Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hifazat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hifazat

    Sarkon, Galiyon, Bazaron mein parrey kaghizi tukron ko jin par Qurani aayat, Khana Ka'aba ki tasaweer bani hon, unki hifazat kijiye. Yeh koi mayoob nahin keh aap aisey kaghiz key tukrey sarkon, bazaaro sey uthaa rahey hon to. Yeh aik afzal kaam hai :rose
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Hifazat

    Ameeen :rose
    http://www.genericviagra2015shop.com/

    Comment


    • #3
      Re: Hifazat

      ji aisa aksar hota hai paper waghera pay qurani ayaat likhi hoti hain or woh neachaye parey hotay hain .....aisay akhbaar kay tukrey utha kar jama kar lain or unhaye samandar main pheenk aya karain .....
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: Hifazat

        purane akhbar akser packings me istemal hote hen or phir phenk deay jate hen,zahir he akhbar roz ata he or akher me radi me bech dia jata he to kia behter nahi ho ga ke news paper wale hi ehteyat karen or kam se kam is tarah ki cheezen chapen jin ki be hurmati hone ka andesha ho.kiun ke news paper to radi me bikte rahen ge or mukhtalif cheezon ko pack karne me bhi istemal hote rahen ge.is ka koi mustakil hal hona chaey.

        Comment


        • #5
          Re: Hifazat

          Assalaam o alekum,


          bahoot khoob masood sahib bahoot umdeh topic share kiyaa aapnien waaqaee aaj kal yehi haal hai spy sahib ki baat kuch hud tak theek lekin kyaa hi mujhe to nahin lagtaa ke yeh akhbaar waaale aisi cheezien chhaapnaa band ker deingey isske liye to hum hi kuch ker saktey hain
          :tang: RISK IS MY BUSINESS

          DANGER IS MY GAME

          DONT PLAY WITH ME
          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

          Comment


          • #6
            Re: Hifazat

            Originally posted by shy
            purane akhbar akser packings me istemal hote hen or phir phenk deay jate hen,zahir he akhbar roz ata he or akher me radi me bech dia jata he to kia behter nahi ho ga ke news paper wale hi ehteyat karen or kam se kam is tarah ki cheezen chapen jin ki be hurmati hone ka andesha ho.kiun ke news paper to radi me bikte rahen ge or mukhtalif cheezon ko pack karne me bhi istemal hote rahen ge.is ka koi mustakil hal hona chaey.
            Agar koshish karein tabhi bhi ye mumkin nahi ... saari zemeydaari hamari honi chaihiye in ki hifazat ki kyoon key Aur articles to aik taraf magar akhbaar key front page per sab sey uper Qurani ayat ka tarjuma bhi likha jata hai jo key kabhi bhi kisi key liye mutassir kun ho sakta hai
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Hifazat

              Bohat aham baat umdah topic share kera aap nay :rose
              Wakee aaaj kal jaga jaga galyo main aise kaghaz pary hoty hain jin mai ALALH ka naam ,qurani ayaat aur ahadees likhe hote hain..
              aaj kal her akhbar main koi na koi qurane ayat ya hadess likhe hote hai ya phir khana kaba ke tasveer bane hoe hote hai
              hum sab ager khayal kray is baat ka ky un ko utha ker rakh lain phir gher aa ker jala dain ya samanday main phinwa dain..aise unko bay adbi sy bacha'ain ..is ka bohat savab bhe milay ga humay..
              Allah humko aisa kereny ki tofeeq ata ferma'ay Ammeen sumammeen

              Comment


              • #8
                Re: Hifazat

                bahut acha thread hai......ji waqi aisi be,adbi bahut dekhne mein aati hai....aur is ki roktham ke liye har guly aur muhalley mein green colour ke boxes nasb bhi kiye gai they mager najane kin wajohat ki bina per unhen hata deya gaya thaa ....ye baat 88 ki hai jab hum school jatey they tu humen jo bhi kaghaz ka purza tehrer ke sath zameen per para howa nazer ata hum osey box mein daal diya kertey they......mager ye silsila ziada der tak nahin chala boxes ke hata deye jane ke baad is qisim ki behurmati dekhne mein aati rahi ....ager awam apne balbotey per aisey boxes banwae tu mera khayal hai keh is tarha ki beadabi mein kami waqey ho gi...

