Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: shaadi zarori kyun????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: shaadi zarori kyun????

    Originally posted by Aanchal View Post
    female kay leye itna asaan nahi hai yeh chaye jitni bhi independant houn jitna acha kama laiti houn ya to aap parents kay sath reh sakti hain ya hubby ....:)
    indepenent se humari muraad self earning ki thi aanchal ji.....hum khud earn karte ho aur papa mama ke pass rehte ho tu phir kya harj hai???????:)

    Comment


    • #32
      Re: shaadi zarori kyun????

      Originally posted by filbahere View Post
      First of all insan ko apney app per yakeen hona chayeh
      if i think i am right then i know key Allah ney Quran main farmaya hay key

      ------------------------------
      Sora Noor verse number 26
      024.026 Women impure are for men impure, and men impure for women impure and women of purity are for men of purity, and men of purity are for women of purity: these are not affected by what people say: for them there is forgiveness, and a provision honourable.
      Al-Qur'an, 024.026 (An-Noor [The Light])
      Text Copied from DivineIslam's Qur'an Viewer software v2.910



      ----------------------
      so ager main teek hoon ga to Allah key hukam sey i will get a good partner
      so i think if some one think that how his/her partner will be , he/she should see him/herself.
      Allah apna wada zaroor pora keray ga


      Second:
      App ney kaha key mail dominated society hay , to yeh hamesha hi rahey gi
      waja Quran ney khod batai hay

      ---------------------------------
      Sora Nisa verse number 34

      004.034 Men are the protectors and maintainers of women, because Allah has given the one more (strength) than the other, and because they support them from their means.
      Al-Qur'an, 004.034 (An-Nisa [Women])
      Text Copied from DivineIslam's Qur'an Viewer software v2.910


      -----------------------------
      baki baat kham kha bharti jaey gi

      women's right in islam per app Dr Zakir Nayak ka lecture per sakti haan , meri signature main shamil hay


      Baki shadi ka jahan tak taluk hay , wo main pehlay hi arz ker chuka hon key insan ko apnay per bharosa hona chayeh , jis tarah ka insan khud hota hay , us ko usi tarah ka partner milay ga

      take care
      hum ne aap ke reply padha....
      male dominante socitey wali baat se humari muraad yeh thi ke "mardon ki zalimana hukoomat"..Islaam ne be-shak mardon ko mairaat di hai..lakeen humara deen aurton aur mardon ke haqooq mein koi kotahi nahi karta...phir jo mard hai woh apne haqooq ka galat faydah kyun uthate hain...... hum aik bacchi goad lena chahte hain ab kya zarori ke humare xyz ya so called husband bhi aisa karne per raazi ho jaye....humari khawhishaat ka aihtraam hi jub nahi ho raha tu hum samne wake ke aage apne armaan rakhe hi kyun??? aik aurat mard ko apni zaat se her tarah ka sukoon deti hai..if she is perfect wife..phir mard kotahi kyun ker jaata hai???? bachpan se muslims family mein ladkon ko kaafi aihmyat di jaati hai banisbat ladki ke yahan se back ground bana shoro hota hai..:)
      hum ne apne reply mein likha tha ke ager aurat ko us ke hooqoq mil rahe hote tu hooded ordiance ka qanoon nahi banta..aur usey bhari asembli mein phaad ker phaikne waale members ne yeh bhi nahi socha ke us mein Aap(PBUH) ka naam hai...is this right?? mard ka gussa..is gusse mein woh aksar aape se baher ho jaata hai aur woh kaih jaata hai jo aurat ke liye us ki zindagi ka daag ban jaata hai...
      any wayzz aap ka reply accha laga...:)
      Alalh aap ko khush rakhe..:rose

      Comment


      • #33
        Re: shaadi zarori kyun????

        Originally posted by filbahere View Post
        ager chay app ka yeh swal anchal ji sey tha
        lakin main kuch guzarish karoon ga

        insan khud per kabo pa sakta hay , lakin dosron per naeen
        and second ager koi female thinks key wo independent life guzarey to wo esay hay key hiran jangle main apney garooh sey aledha rehna chayeh

        yeh bateen kia jangley key janwer us ko zinda choren gay

        so ager wo women apney nafas per kisi tarah kaboo pa leti hay and kisi pious person sey marry bi naeen kerti , to kia wo apney app ko janwaroon ki tarah naeen dhakeelti , jo sirf isi tak main hotey haan , one can control oneself but how them.
        think on this
        Aik muslim samaj mein aik gair shaadi shudah ya bewah aurat maihfooz nahi tu yeh kis ki galti hai bhai??????? you know what aik zamana howa karta tha yeh humari nani jaan batate hain ke us zamane mein before partition hindu aur digar mazhab ke log apni betiyaan musalmano ke gher amanat ke taur per rakhwaya karte the..ke aik musalmaan amanat mein khayanat nahi karta...aur Islaam aurton ki izat karna sikhata hai....phiir achanak kya howa ke hum se humara maan cheen liya gaya....bhai jaan aap apni baat per gor kijye ke aisa kaihne ki zarorat hi kyun paish aati hai?????hume tu Insaan banaya gaya..umat mein paidah kiya gaya..aik muslmaan nafas ka gulaam nahi ho sakta kabhi bhi nahi...phir aisa kyn ke humare muslim mashre mein aik aurat maihfooz nahi??????? :)

        Comment


        • #34
          Re: shaadi zarori kyun????

