Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

    Originally posted by Saima Shaheen
    [/color]

    At the end I'll tell you dear wht's the prob...U compare your youngers and your self on the same scale.which is not right and not fair as well. Aap jo kertey ho, aur cahhtey ho chotey her kaam aap ki razamandi ke mutabiq karein...aisa her baar mumkin nahi, ab wo doar (age) bhi nahi..... Aaj ki generation baro'n se bas itna chahti hai

    "Think with Us not About Us"

    So Think with them not for or about them, all the problem will end here. Walk with them U'll always find them with you. :)
    I am not comparing to myself, thik hai razamandi ke mutabiq kaam na kare to kam se kam parents ki bhi to baat sune, azadi ka bhi ek daira hota hai, uss circel se beyond jaye to...and how can I move with them if they are going wrong.

    And last I don't wish to argue for this silly matter, coz somewhere I found affirmative, ho sakta hai ke aap apni jagah thik hon, but jahan tak mera khyal hai ke insaan ko uska apna personal experience hi ussey bahut kuchh sikha deta hai.

    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #17
      Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

      Well I'm sorry ager aap ko yeh laga k mei aap ko kuch sikha rahi hoon, yaan argue ker rahi hoon, it wasn't that....It was just a discussion.
      Zahir hai her Insan apne personal experiences se hi seekhta hai, kitbein yeh sab nahi sikhati.
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

        Originally posted by khurram_shaikh
        Assalaam o alekum



        bahooot khoob umdeh article share kiyaa aapnien jahaan tak mainien dekhaa hai aur paayaa hai bare bhai huqmaraaan nahin hote ek dost ek baap ki haisiyat rekhte hain bare bhai ab yeh alag baat hai ke hum unhien huqmaraan samajh baithte hain
        Thankx Khurram bhai :)

        um haan sabhe to aise nahe hoty mager mostly bary bhai bahan aise hote hain na jo apnny choto per hokum he chalaty hain..ager choty bahan bhaiyo sy koi baat manwne ho unko tou piaar sy kehna chahiyay phir choty bahan bhai bhe hukumraan nahe samjhy gay unko aur as a friend un ki baat maan lain gay :)

        Comment


        • #19
          Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

          Originally posted by barg.e.gul
          merey ghar mey to bilkul is key opposite hai :D:

          yaani key barhey hein to barhey hein un ki respect apni jagey magar apni koi cheez chahiye ho to direct hum sadar key paas phonch jaatey hein ...beech mey koi deewar nahi :eye:
          wow

          kiaa baati ha :)

          haan her jaga alag alag situation hote hai na ..:-)

          Comment


          • #20
            Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

            Originally posted by khan
            AOA,


            Aap nain jo batain ki hain takreeban wo darost hain main nain daikha b hain aur sona b hai bohat achi batain share ki hain aap nain.


            Sohail Abbasi.
            Thankx khan :D:

            Comment


            • #21
              Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

              Originally posted by Saima Shaheen
              Ouff...kya yaad dilaya :tauba


              Meri bari sis aisi thi kuch hakimana andaz ki mailk ..... Toba hai oun se ...buhut sakht thi....Naam Neelam tha magar majal haik koi naam se pukarey.... Baji kehtey they sab..... Mera akser oun se jhagra rehta tha...kiu k mei akser ghar k kamo se jaan churati thi :p ...Aur wo mujhe kuch keh nahi pati thi..kiu k mere papa meri taraf dari kertey they :D . Baji se koi kaam hota to toba minatein ker ker k manti thi.

              Ab oun ki shadi ho chuki hai, Saudi Arab mei rehti hain, Sab kehtey hain k baji k baad mei hukmaran ban gayi hoon, ab apni mun mani kerti hoon :p

              Magar mei ne apne se chotey behan bhaio se aisa behave nahi rakha, oun ke sath dosto ki tarah hoon, meri sab se choti behan abhi 11 saal ki hai wo abhi tak mera naam saima se bigar ker samsa bolti hai, mama ousey danti hain baji kaha ker magar mujhe ghar mei koi saima baji nahi kehta. Mei oun per sakti kerti hoon magar jahan zaroorat ho , werna nahi.... mere behan bhai apni her shararat aur baat jo wo mama papa se share nahi ker saktey mujh se share kertey hain..... Mujh se ghar mei kisi ko marr tab perti hai jab meri koi chiz kisi ne li ho aur zaroorat ke waqt mujhe na miley...... Bas is baat per sakhti kerti hoon, kisi ko apni koi chiz istemal kerne se mana nahi kerti , bas yeh k jaha se li ho waha wapis ousi tara arrange ker k rakhi ho.
              Umm achaaa

              To its mean ky jo bara hota hai us ka behavior khud ba khud hakimana ho jata hai..haan aap friendly hoon ge na to piaar sy apni baat manwa lete hon ge ;)

              Comment


              • #22
                Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                Originally posted by shy
                meri to koi behen hi nahi he na choti na bari is leay no tajurba :cc:
                umm achaa :)

                to phir aap bhe mere tarah dosro ky experience sy apni maloomat main izafa keray :D

                Comment


                • #23
                  Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                  Originally posted by ForumAdmin
                  Asslam O Alaikum

                  Main is barey main kuch nahi keh sakta kyun kai main khud sab sai bara bhai hoon :) ..!!! apney kisi chotey sai poochon ga to wo shayad baatein mujhey kai main kya hoon :) Jeetey rahyeh khush rahyeh

