Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bacho Ka Career

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Bacho Ka Career

    Waldein ka bachon key career mein dakhal-andaaz hona...
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Bacho Ka Career

    AOA,


    Bachoon ko apna mostakbal khud chuna chaye haan agar (sab bache aik tara nain sichte)koyi bacha apna faisla karne main uljan mahsoos kare to waldain uss ki rahnamayi karain zabardasti bachoon pe apna faisla mosalat karna tharoost nain .


    Sohail Abbasi.
    Apna haq ada karo.

    Comment


    • #3
      Re: Bacho Ka Career

      Bachchon ka awwaleen maktab maa ka aaghosh hai...

      Walden ko apne bachchon ke mentality read karni chahiye, uske interest read karni chahiye phir uss tarf bachchon ko push karni chahiye...

      zabardasti nahin...
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #4
        Re: Bacho Ka Career

        bachon ki dilchaspi ko samne rakh kar parents ko bachon ki rehnumai karni chaey.

        Comment


        • #5
          Re: Bacho Ka Career

          Jis cheez main un ka Interest ho Parents ko chayiaye Bacho'n ko wahi parhney dein yeh un kay liyeah ziyada behtar hai :)
          Zindagi Thak Gaye ..!!

          Comment


          • #6
            Re: Bacho Ka Career

            parents ko bachoun ko har field ki maloomat farahaam kar deeni chaye ..kia sahi hai kia ghalat..kis field main kitna faida hai or kia kuch kar saktay hain ham is main ...porri tafseelat bata deeni chaye bachoun ko...pher fasila bachoun ko karna chaye in sab cheezoun ko samnay reakh kar kay kia cheez un kay mustaqbil key leye achi hai ....

            parents ko zabardasti apni baat nahi manwani chaye ...is say bacha parhai main interest nahi laay sakye ga us ka to roujhan hi kisi or taraf hoo ga to ....
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: Bacho Ka Career

              bachey waleydeyn key liye khas tauhfa hotey hein aur jin per in ka poora poora haq hota hai isi liye wo achay sey acha sochtey hein ....Agar shuru hi sey bachon key mind ko polish kiya jaye to yaqeenan un ki taleemi meydaan mey kafi had tak madad mil sakti hai

              merey kehney ka maqsad ye hai key sirf ye baat bachon key zeyhan mey nahi daalni chahiye key wo aya doctor banien gey ya pilot....balkey amli taur per un ki madad kerni chahiye ....

              aur faisla hamesha haqeeqat pasandi sey hi kerna chahiye...
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #8
                Re: Bacho Ka Career

                AHA nice topic jald hi likho ga :)
                http://www.genericviagra2015shop.com/

                Comment


                • #9
                  Re: Bacho Ka Career

                  waldain ko apni merzi nahe chalane chahiyay is mamly main..bacho ky rujhaan aur shooq ko dekhna chahiyay .

                  Comment


                  • #10
                    Re: Bacho Ka Career

                    Originally posted by khan
                    AOA,


                    Bachoon ko apna mostakbal khud chuna chaye haan agar (sab bache aik tara nain sichte)koyi bacha apna faisla karne main uljan mahsoos kare to waldain uss ki rahnamayi karain zabardasti bachoon pe apna faisla mosalat karna tharoost nain .


                    Sohail Abbasi.

                    Zabardasti karney sey to bachon ki zehni nasho-numa theek nahin hoti, ab har koi doctor to nahin ban sakta, haalankeh waldein yehi chahein ge. Is liye yeh bohat zaroori hai keh bachey ki taleem key silsaley mein dilchuspi li jaey, aur unhein btaya jaey keh kon kon sey mowaqey mojood hain. Achha yeh to baat hui un mumalik ki jahan peh bohat sey mowaqey mojood hain, kya hamarey mulk mein bhi aisa hi hai???


                    Originally posted by Spy009
                    Bachchon ka awwaleen maktab maa ka aaghosh hai...

                    Walden ko apne bachchon ke mentality read karni chahiye, uske interest read karni chahiye phir uss tarf bachchon ko push karni chahiye...

                    zabardasti nahin...
                    Completly agree. Lekin kya bachey na-pukhta zehan key nahin hotey jinhein khud sey koi faesla karney ki himmat nahin hoti, aisey bachon key saath waldein ka rawayya kaisa hona chahiyey???


                    Originally posted by shy
                    bachon ki dilchaspi ko samne rakh kar parents ko bachon ki rehnumai karni chaey.
                    Bilkul aisa hi hona chahiye, lekin hamarey mulk mein pehley hi mowaqey kam hain, aur phir aik ghair-yaqeeni si hai. Bachey khud sey to achhaee buraee ko nahin jaan saktey, to waldein ko kya karna chahiye? Aur agar waldein khud hi an-parh hon, jo apni aulad ko lead na kar sakein to???

