Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: shaadi zarori kyun????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: shaadi zarori kyun????

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Nice topic...aania ne bohat acha reply kia...i appreciate her

    Aap ka sawal he shadi / Nikkah kyoon zaroori he. mein batata hoon kyoon zaroori he.

    Nikkah mazhabi fareeza he, is liye her balig insaan ko nikkah kerna chahiye

    Nikkah Insaan ko burai se bachata he, is se insaan aur janwar mein tameez hoti he. Is liye Nikkah kerna zaroori he.

    Nikkah aik zariya he, aik life cycle ko mukamal kerne ka zariya he...yeh insaan ko yaksaniyat se bachata he aur insaan per zindagi ke mukhtalif rang ayan kerta he, pehlay aap buchay hotay hein, aap ki feelings different hoti hein, phir aap baray ho jatay ho, aap ke buchay hotay hein aur aap ke ehsaasat aur jazbaat aik nai kerwat lete hein..insaan ki umer, insaan ki sooch, insaan ka shaoor, insaan ki jismani banawat, insaan ki jismani zaroorat mein tagaiur aata he, lehaza insaan hameesha yaksaaniyat ka muzahira nahi ker sakta. Kudrat ne hi hamein aisa banaya he, hum is ke mukhalif nahi chal saktay. Waqt ke saath saath insaan ki zehni sooch mein irtqa hota he, insaan ki jismani aur samaji zarooraton mein tabdeeli aana na-guzeer ho jata he...in sub maslon ka hal Nikkah mein he poosheeda he

    Zindagi mein aap ka rishta sirf apne maan-baap behan bhaiyon se he nahi hota, yaad rakhiye jo maan-baap hotay hein wo bhi pehlay buchay hotay hein, ager un ki sooch bhi aap jesi hoti to aap is duniya mein he na aatein.

    Aur jahan tak aap ko security ke hadshaat hein to mein yahi kahon ga...ke

    Shoher bhi insaan hotay hein. Jis tarah her aurat buri nahi hoti, isi tarah her merd bhi bura nahi hota...aik aurat aik achay tareekay se apne shoher ke saath mental competability develop ker sakti he. In the meantime, you can't rule out the blacksheeps in our society...buray loog, zalim loog bhi moojod hotay hein, jin ki sooch pust hoti he....to aap duaa kiya keejiye ke Allah sub ke naseeb achay fermaye...mein bhi aap ke saath duaa kerta hoon. Be Blessed.

    Comment


    • #17
      Re: shaadi zarori kyun????

      Originally posted by ummid View Post
      First of all i do believe in "do good and have good" :)

      Negative sooch insaan ke dimaag ko chaat jati he, be positive and optimistic, use your intelect and sense to have a rational assessment. Once you are satisfied, leave it to Allah and watch out. Mein itna janta hoon ke situation worst he kyoon na ho, ager do insaan aik jesi situation face karein, un mein se ziada benificient wo rahay ga jo positive frame of mind ke saath aagay berhay ga. Negative sooch bilkul bhi achi nahi he, lehaza jub aap kisi se rishta-e-azwaaj mein munsalik honay lagtay ho to sub se pehlay parakh lo ke aap jis se shadi kerne ja rahay ho kia wo bunda sahi he, kia us ki niyat mein koi khoot to nahi he, us ka overall attitude kesa he, ager yeh bunyaadi cheezein aap ko theek lagein to aankhein bund ker ke Allah pe bharoosa ker ke aap aagay berhhiye aur achay ki tawaku hi rakhiye :)

      Allah behter kerne wala he
      :thmbup:

      Comment


      • #18
        Re: Mubahisa: shaadi zarori kyun????

        Nice Ques Ummid sis!:thmbup: :thmbup:
        Reply u in detail :insha: :)

        Comment


        • #19
          Re: shaadi zarori kyun????

          Originally posted by ummid View Post
          be-shak yeh aik mazhabi fariza hai aur raha sawal gumraahiyon ka tu ager aap ki will power strong hai aur Allah rehmaan ka reham hai tu aap mehfooz reh sakte hain buraiyon se...is ke liye bhi Islaam mein roz rakhne ka hukem hai taake Isaan nafas per qaaboo pana sikhe...
          aur raha sawal shaare ka tu sahara Allah ka sub se bada hai...is zameen per majood her fard mil ker bhi aap ko bhalai nahi pohancha sakte ager Allah na chahe tu aur na hi koi aap ka bura ker sakta hai ager Allah rehmaan aap per reham ker tu...raha sawal dunyaawi sahare ka tu i do agree ke Insaan samaji janwar hai...lakeen jub Is samaj ke mard janwar jub waihshi bnate hai tu samaj kuch nahi ker pata....
          any wayzz apni apni soch..humara dimaag aaj kal proper way mein nahi hai..kuch galat bol diya ho tu maafi mangte hain aap se bhi aur Allah se bhi..khush rahiye..:rose
          is main bura lagnay aur mafi mangnay ki to koi baat he nahi :comfort:

          koi bhi insaan gumrahi ka shikar kabhi bhi kisi bhi waqt ho sakta hai woh khas log Allah ka nabi he hain jo in tamam borayoon sa bach saktay tha aam insaan to bohat kamzor hai insaan to woh hai jo apni aik adat yani jhoot bolnay sa apnay ap ko nahi rok sakta to kahan woh gumrahi ka shikar honay sa khud ko rok sakta hai aur ALLAH nay insaan ko ya hokam diya hai ka woh nikkah karay kioon ka Allah ko woh log pasand nahi ko apnay nafas pa apni jaan pa khud zulam karaeen bayshak islam main rozaa rakhnay ka hokam hai magar us hokam ka is baat sa koi taluk nahi ka ap sahdi kar saktay thay magar ap nay shadi nahi ki aur roza rakhtay rahay ya apni jan pa zulam karna hai

          Allah sab sa bara sahara hai is main koi shak nahi magar Allah nay insaan ko dunya main bhaja tha to Hazat Adam ka sath Amma Hawa ko bhajay tha to koi waja to the na

          tamam mard aik say nahi panchoon ungliyan barabar nahi agar dunaya main sirf burae he hoti aur achaee na rahti to dunya najanay kab ki kahtam ho gae hoti
          geet ka husan ho tum ho janay gahzal
          shairoon ki haseen shairee tum say hai
          maira gham aur mairee har khushi tum say hai
          janay maan ya mairee zindagi tum say hai

          Comment


          • #20
            Re: shaadi zarori kyun????

            Originally posted by ummid View Post
            aanchal ji:rose ...aap aik Independent life bhi tu guzar sakte hain..
            female kay leye itna asaan nahi hai yeh chaye jitni bhi independant houn jitna acha kama laiti houn ya to aap parents kay sath reh sakti hain ya hubby ....:)
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #21
              Re: shaadi zarori kyun????

              Originally posted by ummid View Post
              :jazak: ..:rose
              be shak yeh Allah ka hukm hai aur sunnat-e-Rasool (PBUH) hai...aur is se kisi ko inheraf nahi...per rishte Insaan banata hai nibhane ke liye..jitne hooqoq Islam ne mardo'n ko diye un ka galat faydah uthane mein mard aik qadam bi piche nahi hat''te...Islam masawaat ka qaaial hai..jahan mardon ke hooqoq hain wahein aurto'n ke bhi hain..jo amooman nazar andaz ker diyejaate hain kyun ke woh socitey ke so called system se match nahi kerte....phir hudood Ordinance jaise law bana ker bhi koi faydah nahi hota kyun ke un ke bill asambli mein hi phaad diye jaate hain...bhai jaan humari socitey male dominant hai....aur aik rasta jis per jaane ka anjaam aap ko maaloom ho..us per chalna sirf is liye ke yeh zarori hai..I don't think so yeh sahi hai..Islam mein koi zabardasti nahi( LA IKRAHA FIDDEEN) yeh sunnat-e-Rasool(PBUH) hai aur hum yeh bhi jante hain ke jis ne Aap (PBUH) ki sunnat se inheraaf kiya woh Aap(PBUH) mein se nahi....aik aur hadith hai jo hume Is waqt pure siyaaq-w-sabaq ke saath yaad nahi..Inshallah jaise h yaad aaye ya kisi se confirm karwa leinge waise hi post ker deinge...
              Thanx bhai for your coments...be happy always..
              First of all insan ko apney app per yakeen hona chayeh
              if i think i am right then i know key Allah ney Quran main farmaya hay key

              ------------------------------
              Sora Noor verse number 26
              024.026 Women impure are for men impure, and men impure for women impure and women of purity are for men of purity, and men of purity are for women of purity: these are not affected by what people say: for them there is forgiveness, and a provision honourable.
              Al-Qur'an, 024.026 (An-Noor [The Light])
              Text Copied from DivineIslam's Qur'an Viewer software v2.910