          Originally posted by khurram_shaikh View Post
          Assalaam o alekum,


          ummid aapke inhi sawaaloon mien aapkaa jawab bhi hai ghaur se perhien aur soochien aur sab kuch usi gafoorur rahim per chhoor dien aur khush rahien
          waalaikumassalam bhai...
          sahi kaha aaap ne...Allah hi reham kare...Usi ki zaat per yaqeen hai aur kuch nahi...koshish hai tu yahi ke apne amal sahi rakhein taa keh Allah apni rehmato'n ke saaye mein rakhe .... thanx...:)

          Comment


          • #35
            Re: shaadi zarori kyun????

            Originally posted by Eshaa_wellwisher View Post
            Bilkul sahee kaha aap nay ....sab rishtay naatay sab apni jaga mohtaram , pyaray hotay hain lekin lekin beherhaal ek waqt aata hay aisa k tanha aurat ka moashray mein rehna mushkil ho jata hai , aisay mein ye moashra us aurat k liey ek jungle hee hota hay jis mein tarha tarha k jaanwar(sorry agar mard hazraat ko bura lagay to hum sirf misal de rahay hain :embarasse )hain jo sirf taak lagaey baythhay hotay hain ...khud per qaaboo paaya jaa sakta hay lekin doosroon ki koi gaurantee nahin specially aajkal k zamanay mein jahan parents tak apni aulaad k lieey wasooq se kuch kehnay ki position mein nahin wahan aam logon ko kaisay koi samajh sakta hay ya jaan sakta hay...Aurat ko beherhaal ek tahaffuz ki zarurat hoty hai hamesha pehlay father aur bahi ki soorat mein aur phir Hubby ki soorat mein ....khadshaat sab apni jaga hain lekin jab aap achhay hain sahee hain To Allah kabhi aapko Maayoos nahin kerta kisi muqaam per US ki Rehmaton Enayaton mein der zarur ho jatee hay lekin WO GHAAFIL nahin hota achhay ko sachay ko us kiachhaey ka sila zarur deta hay ..aur jab aap sahee hain to yaqeenan WO Ek behtareen Life Partner muntakhib karay ga aap k lieey

            ab paka pakaya to mil nahin sakta aapko k her lehaz se perfect ho banda aapko rokay tokay na, jesa chahein aap wesa hee karay , Aakhir larkiyan apnay parents k ghar mein bhi to apni mother ya apnay faather ki baat maanti hee haina ..jab wo koi rok tok kertay hain to usey bhi to samajh k amal karnay ki koshish kartee hee hain to wahan bhi kuch baaton per yehee soch liya karein ...

            so jab hum khud behter hon gay to Obviously we will get a good life partner By The Hukum OF ALLAH :insha:


            aur Aania ji n Aamir bohat achha laga aap k replies parh k bohat achhi terha se aap nay explain kiya :phool:
            well esha ji....sirf itna kaheinge ke bauhat si baatein sumjha tu di jaati hai per dil nahi unhein nahi sumjhta..hume is thread emin moojod her fard ki baat se itefaaq hai but still I am anxious.... hum sirf yeh baat kaihna chahte the ke shaadi khushiyon ki zamant nahi..ke aap shaadi ker ke khush raheinge...ager aisa hota tu divorce hote hi kyun..ladkiyan gher aa ker nahi baithti.... bardasht ka madah kitna hi kyun na ho kahein na kahien chalk hi jaata hai..aur jub chalkta hai tu teazab ban ke chalkta hai jo bauhat kuch jala deta hai...:)
            thanx for your reply...aap ki baaton se hume koi ikhtelaaf nahi..khush rahiye..:)
            aur raha sawaal aano ke aur aamir ke reply ka tu koi shak nahi ke both are my best freindzz..aano tu khair waqai zaheen hai:blush: lakeen aamir ke liye sara credit hume hi jaata hai... lolz......i really thakfull to Allah ke hume Aamir aur ano jaise acche saathi mile..:)
            Last edited by ummid; 15 September 2006, 04:06.

            Comment


            • #36
              Re: shaadi zarori kyun????