                    Originally posted by ~khawahish~
                    Jis cheez main un ka Interest ho Parents ko chayiaye Bacho'n ko wahi parhney dein yeh un kay liyeah ziyada behtar hai :)
                    Halaat badaltey rehtey hain, agar to waldein anparh hain to bohat bada maslaa hai unkey liye, aur agar waldein parhey likhey hain to bhi unkey liye aik chhota sa maslaa hai keh jo kuchh woh parh chukey hain ab halaat woh nahin, dor badal chuka hai, halaat badal chukey hain to phir aisey mein kya waldein apni aulad ko guide kar saktey hain? ya unhein karna chahiye?


                    Originally posted by Aanchal
                    parents ko bachoun ko har field ki maloomat farahaam kar deeni chaye ..kia sahi hai kia ghalat..kis field main kitna faida hai or kia kuch kar saktay hain ham is main ...porri tafseelat bata deeni chaye bachoun ko...pher fasila bachoun ko karna chaye in sab cheezoun ko samnay reakh kar kay kia cheez un kay mustaqbil key leye achi hai ....

                    parents ko zabardasti apni baat nahi manwani chaye ...is say bacha parhai main interest nahi laay sakye ga us ka to roujhan hi kisi or taraf hoo ga to ....

                    Baat phir wohi peh aa jati hai keh waldein har field sey waqfiyat nahin rakh saktey! Hamarey aksar waldein ko khud nahin maloom keh konsi field ki kya demand hoti hai aur uska kya faedah ya nuqsaan hai. Hamarey 90 feesad waldein ko siraf kamaney aur paisa ikatha karney sey raghbat hai. Waldein bachon ko schoolon mein bhaij kar yehi samajhtey hain keh unka farz poora ho geya, aisey mein kya kiya jaey???


                    Originally posted by barg.e.gul
                    bachey waleydeyn key liye khas tauhfa hotey hein aur jin per in ka poora poora haq hota hai isi liye wo achay sey acha sochtey hein ....Agar shuru hi sey bachon key mind ko polish kiya jaye to yaqeenan un ki taleemi meydaan mey kafi had tak madad mil sakti hai

                    merey kehney ka maqsad ye hai key sirf ye baat bachon key zeyhan mey nahi daalni chahiye key wo aya doctor banien gey ya pilot....balkey amli taur per un ki madad kerni chahiye ....

                    aur faisla hamesha haqeeqat pasandi sey hi kerna chahiye...

                    Gul haqeeqat pasandi kya hoti hai????
                    Hamarey mulk mein dekhein to haqeeqat yeh hai keh aap apni aulad ko kuchh bhi parha lein, unhein berozgari ka samna karna parrey ga, kya doctor kya wakeel kya highly educated...

                    Agar europe mein muqeem pakistaniyon ki misaal li jaey to jaisa main ney pehley kaha keh 90 feesad siraf paisa kamaney key chakar mein hain. Aisey mein haqeeqat pasandi kya hai?


                    Originally posted by aik_lerki
                    waldain ko apni merzi nahe chalane chahiyay is mamly main..bacho ky rujhaan aur shooq ko dekhna chahiyay .
                    Agree magar bachey aik khaas umer tak na-balagh hi hotey hain, unhein guideness ki zaroorat hoti hai.
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Bacho Ka Career

                      Originally posted by Masood

                      Gul haqeeqat pasandi kya hoti hai????
                      Hamarey mulk mein dekhein to haqeeqat yeh hai keh aap apni aulad ko kuchh bhi parha lein, unhein berozgari ka samna karna parrey ga, kya doctor kya wakeel kya highly educated...

                      Agar europe mein muqeem pakistaniyon ki misaal li jaey to jaisa main ney pehley kaha keh 90 feesad siraf paisa kamaney key chakar mein hain. Aisey mein haqeeqat pasandi kya hai?
                      mey ye kehna chah rahi thi key bachon ko aik khayali dunya mey nahi rakhna chahiye kuch parents apney bachon sey bohot high expectations rakhtey hein ye deykhey baghair key bachey mey ye sab kerney ki sakat hai bhi ya nahi .....
                      jahan tak jobs ki baat hai to meyra nahi khayal key schools aur colleges mey jab hotey hein to hum (ya waleydeyn) itna agay ka sochtey hein kyoon key is mey to her saaal changes aati rahti hein ...
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      Working...
                      X