                  Waslam
                  WalikomAssalam

                  Umm chalay sahe hai phir aap poch ker batiyay ga .:)

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                    Originally posted by innocent_maheen
                    bary bhai bohat achy hoty hain mugh ka bara bhai bohat sweet hay or myra best friend hay
                    haan rehny do bass tum ka bara bhai :p

                    mujhy pata hai kitna acha hai:tang:

                    Comment


                    • #25
                      Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                      Originally posted by ~khawahish~
                      hmmm main khuch darmyaan main ati hoon Bara bhai ofcourse us ki hamiyat hai us ki baat ko hamiyat de jati hai maghar wo kyun kay ab yahaan hotay nahin hian so appney ghar main ab main hi bari hoon aur achi khassi meri baat ki hamiyat bhi hai mani bhi jati hai aur chotay behan aur bhai kay sath bhi sahi dosti hai dono hi har baat aa kar share kartay hain wo alag baat hai main khuch khaas sunna passand nahin karti :lol us kay ilwa kaam shaam jo hai wo khud hi karti hoon Chotay kyun kay khud ko ziayda hi chotay samjhtay hain so choti behan abhi tak CHOTI hi bani hoi hian
                      lolz:lol
                      umm to ab aap ky mazy aa rahy hain c0z aap jo bare ho gae hain ab apny gher main :p

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                        Originally posted by Masood
                        Aik achha sawaal hai.

                        Main apney behan bhaiyon mein second last hoon :). Hamarey ghar mein merey bharey bhai ki bohat ahmiyaat huwa karti thi jab tak unki shadi nahin ho gaee aur woh elahda nahin huwey they. Mujhey yaad hai keh merey yehi bhai hamein cycle peh school ley jaya kartey they aur school sey ghar laatey they (yeh baat hai jab ham abhi PK mein rehtey they). Badey bhai ghar mein walid ki jaggah samjhey jatey they aur inki baat chalti thi. Mujhey Cantt janey ka shoq huwa karta tha, bhai ko btaey bghair chaley jatey to khoob hajamat hoti :hathora. Lekin meri apni apney chhotey bhai peh kabhi nahin chali balkey uski bhi mujh hi peh chala karti thi :lol. Main hamesha peechhey peechey rehney wala huwa karta tha....

                        Lekin yeh aik fact hai keh badey bhai ya behan ka hona jo ghar ko sambhaal sakey, zaroori hota hai.
                        umm achaa :)

                        its mean ky ye baat sahe hai ky bary bahan ya bhai ki zada ahamyat hote hai gher main banisbat choty bahan bhayaon kay :D:

                        Comment


                        • #27
                          Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                          Originally posted by Spy009
                          Iss jahan mein sabhi log ek jaise nahin hote, kisi ko jo milta to dusre ko nahin milta, jo dusre ko milta wo pehle ko nahin milta, kahin bare bhai achhey hote hain chhote kharab, to kahin chhote achhey bare kharab.

                          Main ghar ka sabse bara hoon, apna experience yeh kahta hai ke jo bara sochta hai, wo chhota nahin sochta, chaye wo education ka field ho, competition ka field ho ya apne pairon pe khare hone ka...chhote to bas "chhota" samajh kar ke abhi waqt nahin hai kah kar taal jata hai, aur apni bhi nahin sochta hai. chhota ghalti kare to bara usse ma'af kar dete hain, agar bara kuchh hard word bol diya to kayi dino tak silence ka mahoul rahta hai, bara apne bhai bahno ke liye jaan deta hai, pyar karta hai, chhote mote gift dete rahta hai, lekin chhota bhai/bahan aise nahin sochte. Bare bhai ko soch samajh kar chalna hota hai takey koi ghalti naa ho jaaye k agar yeh ghalti ho gayi to chhota bhai follow karega, iske bara'ks chhota andha dhoondh ghaltiyan kar baithe, aur chhota hone per ma'af, bara bhai ko bahut kuchh sacrifice karna parta hai, bara bhai ko waqt se pehle quardian bana deta hai, chhota ke saath aisa kahan hota.
                          umm sahe :)
                          but jesy saima ny kaha ky her gher main aik jesa mahool nahe h0ta to aise he her gher main aisa nahe hota.. :) bohat say gher aise bhe hain jaha bary aur choton main koi difference nahe kiya jataa.

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                            Depend kay app kay ghar ka atmosphere kasa hai...
                            Like agar mahool dostana ho tou phir kya he baat hai...

                            kyon kay her rishtay men phele dosti ka rishta hona chaye... chahye wo app ke mom ho dad ho bhai ya bhen... agar dosti kar rishta hoga tou sub thek rahta hai... thats what i think or thats what i have in my home....

                            agar mahol dostana hai tou her chez... mashawaray aur understanding say tayy kar lee jati hai...
                            - Have the Courage to Live ! Anyone Can Die ! -

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                              baray behan bahi zaida tar roob hi jamatay hain (sab nahi zaidatar) ....unkay bad jo chutay hotay hain woh apnay say chutoun pay bilkul bhi nahi jamatay roob
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #30
                                Re: ~ Bary Baha bhai mukhlis dost ya ... ~

                                Originally posted by Aanchal
                                baray behan bahi zaida tar roob hi jamatay hain (sab nahi zaidatar) ....unkay bad jo chutay hotay hain woh apnay say chutoun pay bilkul bhi nahi jamatay roob
                                :devilsmil
                                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                                Comment

                                Working...
                                X