              ----------------------
              so ager main teek hoon ga to Allah key hukam sey i will get a good partner
              so i think if some one think that how his/her partner will be , he/she should see him/herself.
              Allah apna wada zaroor pora keray ga


              Second:
              App ney kaha key mail dominated society hay , to yeh hamesha hi rahey gi
              waja Quran ney khod batai hay

              ---------------------------------
              Sora Nisa verse number 34

              004.034 Men are the protectors and maintainers of women, because Allah has given the one more (strength) than the other, and because they support them from their means.
              Al-Qur'an, 004.034 (An-Nisa [Women])
              Text Copied from DivineIslam's Qur'an Viewer software v2.910


              -----------------------------
              baki baat kham kha bharti jaey gi

              women's right in islam per app Dr Zakir Nayak ka lecture per sakti haan , meri signature main shamil hay


              Baki shadi ka jahan tak taluk hay , wo main pehlay hi arz ker chuka hon key insan ko apnay per bharosa hona chayeh , jis tarah ka insan khud hota hay , us ko usi tarah ka partner milay ga

              take care
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment


              • #22
                Re: shaadi zarori kyun????

                Originally posted by ummid View Post
                aanchal ji:rose ...aap aik Independent life bhi tu guzar sakte hain..aur phir jub aap self earning hai..tu kya zarori hai ke shaadi ki jaye....aur sub se badi baat yeh hai ke jub aap jante ho'n ke aap naye rishton ke taqaze pure hi nahi ker payenge...tu phir un mein jaa ker ulajhne ki zarorat hi kya hai???????????
                ager chay app ka yeh swal anchal ji sey tha
                lakin main kuch guzarish karoon ga

                insan khud per kabo pa sakta hay , lakin dosron per naeen
                and second ager koi female thinks key wo independent life guzarey to wo esay hay key hiran jangle main apney garooh sey aledha rehna chayeh

                yeh bateen kia jangley key janwer us ko zinda choren gay

                so ager wo women apney nafas per kisi tarah kaboo pa leti hay and kisi pious person sey marry bi naeen kerti , to kia wo apney app ko janwaroon ki tarah naeen dhakeelti , jo sirf isi tak main hotey haan , one can control oneself but how them.
                think on this
                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                Comment


                • #23
                  Re: shaadi zarori kyun????

                  Originally posted by ummid View Post
                  aur raha sawal shaare ka tu sahara Allah ka sub se bada hai...is zameen per majood her fard mil ker bhi aap ko bhalai nahi pohancha sakte ager Allah na chahe tu aur na hi koi aap ka bura ker sakta hai ager Allah rehmaan aap per reham ker tu
                  Assalaam o alekum,


                  ummid aapke inhi sawaaloon mien aapkaa jawab bhi hai ghaur se perhien aur soochien aur sab kuch usi gafoorur rahim per chhoor dien aur khush rahien
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment


                  • #24
                    Re: shaadi zarori kyun????

                    Originally posted by filbahere View Post
                    ager chay app ka yeh swal anchal ji sey tha
                    lakin main kuch guzarish karoon ga

                    insan khud per kabo pa sakta hay , lakin dosron per naeen
                    and second ager koi female thinks key wo independent life guzarey to wo esay hay key hiran jangle main apney garooh sey aledha rehna chayeh

                    yeh bateen kia jangley key janwer us ko zinda choren gay

                    so ager wo women apney nafas per kisi tarah kaboo pa leti hay and kisi pious person sey marry bi naeen kerti , to kia wo apney app ko janwaroon ki tarah naeen dhakeelti , jo sirf isi tak main hotey haan , one can control oneself but how them.
                    think on this
                    Bilkul sahee kaha aap nay ....sab rishtay naatay sab apni jaga mohtaram , pyaray hotay hain lekin lekin beherhaal ek waqt aata hay aisa k tanha aurat ka moashray mein rehna mushkil ho jata hai , aisay mein ye moashra us aurat k liey ek jungle hee hota hay jis mein tarha tarha k jaanwar(sorry agar mard hazraat ko bura lagay to hum sirf misal de rahay hain :embarasse )hain jo sirf taak lagaey baythhay hotay hain ...khud per qaaboo paaya jaa sakta hay lekin doosroon ki koi gaurantee nahin specially aajkal k zamanay mein jahan parents tak apni aulaad k lieey wasooq se kuch kehnay ki position mein nahin wahan aam logon ko kaisay koi samajh sakta hay ya jaan sakta hay...Aurat ko beherhaal ek tahaffuz ki zarurat hoty hai hamesha pehlay father aur bahi ki soorat mein aur phir Hubby ki soorat mein ....khadshaat sab apni jaga hain lekin jab aap achhay hain sahee hain To Allah kabhi aapko Maayoos nahin kerta kisi muqaam per US ki Rehmaton Enayaton mein der zarur ho jatee hay lekin WO GHAAFIL nahin hota achhay ko sachay ko us kiachhaey ka sila zarur deta hay ..aur jab aap sahee hain to yaqeenan WO Ek behtareen Life Partner muntakhib karay ga aap k lieey

