Sarkon, Galiyon, Bazaron mein parrey kaghizi tukron ko jin par Qurani aayat, Khana Ka'aba ki tasaweer bani hon, unki hifazat kijiye. Yeh koi mayoob nahin keh aap aisey kaghiz key tukrey sarkon, bazaaro sey uthaa rahey hon to. Yeh aik afzal kaam hai :rose
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Hifazat
Collapse
X
-
-
Re: Hifazat
ji aisa aksar hota hai paper waghera pay qurani ayaat likhi hoti hain or woh neachaye parey hotay hain .....aisay akhbaar kay tukrey utha kar jama kar lain or unhaye samandar main pheenk aya karain .....
Comment
-
Re: Hifazat
purane akhbar akser packings me istemal hote hen or phir phenk deay jate hen,zahir he akhbar roz ata he or akher me radi me bech dia jata he to kia behter nahi ho ga ke news paper wale hi ehteyat karen or kam se kam is tarah ki cheezen chapen jin ki be hurmati hone ka andesha ho.kiun ke news paper to radi me bikte rahen ge or mukhtalif cheezon ko pack karne me bhi istemal hote rahen ge.is ka koi mustakil hal hona chaey.
Comment
-
Re: Hifazat
Assalaam o alekum,
bahoot khoob masood sahib bahoot umdeh topic share kiyaa aapnien waaqaee aaj kal yehi haal hai spy sahib ki baat kuch hud tak theek lekin kyaa hi mujhe to nahin lagtaa ke yeh akhbaar waaale aisi cheezien chhaapnaa band ker deingey isske liye to hum hi kuch ker saktey hain:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: Hifazat
Originally posted by shypurane akhbar akser packings me istemal hote hen or phir phenk deay jate hen,zahir he akhbar roz ata he or akher me radi me bech dia jata he to kia behter nahi ho ga ke news paper wale hi ehteyat karen or kam se kam is tarah ki cheezen chapen jin ki be hurmati hone ka andesha ho.kiun ke news paper to radi me bikte rahen ge or mukhtalif cheezon ko pack karne me bhi istemal hote rahen ge.is ka koi mustakil hal hona chaey." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Hifazat
Bohat aham baat umdah topic share kera aap nay :rose
Wakee aaaj kal jaga jaga galyo main aise kaghaz pary hoty hain jin mai ALALH ka naam ,qurani ayaat aur ahadees likhe hote hain..
aaj kal her akhbar main koi na koi qurane ayat ya hadess likhe hote hai ya phir khana kaba ke tasveer bane hoe hote hai
hum sab ager khayal kray is baat ka ky un ko utha ker rakh lain phir gher aa ker jala dain ya samanday main phinwa dain..aise unko bay adbi sy bacha'ain ..is ka bohat savab bhe milay ga humay..
Allah humko aisa kereny ki tofeeq ata ferma'ay Ammeen sumammeen
Comment
-
Re: Hifazat
bahut acha thread hai......ji waqi aisi be,adbi bahut dekhne mein aati hai....aur is ki roktham ke liye har guly aur muhalley mein green colour ke boxes nasb bhi kiye gai they mager najane kin wajohat ki bina per unhen hata deya gaya thaa ....ye baat 88 ki hai jab hum school jatey they tu humen jo bhi kaghaz ka purza tehrer ke sath zameen per para howa nazer ata hum osey box mein daal diya kertey they......mager ye silsila ziada der tak nahin chala boxes ke hata deye jane ke baad is qisim ki behurmati dekhne mein aati rahi ....ager awam apne balbotey per aisey boxes banwae tu mera khayal hai keh is tarha ki beadabi mein kami waqey ho gi...
Comment
-
Re: Hifazat
Originally posted by Aanchalaisay akhbaar kay tukrey utha kar jama kar lain or unhaye samandar main pheenk aya karain .....
Originally posted by shynews paper wale hi ehteyat karen or kam se kam is tarah ki cheezen chapen jin ki be hurmati hone ka andesha ho.
Originally posted by khurram_shaikhisske liye to hum hi kuch ker saktey hain
Ji haan hamara apna farz bohat bada hai keh hamein khud bhi kuchh karna ho ga.
