Waldein ka bachon key career mein dakhal-andaaz hona...
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Bacho Ka Career
Collapse
X
-
Re: Bacho Ka Career
AOA,
Bachoon ko apna mostakbal khud chuna chaye haan agar (sab bache aik tara nain sichte)koyi bacha apna faisla karne main uljan mahsoos kare to waldain uss ki rahnamayi karain zabardasti bachoon pe apna faisla mosalat karna tharoost nain .
Sohail Abbasi.Apna haq ada karo.
-
Re: Bacho Ka Career
Bachchon ka awwaleen maktab maa ka aaghosh hai...
Walden ko apne bachchon ke mentality read karni chahiye, uske interest read karni chahiye phir uss tarf bachchon ko push karni chahiye...
zabardasti nahin...Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: Bacho Ka Career
parents ko bachoun ko har field ki maloomat farahaam kar deeni chaye ..kia sahi hai kia ghalat..kis field main kitna faida hai or kia kuch kar saktay hain ham is main ...porri tafseelat bata deeni chaye bachoun ko...pher fasila bachoun ko karna chaye in sab cheezoun ko samnay reakh kar kay kia cheez un kay mustaqbil key leye achi hai ....
parents ko zabardasti apni baat nahi manwani chaye ...is say bacha parhai main interest nahi laay sakye ga us ka to roujhan hi kisi or taraf hoo ga to ....اللھم صلی علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
اللھم بارک علٰی Ù…Øمد وعلٰی آل Ù…Øمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک Øمید مجید۔
Comment
-
Re: Bacho Ka Career
bachey waleydeyn key liye khas tauhfa hotey hein aur jin per in ka poora poora haq hota hai isi liye wo achay sey acha sochtey hein ....Agar shuru hi sey bachon key mind ko polish kiya jaye to yaqeenan un ki taleemi meydaan mey kafi had tak madad mil sakti hai
merey kehney ka maqsad ye hai key sirf ye baat bachon key zeyhan mey nahi daalni chahiye key wo aya doctor banien gey ya pilot....balkey amli taur per un ki madad kerni chahiye ....
aur faisla hamesha haqeeqat pasandi sey hi kerna chahiye..." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Comment
-
Re: Bacho Ka Career
Originally posted by khanAOA,
Bachoon ko apna mostakbal khud chuna chaye haan agar (sab bache aik tara nain sichte)koyi bacha apna faisla karne main uljan mahsoos kare to waldain uss ki rahnamayi karain zabardasti bachoon pe apna faisla mosalat karna tharoost nain .
Sohail Abbasi.
Zabardasti karney sey to bachon ki zehni nasho-numa theek nahin hoti, ab har koi doctor to nahin ban sakta, haalankeh waldein yehi chahein ge. Is liye yeh bohat zaroori hai keh bachey ki taleem key silsaley mein dilchuspi li jaey, aur unhein btaya jaey keh kon kon sey mowaqey mojood hain. Achha yeh to baat hui un mumalik ki jahan peh bohat sey mowaqey mojood hain, kya hamarey mulk mein bhi aisa hi hai???
Originally posted by Spy009Bachchon ka awwaleen maktab maa ka aaghosh hai...
Walden ko apne bachchon ke mentality read karni chahiye, uske interest read karni chahiye phir uss tarf bachchon ko push karni chahiye...
zabardasti nahin...
Originally posted by shybachon ki dilchaspi ko samne rakh kar parents ko bachon ki rehnumai karni chaey.
Originally posted by ~khawahish~Jis cheez main un ka Interest ho Parents ko chayiaye Bacho'n ko wahi parhney dein yeh un kay liyeah ziyada behtar hai :)
Originally posted by Aanchalparents ko bachoun ko har field ki maloomat farahaam kar deeni chaye ..kia sahi hai kia ghalat..kis field main kitna faida hai or kia kuch kar saktay hain ham is main ...porri tafseelat bata deeni chaye bachoun ko...pher fasila bachoun ko karna chaye in sab cheezoun ko samnay reakh kar kay kia cheez un kay mustaqbil key leye achi hai ....
parents ko zabardasti apni baat nahi manwani chaye ...is say bacha parhai main interest nahi laay sakye ga us ka to roujhan hi kisi or taraf hoo ga to ....
Baat phir wohi peh aa jati hai keh waldein har field sey waqfiyat nahin rakh saktey! Hamarey aksar waldein ko khud nahin maloom keh konsi field ki kya demand hoti hai aur uska kya faedah ya nuqsaan hai. Hamarey 90 feesad waldein ko siraf kamaney aur paisa ikatha karney sey raghbat hai. Waldein bachon ko schoolon mein bhaij kar yehi samajhtey hain keh unka farz poora ho geya, aisey mein kya kiya jaey???
Originally posted by barg.e.gulbachey waleydeyn key liye khas tauhfa hotey hein aur jin per in ka poora poora haq hota hai isi liye wo achay sey acha sochtey hein ....Agar shuru hi sey bachon key mind ko polish kiya jaye to yaqeenan un ki taleemi meydaan mey kafi had tak madad mil sakti hai
merey kehney ka maqsad ye hai key sirf ye baat bachon key zeyhan mey nahi daalni chahiye key wo aya doctor banien gey ya pilot....balkey amli taur per un ki madad kerni chahiye ....
aur faisla hamesha haqeeqat pasandi sey hi kerna chahiye...
Gul haqeeqat pasandi kya hoti hai????
Hamarey mulk mein dekhein to haqeeqat yeh hai keh aap apni aulad ko kuchh bhi parha lein, unhein berozgari ka samna karna parrey ga, kya doctor kya wakeel kya highly educated...
Agar europe mein muqeem pakistaniyon ki misaal li jaey to jaisa main ney pehley kaha keh 90 feesad siraf paisa kamaney key chakar mein hain. Aisey mein haqeeqat pasandi kya hai?
Originally posted by aik_lerkiwaldain ko apni merzi nahe chalane chahiyay is mamly main..bacho ky rujhaan aur shooq ko dekhna chahiyay .tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Bacho Ka Career
Originally posted by Masood
Gul haqeeqat pasandi kya hoti hai????
Hamarey mulk mein dekhein to haqeeqat yeh hai keh aap apni aulad ko kuchh bhi parha lein, unhein berozgari ka samna karna parrey ga, kya doctor kya wakeel kya highly educated...
Agar europe mein muqeem pakistaniyon ki misaal li jaey to jaisa main ney pehley kaha keh 90 feesad siraf paisa kamaney key chakar mein hain. Aisey mein haqeeqat pasandi kya hai?
jahan tak jobs ki baat hai to meyra nahi khayal key schools aur colleges mey jab hotey hein to hum (ya waleydeyn) itna agay ka sochtey hein kyoon key is mey to her saaal changes aati rahti hein ..." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
Comment