Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

    :)
    Attached Files

  • #2
    Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

    Assalaam o alekum



    bahooot khoob umdeh article share kiyaa aapnien jahaan tak mainien dekhaa hai aur paayaa hai bare bhai huqmaraaan nahin hote ek dost ek baap ki haisiyat rekhte hain bare bhai ab yeh alag baat hai ke hum unhien huqmaraan samajh baithte hain
    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment


    • #3
      Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

      merey ghar mey to bilkul is key opposite hai :D:

      yaani key barhey hein to barhey hein un ki respect apni jagey magar apni koi cheez chahiye ho to direct hum sadar key paas phonch jaatey hein ...beech mey koi deewar nahi :eye:
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

        AOA,


        Aap nain jo batain ki hain takreeban wo darost hain main nain daikha b hain aur sona b hai bohat achi batain share ki hain aap nain.


        Sohail Abbasi.
        Apna haq ada karo.

        Comment


        • #5
          Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

          Ouff...kya yaad dilaya :tauba


          Meri bari sis aisi thi kuch hakimana andaz ki mailk ..... Toba hai oun se ...buhut sakht thi....Naam Neelam tha magar majal haik koi naam se pukarey.... Baji kehtey they sab..... Mera akser oun se jhagra rehta tha...kiu k mei akser ghar k kamo se jaan churati thi :p ...Aur wo mujhe kuch keh nahi pati thi..kiu k mere papa meri taraf dari kertey they :D . Baji se koi kaam hota to toba minatein ker ker k manti thi.

          Ab oun ki shadi ho chuki hai, Saudi Arab mei rehti hain, Sab kehtey hain k baji k baad mei hukmaran ban gayi hoon, ab apni mun mani kerti hoon :p

          Magar mei ne apne se chotey behan bhaio se aisa behave nahi rakha, oun ke sath dosto ki tarah hoon, meri sab se choti behan abhi 11 saal ki hai wo abhi tak mera naam saima se bigar ker samsa bolti hai, mama ousey danti hain baji kaha ker magar mujhe ghar mei koi saima baji nahi kehta. Mei oun per sakti kerti hoon magar jahan zaroorat ho , werna nahi.... mere behan bhai apni her shararat aur baat jo wo mama papa se share nahi ker saktey mujh se share kertey hain..... Mujh se ghar mei kisi ko marr tab perti hai jab meri koi chiz kisi ne li ho aur zaroorat ke waqt mujhe na miley...... Bas is baat per sakhti kerti hoon, kisi ko apni koi chiz istemal kerne se mana nahi kerti , bas yeh k jaha se li ho waha wapis ousi tara arrange ker k rakhi ho.
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

            meri to koi behen hi nahi he na choti na bari is leay no tajurba :cc:

            Comment


            • #7
              Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

              Asslam O Alaikum

              Main is barey main kuch nahi keh sakta kyun kai main khud sab sai bara bhai hoon :) ..!!! apney kisi chotey sai poochon ga to wo shayad baatein mujhey kai main kya hoon :) Jeetey rahyeh khush rahyeh

              Waslam

              Comment


              • #8
                Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                yaar aik_lerki mera to koi bahan ya bhai nahe hai mai akloota hon to mai kuch nahe keh sakta is baary main .mera bhe koi tajarba nahe ha tumhare tarah

                Comment


                • #9
                  Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                  bary bhai bohat achy hoty hain mugh ka bara bhai bohat sweet hay or myra best friend hay

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                    hmmm main khuch darmyaan main ati hoon Bara bhai ofcourse us ki hamiyat hai us ki baat ko hamiyat de jati hai maghar wo kyun kay ab yahaan hotay nahin hian so appney ghar main ab main hi bari hoon aur achi khassi meri baat ki hamiyat bhi hai mani bhi jati hai aur chotay behan aur bhai kay sath bhi sahi dosti hai dono hi har baat aa kar share kartay hain wo alag baat hai main khuch khaas sunna passand nahin karti :lol us kay ilwa kaam shaam jo hai wo khud hi karti hoon Chotay kyun kay khud ko ziayda hi chotay samjhtay hain so choti behan abhi tak CHOTI hi bani hoi hian
                    Zindagi Thak Gaye ..!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                      Aik achha sawaal hai.

                      Main apney behan bhaiyon mein second last hoon :). Hamarey ghar mein merey bharey bhai ki bohat ahmiyaat huwa karti thi jab tak unki shadi nahin ho gaee aur woh elahda nahin huwey they. Mujhey yaad hai keh merey yehi bhai hamein cycle peh school ley jaya kartey they aur school sey ghar laatey they (yeh baat hai jab ham abhi PK mein rehtey they). Badey bhai ghar mein walid ki jaggah samjhey jatey they aur inki baat chalti thi. Mujhey Cantt janey ka shoq huwa karta tha, bhai ko btaey bghair chaley jatey to khoob hajamat hoti :hathora. Lekin meri apni apney chhotey bhai peh kabhi nahin chali balkey uski bhi mujh hi peh chala karti thi :lol. Main hamesha peechhey peechey rehney wala huwa karta tha....