              Originally posted by fari View Post
              bohat hi zabrdast reply ha :thmbup:
              mai iss mai mazid sirf ya kahon gi ....kah Ummid de meray teacher kahtay hain kah ..........tum niyat karo phir apna amal karo aur uss amal ka natija Apnay Rab per chor do..............hum sab jantay hain kah ALLAH ki zaat har woh kam kar sakti ha jo hum souch bhi nahi saktay.......Uss kay liya koi bhi kam karna kon sa muskil ha ...Issi liya hum Usssi zaat se dua mangtay hain kah woh humaray haq ma behtar karay.....Iss kay bawajood kiun hum har kam kay baaad kah datay hain ...kah agar ya na howa tu ...agar acha na howa tu ......shiad ya kam na ho pay ..............Jab app ALLAH ki zaat per yaqeen kar kay uss se behtri mang rahay ho tu asi baten karnay ka koi jawaz nhi banta .kiya ya sari baat kahna aur souchna ALLAH ki Zaat per Shak karna na Howa??????
              Assi bateen sirf tab hi koi souch sakta ha jes ka ALLAH per Imaan kamzor ho ...........Aur ajj kal mostly log asi baaten kartay hain ...har kam se pehlay hi kah datay hain kah ya nahi howa tu.....aur sath hi ya bhi kahtay hain kah ALLAH Subhan Tallah humara ya kam pora kardain gayin...........Kasay? app ki ya dua kabool ho jo app poray yaqeen se nahi kar rahay .....
              well fari....hume Allah ke rehma per aur apni manzilon ke milne per pura yaqeen hai....ab tak hum ne apni life ke jitne mmod tay kiye kisi mein bhi na kaami haath nahi aayi..siwaye aik ke us mein bhi kaamyaab tu hogaye per kuch lost bhi howa...any wayzz I trust a lot in Allah..humara question yeh tha ke aap shaadi kiye bagair bhi khush hai tu phir shaadi ko hi kyun khushiyon ki zamanat sumjha jaata hai???????? baat kahan se kahan chali gai....sirf aamir ne to the point jawab diya aur aano ne..baaqi sub kahein na kahein kuch miss kar gaye...khair baat se baat chali hai tu kuch nai baatein bhi pata chai hai..:).
              aap ka shukriya ke aap ne reply kiya... :rose
              hume nikkah per koi aitraaz nahi..as a muslim hona bhi nahi chaiye lakeen hum yeh sochte hain ke hum :alhamd: khush hain phir kya zarorat hai new relationzz banane ki..bus and nothing...:) aise foozol khyaal hume kasrat se aate hai is liye aisi baaton ka koi hal nahi..:D

              Comment


              • #37
                Re: shaadi zarori kyun????

                Originally posted by shy View Post
                kehte hen k jo shadi karta he wo bhi pachtata he or jo nahi karta wo bhi pachtata he to kiun na banda kar ke pachtaey.wese mazak aik taraf shadi aik mazhabi fareeza he or yakinan hamare mazhab me hamen esi koi baat nahi kahi gai jo insani nature ke khilaf ho:)
                definitly shy ji:rose ...aur waise aik baat aap sub ke itne zabardast reply padh ker ab to tay howa ke shaadi karna hi padegi:D ..lolz..thanx for your reply shy ji..:)

                Comment


                • #38
                  Re: shaadi zarori kyun????

                  Originally posted by ummid View Post
                  Haan sahi kaha aap ne negative soch acchi nahi:)
                  mein ne kub kaha ke aap mujay thanx kahein :pagal:

                  Haan ub mein aap ko thanx zaroor kahon ga ke aap ko meri baaton se kuch itfaaq he.

                  Dil aur Duniya do opposite cheezein hein...ager aik ki mantay ho to doora naraz ho jata he...yahan pe waqei masla he :pagal:
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #39
                    Re: shaadi zarori kyun????

                    Originally posted by ummid View Post
                    indepenent se humari muraad self earning ki thi aanchal ji.....hum khud earn karte ho aur papa mama ke pass rehte ho tu phir kya harj hai???????:)
                    agar Khudnakhaswatsa kisi larki kay parents ko kuch hoo jaye pher kahan jaian gee woh ? :)
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #40
                      Re: shaadi zarori kyun????

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      mein ne kub kaha ke aap mujay thanx kahein :pagal:

                      Haan ub mein aap ko thanx zaroor kahon ga ke aap ko meri baaton se kuch itfaaq he.

                      Dil aur Duniya do opposite cheezein hein...ager aik ki mantay ho to doora naraz ho jata he...yahan pe waqei masla he :pagal:
                      :tasali:
                      Thanx for being my freind...:blush:
                      khush rahiye..:rose

                      Comment


                      • #41
                        Re: shaadi zarori kyun????

