Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~!~urat aur qoomi kiradar~!~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

    Originally posted by munda_sialkoty
    aabi...bohat zabardast topic post kia he...sirf chand aik baaton ke mein is topic pe agree kerta hon...

    aur chand aik baaton mein mera ishara west ke kirdar per he

    ager hum apna daman paak rakhna chahein to west isay kabi ganda nahi ker sakta...lehaza hamein apne aap pe concentrate kerna chahiye west pe nahi...yeh un ka culture he wo to aisa karein ge hi...kharabi to hum mein he jo foran se pehlay unhein copy kerne ke liye doortay hein
    salam bhai jaan agar acha zabardast topic hy to phir siraf chand aik batoon se aap kiuon agreed hain khair aap ny bohat hi khooob wazahat ki apni baat ki main aapse mutfik hon:salam:
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • #77
      Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

      nice abbi........... well done..


      kash ke media nojwanoon ko gumrah kernin ke bajy un ke islaah per tawaja dey.. lekin her koi sirf paisaa kmana chathaa hai.. deen ke parwa nahin kerty yeh loog

      Mall slamat her koi mangey
      Imaan Slamat koi Hoo
      Zaid Hammid on Sawat War..
      A must Watch..

      Comment


      • #78
        Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

        Originally posted by barg.e.gul
        meyra ye hergiz matlab nahi tha scorpion aur na mey ney Aaabi ko judge kerney ki koi koshish ki hai key unhon ney ye thread kyoon aur kis liye lagaya ---it was just a question jo bohot saarey dino sey mey ney poochna tha coz i was hurt to see all these things in Pakistan

        but this thread was not a right place and I am sorry Aabi for getting out of the topic ....
        mera bhi yeh matlab nahee thaa :blush:, ghalti say aap ka quote main woh batain keh gaya warna main majmoi toor par yeh kehna chahta thaa yani jis taraf topic lay jaya jarhaa hai...
        aur getting out wali kia baat hoi , aap nay jo mehsos kia woh likha jab k kuch mehsos bhi nahee kartay aur likh bhi daytay hain.. :blush:, aap ka sawal acha thaa laikin majmoi toor par agar aap daikhain to yahaan par mard aur aurat ki azmat ki jang shoro hogai hai :donno:, usi taraf main nay ishara kia thaa :(
        That's Enough...!!

        Comment


        • #79
          Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

          Originally posted by aabi2cool
          bilkul bhai mera bhi yehi ,maqsad tha jo aap ny yahaan biyan kardiya magar yahaan wohi hamri pourani jahalt karfarma hogai k urat aur marad ka mawazna shouro hogaya halnk k mera ye maqsar hargiz naheen tha. ALLAH taala ny jo salahiyteen mard ko deen hain wo urat main naheen hain issi tarah jo khobiyan urat main hain mard un se mehroom hy dono hi ALLAH ki makhlook hain aur apni apni jaga dono hi lajawab hain .aap ki wazahat ka bohat shukriya:rose :salam:
          maiN aap ka dukh samajhta hoon :tasali:
          That's Enough...!!

          Comment


          • #80
            Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

            Originally posted by tauseeftariq
            nice abbi........... well done..


            kash ke media nojwanoon ko gumrah kernin ke bajy un ke islaah per tawaja dey.. lekin her koi sirf paisaa kmana chathaa hai.. deen ke parwa nahin kerty yeh loog

            Mall slamat her koi mangey
            Imaan Slamat koi Hoo
            salaam bhai aap ny bilkul theek kaha k media jo hy wo pasy kamany k chakron main hy aur aap janty hi hain k maal is ummat kiliye azmaiesh hy aur fitna hy lehaza zaroorat is amar ki hy k pouri qoom main beydari ki aik lehar dorai jay ..
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment


            • #81
              Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

              Originally posted by Masood
              Iski aik hi wajah hai aur woh word aap ney use kiya hai: be'hisi.

              Ham ghafil ho chukey. Kuchh roz pehley main itfaqan Prime TV per aik drama dekh raha tha, us PAKISTANI dramey mein PAKISTANI ADAKAR they. Larkey ko larki ki gardan per kisses kartey huwey dikhaya geya aur is tarha ussey mehsoos kartey dikhaya geya jaisey maghribi filmon mein hota hai. Yeh vulgarity ka aaghaz hai jo ab hamarey media key through hamarey gharon tak pohanch raha hai - kya kiya jata hai? Kuchh nahin, dil mein mulamat kar di jati hai - agar koi TV walon ko phone karey to woh aagey sey phone band kar detey hain. Beghairti ham khud phaila rahey hain.

              Jab kisi moashrey mein behisi, beghairti, uryani, khud'faramoshi apni hadon sey tajaviz kar jaey, wahan per do hi solutions rah jati hain:

              Allah Tala ki taraf sey koi peghamber, koi nabi, koi maseeha aaey
              Inqilaab

              Pehli soorat to mumkin nahin, keh Nabi-e-Kareem SAW key baad koi nabi nahin aaey ga, haan maseeha ka intizaar hai.

              Doosri soorat must hai! Aur jis tarha key pakistan key halaat jaa rahey hain, yeh hamein inqilaab ki taraf ley ja rahey hain. Yeh baat main ney koi 2 saal pehley aik column mein likhi thi ".... meri aankhin us inqilab ko dekh rahi hain jo na'guzeer hota jaa raha hai!.

              Bohat sarey log kahein gey keh inqilaab key bghair koi hal nahin? Meri na'cheez nazar mein nahin!!! Duniya mein aaj tak koi taqat aisi nahin bani jiskey peechey koi inqilaab kar'saaz na raha ho. Aur inqilaab us waqt aatey hain jab ghurbat, ameeri, chorbazari, ghundagardi, loot maar, behisi, la'parwaee, vulgarity bharna shuru kar detey hain. In mein har aik shart aaj kal ka Pakistan poori karta hai.

              Rahi baat yeh inqilaab kaisey aaey ga? to yeh inqilab aik soch key tehat aaey ga. Woh soch koi aik zehan pedah kar sakta hai, main, aap, ham, woh, yeh - koi aik!!! Phir jab us soch ko sulghaney ki zaroorat hai, jab woh soch hawa pakrey gi - din-rat ki baat ho gi - magar filhaal aik soch ko pedah karney ki zaroorat hai!
              salaam masood bhai aap ny bilkul theek simat ishara kiya k inqilab ki zaroorat hy likin hamary haan amooman inqilab se murad khooni inqilab liya jata hy ?
              k koi shakas uthy ga bohat se log us k peechy lag jaien gy phir aik khana jangi kis i kayfiyat peda hojay gi aur akhir main wo inqilabi parti fatah se behar mand ho gi aap jis inqilab ki baat karrahy hain kaya wo bhi khoon ki nadiyan bahany se hasil hota hy aur mera sawal ye hy k kaya qatlo gharat k bagair bhi inqalab laya jaskta hy? aap inqilab ko kis tarah difine karty hain?
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment

              Working...
              X