Originally posted by barg.e.gulsab sey uper Qurani ayat ka tarjuma bhi likha jata hai jo key kabhi bhi kisi key liye mutassir kun ho sakta hai
Originally posted by aik_lerkiWakee aaaj kal jaga jaga galyo main aise kaghaz pary hoty hain jin mai ALALH ka naam ,qurani ayaat aur ahadees likhe hote hain..
Originally posted by Ambreenbahut acha thread hai......ji waqi aisi be,adbi bahut dekhne mein aati hai....aur is ki roktham ke liye har guly aur muhalley mein green colour ke boxes nasb bhi kiye gai they mager najane kin wajohat ki bina per unhen hata deya gaya thaa ....ye baat 88 ki hai jab hum school jatey they tu humen jo bhi kaghaz ka purza tehrer ke sath zameen per para howa nazer ata hum osey box mein daal diya kertey they......mager ye silsila ziada der tak nahin chala boxes ke hata deye jane ke baad is qisim ki behurmati dekhne mein aati rahi ....ager awam apne balbotey per aisey boxes banwae tu mera khayal hai keh is tarha ki beadabi mein kami waqey ho gi...tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Hifazat
ab aisa is liye nahin hota keh humare mulk ki aik problem ye hai keh awab sirf hukumat per hi takya kiye howe hai aur humari hukumat ka masala ye hai keh har nai ane wali hukumat jane wali hukumat ke kisi bhi shuru kiye howe kaam ko payae takmeel tak nahin pahunchati..isi liye tu humara mulk mitti ka dher nazer ata hai 88 ya 87 mein nai roshni school banae gae they jonejo GOVT mein aur bahut se ghareeb bachon burhon aur aurton mardon sab ne 2 saal mein 5 classes pass kin thin yani har ghareeb taleem se roshanas ho raha thaa mager bad ane wali Gvt ne ye silsila bhi khatem kerwadiya aur boxes bhi jonejo Gvt mein nasb kiye gaye they...mujhey tu ye lagta hai keh humarey hukmaran hi nahin chahite keh koi taneri kaam pakistan mein ho.....
Comment
-
Re: Hifazat
Originally posted by Ambreenab aisa is liye nahin hota keh humare mulk ki aik problem ye hai keh awab sirf hukumat per hi takya kiye howe hai aur humari hukumat ka masala ye hai keh har nai ane wali hukumat jane wali hukumat ke kisi bhi shuru kiye howe kaam ko payae takmeel tak nahin pahunchati..isi liye tu humara mulk mitti ka dher nazer ata hai 88 ya 87 mein nai roshni school banae gae they jonejo GOVT mein aur bahut se ghareeb bachon burhon aur aurton mardon sab ne 2 saal mein 5 classes pass kin thin yani har ghareeb taleem se roshanas ho raha thaa mager bad ane wali Gvt ne ye silsila bhi khatem kerwadiya aur boxes bhi jonejo Gvt mein nasb kiye gaye they...mujhey tu ye lagta hai keh humarey hukmaran hi nahin chahite keh koi taneri kaam pakistan mein ho.....
Ambreen yeh to aik classical problem hai hamarey mulk ki keh koi aisa kaam jo pehli hakoomaton ney kiya hai woh poora nahin karna. Yeh nahin socha jata keh yeh mulk aur awaam key liye bohat achha hai. Yehan Denmark mein bhi aik party doosri party sey sakht siyasai nafrat karti hai MAGAR in mein yeh bohat badi buraee hai keh jo kaam mulk aur awaam key haqq mein ho ussey bahaal rakhtey hain - chahey kuchh bhi ho. Yehi wajah hai keh awaam khushhaal hain aur mulk khushhaal hai. Jo batein aap ney btaee hain us par to yehi kaha jaa sakta hai keh yeh ooper ki satah waley hi nahin chahtey keh awaam ka bhalla ho.
Anyway aik baat jo aap ney bhi kahi hai keh hakoomat ki hai, magar haamein stillllll apni satah par kuchh karna chahiye. Aik mohalley waley mil kar aik box bnaa lein aur us mein aisey kaghzaat jamma kiya karein. Aik box bnanaey par to kharcha nahin aata na. Koi aik yeh kaam apney zimmey uthaa ley aur phir wahan sey shuru kar dey....tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Hifazat
Aadab...