                Comment


                • #9
                  Re: Hifazat

                  Originally posted by Aanchal
                  aisay akhbaar kay tukrey utha kar jama kar lain or unhaye samandar main pheenk aya karain .....
                  Jahan samandar na ho wahan aisey kaghiz kisi paak jaggah dafan kar deney chahiye

                  Originally posted by shy
                  news paper wale hi ehteyat karen or kam se kam is tarah ki cheezen chapen jin ki be hurmati hone ka andesha ho.
                  Shy akhbaar waley aisey baatein to hamarey hi seekhney key wastey publish kartey hain, aur saath yeh bhi shayid tehreer hota hai keh har kisi par in aayat ka ehtraam karna farz hai - to jo farz hamara hai hamein ussey poora karna chahiye - yehi to ham nahin kartey jabhi to aisey tukrey nazar aatey hain. Waisey mujhey aap ki baat sey bhi itfaaq hai keh akhbaron mein Qurani aayat nahin honi chahiye - is liye keh aik newspaper ko bohat sey mukhtalif zaaviyon sey dekha jata hai, jahan par achhi buri pictures hon, jahan achi buri zabaan mein khabrein hon unkey saath aisi muqaddas aayat nahin honi chaiye... Lekin bottom line - hamara farz banta hai jo apni aankhon sey dekhein uski hifazat karein

                  Originally posted by khurram_shaikh
                  isske liye to hum hi kuch ker saktey hain
                  Bilkul agree there Khurram - aik sacha waqiya sunata hoon keh aik shakhs bohat sharabi kebabi tha, har waqt sharab mein dhut rehta, aik din us ki nazar aisey hi aik kagiz key tunkrey par paree - itni sudh budh thi keh jaan sakta key is par Allah ka naam likha hai. Woh us ney uthaya jhaarr phoonk kar ghar ley geya aur aik paak jaggah rakh diya. Usi shehar mein Allah ka aik banda rehta tha, ussey khawab mein naveed mili keh jao aur us aadmi ko Allah ka Pegham sunao. Woh khuda-raseedah insaan us sharabi ki talash mein nikla, aik mai-kadey sey ussey nange sar nangey paoun nikaltey dekha aur ussey khawab mein dekhi gaee khush-khabree sunaee keh Allah Tala ka naam buland karney par ussey chuna geya hai.

                  Ji haan hamara apna farz bohat bada hai keh hamein khud bhi kuchh karna ho ga.

                  Originally posted by barg.e.gul
                  sab sey uper Qurani ayat ka tarjuma bhi likha jata hai jo key kabhi bhi kisi key liye mutassir kun ho sakta hai
                  Haan ji tarjuma to hamari behtaree key liye hota hai keh shayid koi naseehat pakar ley aur kuchh seekh jaey. Allah ka Pegham pakarney key liye to aik aayat hi kaafi hoti hai

                  Originally posted by aik_lerki
                  Wakee aaaj kal jaga jaga galyo main aise kaghaz pary hoty hain jin mai ALALH ka naam ,qurani ayaat aur ahadees likhe hote hain..
                  ... aap koshish kiya kijiye keh aisey kaghiz uthaa kar unhein proper tareeqey sey shaheed kiya jaaey aur unhein be-hurmati sey bachaya jaey

                  Originally posted by Ambreen
                  bahut acha thread hai......ji waqi aisi be,adbi bahut dekhne mein aati hai....aur is ki roktham ke liye har guly aur muhalley mein green colour ke boxes nasb bhi kiye gai they mager najane kin wajohat ki bina per unhen hata deya gaya thaa ....ye baat 88 ki hai jab hum school jatey they tu humen jo bhi kaghaz ka purza tehrer ke sath zameen per para howa nazer ata hum osey box mein daal diya kertey they......mager ye silsila ziada der tak nahin chala boxes ke hata deye jane ke baad is qisim ki behurmati dekhne mein aati rahi ....ager awam apne balbotey per aisey boxes banwae tu mera khayal hai keh is tarha ki beadabi mein kami waqey ho gi...
                  Wonderful idea - aisa huwa hai to ab kyun nahin hota? Agar nahin hota to shehar ki community ko yeh sochney par majboor to kiya jaa sakta hai. Log sab mil kar is par israar karein keh aisey boxes phir sey nasb kiyey jaein - har cheez sey zaroori Allah Tala key naam ki hifazat hai...
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: Hifazat

                    ab aisa is liye nahin hota keh humare mulk ki aik problem ye hai keh awab sirf hukumat per hi takya kiye howe hai aur humari hukumat ka masala ye hai keh har nai ane wali hukumat jane wali hukumat ke kisi bhi shuru kiye howe kaam ko payae takmeel tak nahin pahunchati..isi liye tu humara mulk mitti ka dher nazer ata hai 88 ya 87 mein nai roshni school banae gae they jonejo GOVT mein aur bahut se ghareeb bachon burhon aur aurton mardon sab ne 2 saal mein 5 classes pass kin thin yani har ghareeb taleem se roshanas ho raha thaa mager bad ane wali Gvt ne ye silsila bhi khatem kerwadiya aur boxes bhi jonejo Gvt mein nasb kiye gaye they...mujhey tu ye lagta hai keh humarey hukmaran hi nahin chahite keh koi taneri kaam pakistan mein ho.....

