha hay , dosri taraf un ko Allah ka saya banaya jaa raha hay

                        bahi main ney to kam perha app ney kabi un ki zindagee ko perha

                        MOhabat main insan ko andaha naeen hona chayeh
                        jo acchi bateen haan un ko accha and jo ghalat bateen haan un ko ghalat kehnay ka hosla peda kerna chayeh
                        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                        Comment

                        • #42
                          Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

                          Originally posted by Masood View Post
                          filba agar bura na manein to aik talakh baat kahoon? Merey bhai aap kisi achhey sey mahir-e-nafsiyaat sey rabta kijiye....
                          thanx
                          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                          Comment

                          • #43
                            Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

                            Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                            Janab Filba ji aap k replies perh k to hamein lagta hai k haamray khyal mein hamaree qaum ko sab se pehlay aisssay naujawano ki zarurat hai jo apni buzurg aur azeem hastiyon, aur mufakkiron ki qadar kerna seekhein :) :) :) ......
                            naeen sab sey pehlay
                            sach bolna and sonna and us ko bardasht kernay waley chaeein

                            izzat kerni chayeh lakin yeh naeen key un ko khuda bana dena chayeh
                            People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                            Comment

                            • #44
                              Re: Mubahisa: Agar Iqbal na hotey...?

                              Originally posted by barg.e.gul View Post
                              @ Moderators

                              Please close this thread!
                              haan wakey is ko close ker dena chayeh
                              keeon keys sach soney ka yahan kisi ko hosla naeen hay :D
                              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                              Comment

                              • #45
                                Re: Agar Iqbal na hotey...?

                                Originally posted by Khalil View Post
                                ajeeb yeh k iqbal na huty to kia huna tha..kuch bee nahi ALLAH ny kisi aur bandy ko bej daina tha.......

                                main to yehi kahonga k iqbal ko parr ker meri bikhri hui sochain akhati hu gai hain....aur mujy main himmat paida hugaee hay....aur mujy jeena ka hosila mila hay aur sab sy bari baat jo mujy pata chali hay k mera makam buhat ala hay LOOH O Qalam per bee meri dastras hay ager
                                KEE MUHAMMAD PBUH SY WAFA TOO NY TO HUM TERY HAIN
                                YEH JEHAN CHEEZ HAY KIA LOOG O QALAM TERY HAIN
                                kash key app Quran perh letay , is sey zeada faida hota meray bahi
                                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                                Comment

                                Working...
                                X