                      Lekin yeh aik fact hai keh badey bhai ya behan ka hona jo ghar ko sambhaal sakey, zaroori hota hai.
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                        Iss jahan mein sabhi log ek jaise nahin hote, kisi ko jo milta to dusre ko nahin milta, jo dusre ko milta wo pehle ko nahin milta, kahin bare bhai achhey hote hain chhote kharab, to kahin chhote achhey bare kharab.

                        Main ghar ka sabse bara hoon, apna experience yeh kahta hai ke jo bara sochta hai, wo chhota nahin sochta, chaye wo education ka field ho, competition ka field ho ya apne pairon pe khare hone ka...chhote to bas "chhota" samajh kar ke abhi waqt nahin hai kah kar taal jata hai, aur apni bhi nahin sochta hai. chhota ghalti kare to bara usse ma'af kar dete hain, agar bara kuchh hard word bol diya to kayi dino tak silence ka mahoul rahta hai, bara apne bhai bahno ke liye jaan deta hai, pyar karta hai, chhote mote gift dete rahta hai, lekin chhota bhai/bahan aise nahin sochte. Bare bhai ko soch samajh kar chalna hota hai takey koi ghalti naa ho jaaye k agar yeh ghalti ho gayi to chhota bhai follow karega, iske bara'ks chhota andha dhoondh ghaltiyan kar baithe, aur chhota hone per ma'af, bara bhai ko bahut kuchh sacrifice karna parta hai, bara bhai ko waqt se pehle quardian bana deta hai, chhota ke saath aisa kahan hota.
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                          Originally posted by Spy009


                          Main ghar ka sabse bara hoon, apna experience yeh kahta hai ke jo bara sochta hai, wo chhota nahin sochta, chaye wo education ka field ho, competition ka field ho ya apne pairon pe khare hone ka...chhote to bas "chhota" samajh kar ke abhi waqt nahin hai kah kar taal jata hai, aur apni bhi nahin sochta hai.


                          yeh experience aap ka hai magar her jaga aisa nahi hota.... Yeh depend kerta hai on the personality one has...... Mei apne ghar per dosrey number per hoon, magar her field mei apni bari sister se aagey thi, kiu k wo kuch buhut active yaan social nahi thi, wo kisi se baat kertey huwey jhijhakti thi, bahir issi tara education ki field mei bhi she did'nt want to go further, but I did. Aur mere chotey behan bahi (mashallah) mujh se bhi aagey gayeh hain.


                          Originally posted by Spy009
                          Originally posted by Spy009
                          chhota ghalti kare to bara usse ma'af kar dete hain, agar bara kuchh hard word bol diya to kayi dino tak silence ka mahoul rahta hai,


                          Yeh bhi sahi nahi, jab kisi chotey ko kisi jayez baat per dannto to aap ka poora poora haq hai, it happens with me , Meri choti behan yaan bhai jab koi galat kaam karey to mei sakhti se danti hoon, tab meri mama bhi kuch nahi kehti. Magar yeh aap per depend kerta hai k aap mahol ko baad mei kaisey change kertey ho...... Dant'na aap ka haq hai magar sath hi baad mei oun ka mood cahnge kerna aur pyar se samjhana bhi aap ka farz hai :)

                          Originally posted by Spy009
                          bara apne bhai bahno ke liye jaan deta hai, pyar karta hai, chhote mote gift dete rahta hai, lekin chhota bhai/bahan aise nahin sochte.
                          Yeh bhi sahi nahi hai dear, aap apne se choto'n k liyeh jo kertey ho apna farz samajh ker kertey ho, is liyeh to nahi k badley mei wo bhi aisa karein yaan sochein..... magar yaqin janiye k aap ka pyar aap ounhien dai gai outna hi ek din badley mei oun se payein gai. Mei job kerti hoon, I do buy gifts for my sisters and since my younger brother started working he had bought the first gift for me. Mei bas itna kehna chah rahi hoon k sirf barey hi choto k liyeh nahi chotey bhi apne se baro k liyeh sochtey hain...haan yeh aur baat k aisa zahir honey mei ounhein kuch waqt lagta ho :)

                          Originally posted by Spy009
                          Bare bhai ko soch samajh kar chalna hota hai takey koi ghalti naa ho jaaye k agar yeh ghalti ho gayi to chhota bhai follow karega, iske bara'ks chhota andha dhoondh ghaltiyan kar baithe, aur chhota hone per ma'af, bara bhai ko bahut kuchh sacrifice karna parta hai, bara bhai ko waqt se pehle quardian bana deta hai, chhota ke saath aisa kahan hota.
                          Sab halaat per depend kerta hai dear, kabhi kabhi choto'n ko bhi waqt se pehley guardian ban'na perta hai aur buhut zimedarian sanbhalna per jati hain. :)
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            yeh experience aap ka hai magar her jaga aisa nahi hota.... Yeh depend kerta hai on the personality one has...... Mei apne ghar per dosrey number per hoon, magar her field mei apni bari sister se aagey thi, kiu k wo kuch buhut active yaan social nahi thi, wo kisi se baat kertey huwey jhijhakti thi, bahir issi tara education ki field mei bhi she did'nt want to go further, but I did. Aur mere chotey behan bahi (mashallah) mujh se bhi aagey gayeh hain.