                    Comment


                    • #11
                      Re: Hifazat

                      Originally posted by Ambreen
                      ab aisa is liye nahin hota keh humare mulk ki aik problem ye hai keh awab sirf hukumat per hi takya kiye howe hai aur humari hukumat ka masala ye hai keh har nai ane wali hukumat jane wali hukumat ke kisi bhi shuru kiye howe kaam ko payae takmeel tak nahin pahunchati..isi liye tu humara mulk mitti ka dher nazer ata hai 88 ya 87 mein nai roshni school banae gae they jonejo GOVT mein aur bahut se ghareeb bachon burhon aur aurton mardon sab ne 2 saal mein 5 classes pass kin thin yani har ghareeb taleem se roshanas ho raha thaa mager bad ane wali Gvt ne ye silsila bhi khatem kerwadiya aur boxes bhi jonejo Gvt mein nasb kiye gaye they...mujhey tu ye lagta hai keh humarey hukmaran hi nahin chahite keh koi taneri kaam pakistan mein ho.....

                      Ambreen yeh to aik classical problem hai hamarey mulk ki keh koi aisa kaam jo pehli hakoomaton ney kiya hai woh poora nahin karna. Yeh nahin socha jata keh yeh mulk aur awaam key liye bohat achha hai. Yehan Denmark mein bhi aik party doosri party sey sakht siyasai nafrat karti hai MAGAR in mein yeh bohat badi buraee hai keh jo kaam mulk aur awaam key haqq mein ho ussey bahaal rakhtey hain - chahey kuchh bhi ho. Yehi wajah hai keh awaam khushhaal hain aur mulk khushhaal hai. Jo batein aap ney btaee hain us par to yehi kaha jaa sakta hai keh yeh ooper ki satah waley hi nahin chahtey keh awaam ka bhalla ho.

                      Anyway aik baat jo aap ney bhi kahi hai keh hakoomat ki hai, magar haamein stillllll apni satah par kuchh karna chahiye. Aik mohalley waley mil kar aik box bnaa lein aur us mein aisey kaghzaat jamma kiya karein. Aik box bnanaey par to kharcha nahin aata na. Koi aik yeh kaam apney zimmey uthaa ley aur phir wahan sey shuru kar dey....
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: Hifazat

                        ji bilkul theek kaha aap ne.........

                        Comment


                        • #13
                          Re: Hifazat

                          Aadab...

                          Janab Masoob bhai ... Aap ki tehreer parhi... uskey baad baqi sathiyoon ki aara bhi... buhat acha laga k abhi logo mein ahsaas baqi hey .... coz hamarey haan deekhiyeh tu har jagha baas nafsa nafsi ka aalam hu challa hey ...iqdaar rooz ba rooz ghatti hi ja rahi hein...aik kheecha tani chal rahi hey ... is mahool mein aap se aur us nojaawan jesey aur baqi sathi jo key ayesi cheezon ko sochtey hein...balkey sochtey nahi kuch karney ka irada bhi rakhtey hein ... qabil e tehseen hein....
                          1999 mein Jang akhbaar mein Awam ki raye jaha darj ki jati hey marasla...wahan ye topic uthaya gaya tha... hamarey chand sathiyoon ney kuch kaar aamad mashwarey diye they .... magar baat asal mein yeh hey k zubani kalami kaam tu buhat suntye aayeh hein.... 50 saal se yehi hu raha hey ...aik peerhi guzaar gayi yoon matha peettey....

                          Jang Akhbaar walon se kaha gya atha k bhai aap Title page per jaha QURANI AAYAT aur hadees ka hawala deetye hein wo aap ayesa kyon na karein k jesye Akhbaar 8 Pages(Uswaqt Akhbaar 8 pageska huta tha) per hey tu aap in jesi tamam tehreeron ka aik Page makhsoos kardein... takey ye jo ALLAH ka naam hey Yeh jo QURAANI aayat hein... Ahadees k hawaley se baat cheet huti hey.... tasaweer hein.... inko AWAM khud Chant leingey Abhi bhi kitney hi Allah k bandey mojood hein jo rooz o shab kahin bhi para bikhra kaghaz deekhtey hein jo in se mumasilat rakhta hey ... usko utha kar ba hifazat ya tu darya burd kar aatey hein ya kisi madarsey k qurani aaya k theeley mein rakh deetye hein......magar kuch rooz tu chala mamla ...magar phir wohi haal....

                          Baat kuch yoon hey k ham apni ayinda nasloon ko mahool hi kuch yoon dey rahey hein k shayad khudanakhuahista .... ayinda aaney wali naslein ye sab soochney se bhi mazoor hoon......