                    ab paka pakaya to mil nahin sakta aapko k her lehaz se perfect ho banda aapko rokay tokay na, jesa chahein aap wesa hee karay , Aakhir larkiyan apnay parents k ghar mein bhi to apni mother ya apnay faather ki baat maanti hee haina ..jab wo koi rok tok kertay hain to usey bhi to samajh k amal karnay ki koshish kartee hee hain to wahan bhi kuch baaton per yehee soch liya karein ...

                    so jab hum khud behter hon gay to Obviously we will get a good life partner By The Hukum OF ALLAH :insha:


                    aur Aania ji n Aamir bohat achha laga aap k replies parh k bohat achhi terha se aap nay explain kiya :phool:
                    sigpic

                    Comment


                    • #25
                      Re: shaadi zarori kyun????

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      First of all i do believe in "do good and have good" :)

                      Negative sooch insaan ke dimaag ko chaat jati he, be positive and optimistic, use your intelect and sense to have a rational assessment. Once you are satisfied, leave it to Allah and watch out. Mein itna janta hoon ke situation worst he kyoon na ho, ager do insaan aik jesi situation face karein, un mein se ziada benificient wo rahay ga jo positive frame of mind ke saath aagay berhay ga. Negative sooch bilkul bhi achi nahi he, lehaza jub aap kisi se rishta-e-azwaaj mein munsalik honay lagtay ho to sub se pehlay parakh lo ke aap jis se shadi kerne ja rahay ho kia wo bunda sahi he, kia us ki niyat mein koi khoot to nahi he, us ka overall attitude kesa he, ager yeh bunyaadi cheezein aap ko theek lagein to aankhein bund ker ke Allah pe bharoosa ker ke aap aagay berhhiye aur achay ki tawaku hi rakhiye :)

                      Allah behter kerne wala he

                      bohat hi zabrdast reply ha :thmbup:
                      mai iss mai mazid sirf ya kahon gi ....kah Ummid de meray teacher kahtay hain kah ..........tum niyat karo phir apna amal karo aur uss amal ka natija Apnay Rab per chor do..............hum sab jantay hain kah ALLAH ki zaat har woh kam kar sakti ha jo hum souch bhi nahi saktay.......Uss kay liya koi bhi kam karna kon sa muskil ha ...Issi liya hum Usssi zaat se dua mangtay hain kah woh humaray haq ma behtar karay.....Iss kay bawajood kiun hum har kam kay baaad kah datay hain ...kah agar ya na howa tu ...agar acha na howa tu ......shiad ya kam na ho pay ..............Jab app ALLAH ki zaat per yaqeen kar kay uss se behtri mang rahay ho tu asi baten karnay ka koi jawaz nhi banta .kiya ya sari baat kahna aur souchna ALLAH ki Zaat per Shak karna na Howa??????
                      Assi bateen sirf tab hi koi souch sakta ha jes ka ALLAH per Imaan kamzor ho ...........Aur ajj kal mostly log asi baaten kartay hain ...har kam se pehlay hi kah datay hain kah ya nahi howa tu.....aur sath hi ya bhi kahtay hain kah ALLAH Subhan Tallah humara ya kam pora kardain gayin...........Kasay? app ki ya dua kabool ho jo app poray yaqeen se nahi kar rahay .....

                      Comment


                      • #26
                        Re: shaadi zarori kyun????

                        Originally posted by ummid View Post
                        well. shy ji:rose ...lahoo tu yun bhi garam reh sakta hai:blush: ...us ke liye lapakne, jhapakne..I mean shaadi karne ki zarorat nahi...:na:
                        kehte hen k jo shadi karta he wo bhi pachtata he or jo nahi karta wo bhi pachtata he to kiun na banda kar ke pachtaey.wese mazak aik taraf shadi aik mazhabi fareeza he or yakinan hamare mazhab me hamen esi koi baat nahi kahi gai jo insani nature ke khilaf ho:)

                        Comment


                        • #27
                          Re: shaadi zarori kyun????