Janab Masoob bhai ... Aap ki tehreer parhi... uskey baad baqi sathiyoon ki aara bhi... buhat acha laga k abhi logo mein ahsaas baqi hey .... coz hamarey haan deekhiyeh tu har jagha baas nafsa nafsi ka aalam hu challa hey ...iqdaar rooz ba rooz ghatti hi ja rahi hein...aik kheecha tani chal rahi hey ... is mahool mein aap se aur us nojaawan jesey aur baqi sathi jo key ayesi cheezon ko sochtey hein...balkey sochtey nahi kuch karney ka irada bhi rakhtey hein ... qabil e tehseen hein....
1999 mein Jang akhbaar mein Awam ki raye jaha darj ki jati hey marasla...wahan ye topic uthaya gaya tha... hamarey chand sathiyoon ney kuch kaar aamad mashwarey diye they .... magar baat asal mein yeh hey k zubani kalami kaam tu buhat suntye aayeh hein.... 50 saal se yehi hu raha hey ...aik peerhi guzaar gayi yoon matha peettey....
Jang Akhbaar walon se kaha gya atha k bhai aap Title page per jaha QURANI AAYAT aur hadees ka hawala deetye hein wo aap ayesa kyon na karein k jesye Akhbaar 8 Pages(Uswaqt Akhbaar 8 pageska huta tha) per hey tu aap in jesi tamam tehreeron ka aik Page makhsoos kardein... takey ye jo ALLAH ka naam hey Yeh jo QURAANI aayat hein... Ahadees k hawaley se baat cheet huti hey.... tasaweer hein.... inko AWAM khud Chant leingey Abhi bhi kitney hi Allah k bandey mojood hein jo rooz o shab kahin bhi para bikhra kaghaz deekhtey hein jo in se mumasilat rakhta hey ... usko utha kar ba hifazat ya tu darya burd kar aatey hein ya kisi madarsey k qurani aaya k theeley mein rakh deetye hein......magar kuch rooz tu chala mamla ...magar phir wohi haal....
Baat kuch yoon hey k ham apni ayinda nasloon ko mahool hi kuch yoon dey rahey hein k shayad khudanakhuahista .... ayinda aaney wali naslein ye sab soochney se bhi mazoor hoon......
sirf zubani ... aur sochney se kuch hasil nahi hu ga... haan jesa k aap doston ki tajaweez hein... k jahan deekhein unko basad ahtiraam mehfooz karein... muhalley mein aur jahan jahan mumkin hu sakey BOXs ko wojood mein laya jaye.... aur yoon hi ham apni zati satha per kaam karien tu ahista sahi magar Tabdeeli aayi gi ... zaroor aaye gi...Insha Allah....
Allah Pak aap ko jaza e khair se nawazein....
Dua'on Ka Talib....
Comment
-
Re: Hifazat
Bakht aap ki tafseeli reply par dil khush huwa - thnx :)
Originally posted by SiyaH BakhTbuhat acha laga k abhi logo mein ahsaas baqi hey .
Originally posted by SiyaH BakhTnafsa nafsi ka aalam hu challa hey ...iqdaar rooz ba rooz ghatti hi ja rahi hein.
Originally posted by SiyaH BakhTmagar baat asal mein yeh hey k zubani kalami kaam tu buhat suntye aayeh hein.... 50 saal se yehi hu raha hey ...aik peerhi guzaar gayi yoon matha peettey....
Originally posted by SiyaH BakhTmagar kuch rooz tu chala mamla ...magar phir wohi haal....
Originally posted by SiyaH BakhTBaat kuch yoon hey k ham apni ayinda nasloon ko mahool hi kuch yoon dey rahey hein k shayad khudanakhuahista .... ayinda aaney wali naslein ye sab soochney se bhi mazoor hoon....
Originally posted by SiyaH BakhTaur yoon hi ham apni zati satha per kaam karien tu ahista sahi magar Tabdeeli aayi gi ... zaroor aaye gi...Insha Allah....tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
Comment