                          sirf zubani ... aur sochney se kuch hasil nahi hu ga... haan jesa k aap doston ki tajaweez hein... k jahan deekhein unko basad ahtiraam mehfooz karein... muhalley mein aur jahan jahan mumkin hu sakey BOXs ko wojood mein laya jaye.... aur yoon hi ham apni zati satha per kaam karien tu ahista sahi magar Tabdeeli aayi gi ... zaroor aaye gi...Insha Allah....
                          Allah Pak aap ko jaza e khair se nawazein....
                          Dua'on Ka Talib....

                          Comment


                          • #14
                            Re: Hifazat

                            Bakht aap ki tafseeli reply par dil khush huwa - thnx :)

                            Originally posted by SiyaH BakhT
                            buhat acha laga k abhi logo mein ahsaas baqi hey .
                            Bakht bhai - ehsaas baqi hai! bohat sey logon mein ehsaas baqi hai - lekin afsos is par hota hai keh jab aik ehsaas karney wala kisi doosrey ko aisi harkaat kartey dekhey to us ka ehsas madham par jata hai. Aur hotey hotey mar jata hai. Hamari qom aik soi hui qom hai lekin aisi be-sudh nahin keh uthaya na jaa sakey - inhein siraf guide karney ki zaroorat hai. Aur guide inhein ham log hi kar saktey hain. To aaiye ham apna farz poora kartey hain - baqiyon ko unka kaam karney dein


                            Originally posted by SiyaH BakhT
                            nafsa nafsi ka aalam hu challa hey ...iqdaar rooz ba rooz ghatti hi ja rahi hein.
                            Baja farmaya - hamara muashrey mein zahiri namood-o-numaish key peechhey bhagney walon ney andheer macha diya hai - yeh log apni lalach mein doosron ko bhi apni behisi key peechhey lagwaa rahey hain. Kharboozey ko dekh kar kharbooza rang pakarta hai - jaisey buron ko dekh kar burey rang pakartey hain aisey hi achhon ko dekh kar achhey bhi rang pakartey hain. Kam hain magar hain zaroor. Hamein in achhon ko talash karna hoga aur inhein aik mishal-e-raah bnaa kar aagey lana ho ga


                            Originally posted by SiyaH BakhT
                            magar baat asal mein yeh hey k zubani kalami kaam tu buhat suntye aayeh hein.... 50 saal se yehi hu raha hey ...aik peerhi guzaar gayi yoon matha peettey....
                            Again - bukul drust kaha! Hamara sab sey bada maslaa jo hamari kotahee ban geya hai woh yehi hai keh ham jab dekhtey hain keh pichhley 50 saal sey kuchh nahin huwa to aaindah bhi kuchh nahin hoga - YEHI ghalat soch hai hamari aur is par ham maar khatey hain. Hamein yeh sochna chahiye keh har subha aik naee subha hai, har dor aik neya dor hai - magar ham har dor ko pichhley dor ki tarha bnaa detey hain. Yeh soch badalney ki zaroorat hai - aur ham logon ko kehney ki bjaey ab amlan kuchh karna hai

                            Originally posted by SiyaH BakhT
                            magar kuch rooz tu chala mamla ...magar phir wohi haal....
                            Akhbaron ka maslaa meri samajh mein aata hai keh woh commercial cheezein hain, unhein commercial andaaz mein hi socha jata hai - but stillllll i would put it down to the readers. Jab koi na karey to khud hi karna chahiye...


                            Originally posted by SiyaH BakhT
                            Baat kuch yoon hey k ham apni ayinda nasloon ko mahool hi kuch yoon dey rahey hein k shayad khudanakhuahista .... ayinda aaney wali naslein ye sab soochney se bhi mazoor hoon....
                            Aik bohat bari warning hai - balkey aik bomb hai jo tik tik kar raha hai - aik din phat jaey ga aur sochein maflooj ho kar rah jaein gi. Ham apni naujawan nasl sey waqiye bohat badi ziyadati kar rahey hain. Hamin is par qaboo pana ho ga, yeh ghar ghar ka fardan fardan masla hai - hamein apni zimmedari ko pehchanena ho ga

                            Originally posted by SiyaH BakhT
                            aur yoon hi ham apni zati satha per kaam karien tu ahista sahi magar Tabdeeli aayi gi ... zaroor aaye gi...Insha Allah....
                            Mujhey bhi siraf ISI baat par yaqin hai keh badi satah par inqilaab laaney key liye hamein neechli satah par inqilaab lana ho ga - aik sey doosra doosrey sey teesra yunhi diyey sey diya jalan ho ga - warna baat nahin baney gi.
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            Working...
                            X