                            Iski wajah thi active aur shyness, jahan dono active hota to...



                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Yeh bhi sahi nahi, jab kisi chotey ko kisi jayez baat per dannto to aap ka poora poora haq hai, it happens with me , Meri choti behan yaan bhai jab koi galat kaam karey to mei sakhti se danti hoon, tab meri mama bhi kuch nahi kehti. Magar yeh aap per depend kerta hai k aap mahol ko baad mei kaisey change kertey ho...... Dant'na aap ka haq hai magar sath hi baad mei oun ka mood cahnge kerna aur pyar se samjhana bhi aap ka farz hai :)


                            Bara unn chizon ko ignore kar deta hai, jabke chhota, chhoti-chhoti baaton ko gaanth baandh kar hamesh yaad rakhta hai

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Yeh bhi sahi nahi hai dear, aap apne se choto'n k liyeh jo kertey ho apna farz samajh ker kertey ho, is liyeh to nahi k badley mei wo bhi aisa karein yaan sochein..... magar yaqin janiye k aap ka pyar aap ounhien dai gai outna hi ek din badley mei oun se payein gai. Mei job kerti hoon, I do buy gifts for my sisters and since my younger brother started working he had bought the first gift for me. Mei bas itna kehna chah rahi hoon k sirf barey hi choto k liyeh nahi chotey bhi apne se baro k liyeh sochtey hain...haan yeh aur baat k aisa zahir honey mei ounhein kuch waqt lagta ho :)
                            Yes apna farz samjhte hain, lekin chhoto se return ki ummeed nahin rakhte hai, lekin badle mein bara kya chahta hai...ke chhota kya aur kaisa kare.



                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Sab halaat per depend kerta hai dear, kabhi kabhi choto'n ko bhi waqt se pehley guardian ban'na perta hai aur buhut zimedarian sanbhalna per jati hain.
                            Originally posted by Saima Shaheen
                            :)
                            Agar chhota bara ko follow kar raha ho to apni zimmedari samajhta hai.

                            Finally, Main yeh nahin kah raha hoon ke chhote bilkul nakkara hote hai, ba'az dafa wo bahut chahte hain, bahut respect karte hain, aur kaha maante bhi hain, lekin usse baar guidance ki zaroorat kyon parti hai, bara jaisa hope karta hai chhota uska result kyon nahin deta.
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                              Originally posted by Spy009

                              Iski wajah thi active aur shyness, jahan dono active hota to...


                              To phir bhi aap ko choto'n ko poori azadi aur time dena chahiyeh to accept things they way they feel :)

                              Originally posted by Spy009

                              Bara unn chizon ko ignore kar deta hai, jabke chhota, chhoti-chhoti baaton ko gaanth baandh kar hamesh yaad rakhta hai


                              To kya huwa, barey honey k natey aap ka sirf dant'ney ka hi haq hai...mananey ka nahi ??

                              Mei apni choti sis ko jab dant'ti hoon, wo bhi mou bana leti hain, I leave them alone for some time to evaluate their mistake and my reaction on it. Aur phir thori dair baad khudh hi ounhein mana bhi leti hoon, bari honey k natey I don't expect from them to come to me always, I prefer to go to them myself, is se mere barey honey mei koi farq nahi aata, oulta they feel guilty for their behave :)


                              Originally posted by Spy009
                              Yes apna farz samjhte hain, lekin chhoto se return ki ummeed nahin rakhte hai, lekin badle mein bara kya chahta hai...ke chhota kya aur kaisa kare
                              Originally posted by Spy009
                              .


                              Kiu ??? Aap jo chahtey hain wo hi kiu?? ....jo chotey cahhtey hain wo kiu nahi?? ..... ager ous mei kuch galat koi burayi nahi to .....Give them freedom to do things in their ways just show them the ways and guide them and let them go easily the way they feel, just keep an eye on them ....its your resposibility :)

                              Originally posted by Spy009
                              Agar chhota bara ko follow kar raha ho to apni zimmedari samajhta hai.
                              Originally posted by Spy009

                              Finally, Main yeh nahin kah raha hoon ke chhote bilkul nakkara hote hai, ba'az dafa wo bahut chahte hain, bahut respect karte hain, aur kaha maante bhi hain, lekin usse baar guidance ki zaroorat kyon parti hai, bara jaisa hope karta hai chhota uska result kyon nahin deta.

                              At the end I'll tell you dear wht's the prob...U compare your youngers and your self on the same scale.which is not right and not fair as well. Aap jo kertey ho, aur cahhtey ho chotey her kaam aap ki razamandi ke mutabiq karein...aisa her baar mumkin nahi, ab wo doar (age) bhi nahi..... Aaj ki generation baro'n se bas itna chahti hai

                              "Think with Us not About Us"

                              So Think with them not for or about them, all the problem will end here. Walk with them U'll always find them with you. :)
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X