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        agar Khudnakhaswatsa kisi larki kay parents ko kuch hoo jaye pher kahan jaian gee woh ? :)
                        Ji aap ka question yeh nahi bunta tha :)

                        Is se bhi ziada zaroori baat yeh he ke jo bhi ho jaye, aurat shadi ke bagair nahi reh sakti....aur ager wo rehti he to

                        Jub wo pairs ko dekhay gi to us ke ander ehsaas-e-kamtri paida ho ga, hasad paida ho ga. Us ki sooch mein tabdeeli aa jaye gi, mizaaj chirchira rehnay lagay ga, zehan maoof ho jaye ga, moaashray ke liye tameeri kirdaar ada nahi ker paye gi aur is ke saath saath wo jismani toor per bhi kamzoor ho jaye gi.

                        Apart from Islam, kudrat ne he Aurat ko shadi ke liye paida kia he, ager wo shadi nahi kerti to us per zehni aur jismaani toor per ghalat asraat muratab honay ke saath saath ain mumkin he ke wo zindagi ke kisi hisay mein badkaari ki taraf mail ho jaye. Shadi na kerne se aurat mein hormonal disorder ho jata he jo kai tarah ki physical and mental complication ka bais banta he. Aik aurat ko zindagi ke kisi hisay mein physically and mentally aik saath ki zaroorat zaroor perti he. Aik merd ki zaroorat perti he. Aik aurat ko zindagi ke kisi hisay mein buchon ki zaroorat perti he. Shadi ke bagair yeh zarooratein kese puri hoon gi? Shadi kerna mazhabi fareeza honay ke saath saath aik fitrat-e-insaan bhi he. Hum kin kin cheezon se moun moor saktay hein.

                        Lehaza shadi aik samjoota he nahi aik zaroorat bhi hoti he :)
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #42
                          Re: shaadi zarori kyun????

                          Originally posted by ummid View Post
                          :tasali:
                          Thanx for being my freind...:blush:
                          khush rahiye..:rose
                          No thanx

                          my pleasure
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #43
                            Re: shaadi zarori kyun????

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Ji aap ka question yeh nahi bunta tha :)

                            Is se bhi ziada zaroori baat yeh he ke jo bhi ho jaye, aurat shadi ke bagair nahi reh sakti....aur ager wo rehti he to
                            dossri batain jab sab kar chukaye hain to main kio duhraoun unhaye :a stick:
                            main jis point pay baat kar rahi hoo woh apni jaga sahi hai :lpop: ...ghoor say parhoo main kia kehna chah rahi houn
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #44
                              Re: Mubahisa: shaadi zarori kyun????

                              sahdi karooon ga to bataon ga
                              Har-Fun-Moula

                              Comment


                              • #45
                                Re: shaadi zarori kyun????

                                Originally posted by ummid View Post
                                hum ne aap ke reply padha....
                                male dominante socitey wali baat se humari muraad yeh thi ke "mardon ki zalimana hukoomat"..Islaam ne be-shak mardon ko mairaat di hai..lakeen humara deen aurton aur mardon ke haqooq mein koi kotahi nahi karta...phir jo mard hai woh apne haqooq ka galat faydah kyun uthate hain...... hum aik bacchi goad lena chahte hain ab kya zarori ke humare xyz ya so called husband bhi aisa karne per raazi ho jaye....humari khawhishaat ka aihtraam hi jub nahi ho raha tu hum samne wake ke aage apne armaan rakhe hi kyun??? aik aurat mard ko apni zaat se her tarah ka sukoon deti hai..if she is perfect wife..phir mard kotahi kyun ker jaata hai???? bachpan se muslims family mein ladkon ko kaafi aihmyat di jaati hai banisbat ladki ke yahan se back ground bana shoro hota hai..:)
                                hum ne apne reply mein likha tha ke ager aurat ko us ke hooqoq mil rahe hote tu hooded ordiance ka qanoon nahi banta..aur usey bhari asembli mein phaad ker phaikne waale members ne yeh bhi nahi socha ke us mein Aap(PBUH) ka naam hai...is this right?? mard ka gussa..is gusse mein woh aksar aape se baher ho jaata hai aur woh kaih jaata hai jo aurat ke liye us ki zindagi ka daag ban jaata hai...
                                any wayzz aap ka reply accha laga...:)
                                Alalh aap ko khush rakhe..:rose
                                mera khial hay key app ko is ayat per yakeen naeen hay
                                Sora Noor Verse number 26
                                jis sey sabit hota hay key jis tarah ka insan ho ga , us ko usi tarah ka partner milay ga
                                ab insan ager khod teek ho ga to us ko partner bi teek milay ga


                                second ager islam nafiz ho jaey ga to sub kuch teek ho jaey ga
                                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                                Comment

                                Working...
                                X