                          Originally posted by munda_sialkoty View Post
                          First of all i do believe in "do good and have good" :)

                          Negative sooch insaan ke dimaag ko chaat jati he, be positive and optimistic, use your intelect and sense to have a rational assessment. Once you are satisfied, leave it to Allah and watch out. Mein itna janta hoon ke situation worst he kyoon na ho, ager do insaan aik jesi situation face karein, un mein se ziada benificient wo rahay ga jo positive frame of mind ke saath aagay berhay ga. Negative sooch bilkul bhi achi nahi he, lehaza jub aap kisi se rishta-e-azwaaj mein munsalik honay lagtay ho to sub se pehlay parakh lo ke aap jis se shadi kerne ja rahay ho kia wo bunda sahi he, kia us ki niyat mein koi khoot to nahi he, us ka overall attitude kesa he, ager yeh bunyaadi cheezein aap ko theek lagein to aankhein bund ker ke Allah pe bharoosa ker ke aap aagay berhhiye aur achay ki tawaku hi rakhiye :)

                          Allah behter kerne wala he
                          Haan sahi kaha aap ne negative soch acchi nahi:)

                          Comment


                          • #28
                            Re: Mubahisa: shaadi zarori kyun????

                            Originally posted by Me Here View Post
                            Nice Ques Ummid sis!:thmbup: :thmbup:
                            Reply u in detail :insha: :)
                            sure me here..hum wait kareinge aap ke reply ka..:)

                            Comment


                            • #29
                              Re: shaadi zarori kyun????

                              Originally posted by ZoE View Post
                              is main bura lagnay aur mafi mangnay ki to koi baat he nahi :comfort:

                              koi bhi insaan gumrahi ka shikar kabhi bhi kisi bhi waqt ho sakta hai woh khas log Allah ka nabi he hain jo in tamam borayoon sa bach saktay tha aam insaan to bohat kamzor hai insaan to woh hai jo apni aik adat yani jhoot bolnay sa apnay ap ko nahi rok sakta to kahan woh gumrahi ka shikar honay sa khud ko rok sakta hai aur ALLAH nay insaan ko ya hokam diya hai ka woh nikkah karay kioon ka Allah ko woh log pasand nahi ko apnay nafas pa apni jaan pa khud zulam karaeen bayshak islam main rozaa rakhnay ka hokam hai magar us hokam ka is baat sa koi taluk nahi ka ap sahdi kar saktay thay magar ap nay shadi nahi ki aur roza rakhtay rahay ya apni jan pa zulam karna hai

                              Allah sab sa bara sahara hai is main koi shak nahi magar Allah nay insaan ko dunya main bhaja tha to Hazat Adam ka sath Amma Hawa ko bhajay tha to koi waja to the na

                              tamam mard aik say nahi panchoon ungliyan barabar nahi agar dunaya main sirf burae he hoti aur achaee na rahti to dunya najanay kab ki kahtam ho gae hoti

                              thanx ji..aap ke itne acche reply ke liye...:)
                              khush rahiye humesha..:rose

                              Comment


                              • #30
                                Re: shaadi zarori kyun????

                                Originally posted by Khalil View Post
                                . وَإِنْ خِفْتُمْ أَلاَّ تُقْسِطُواْ فِي الْيَتَامَى فَانكِحُواْ مَا طَابَ لَكُم مِّنَ النِّسَاءِ مَثْنَى وَثُلاَثَ وَرُبَاعَ فَإِنْ خِفْتُمْ أَلاَّ تَعْدِلُواْ فَوَاحِدَةً أَوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ ذَلِكَ أَدْنَى أَلاَّ تَعُولُواْO 3. اور اگر تمہیں اندیشہ ہو کہ تم یتیم لڑکیوں کے بارے میں انصاف نہ کر سکو گے تو ان عورتوں سے نکاح کرو جو تمہارے لئے پسندیدہ اور حلال ہوں، دو دو اور تین تین اور چار چار (مگر یہ اجازت بشرطِ عدل ہے)، پھر اگر تمہیں اندیشہ ہو کہ تم (زائد بیویوں میں) عدل نہیں کر سکو گے تو صرف ایک ہی عورت سے (نکاح کرو) یا وہ کنیزیں جو (شرعاً) تمہاری ملکیت میں آئی ہوں، یہ بات اس سے قریب تر ہے کہ تم سے ظلم نہ ہو o
                                :phool: :phool:

                                Comment

                                Working...
                                X