Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~!~urat aur qoomi kiradar~!~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

    Originally posted by Aanchal
    cinema chalata koon hai ? owner koon hota hai is ka ? kitni aurtian cinema chala rahi hain ? cinema main janay waloo main say kitni tadad aurtoo or mardoo ki yeh deekha hai kabhi ?



    aggressive hoo ya no ha woh care ..aap such ko daba nahi saktay ..!!!
    Kisi bhi baat ki, waqeye ki assessment kerne ke liye us ki asaas per nazar zaroor dooraein. Insaani jo soochta he, jo kerta he us per do cheezon ka amal-dakhal hota he, aik insaani fitrat ka jubke doosra mazhab ka. Insaan apni fitrat mein bohat be-haya he, aik janwar ki tarah he, wo her wo cheez kerna chahta he jis per usay taskeen hasil ho chahay us taskeen ko hasil kerne ka zariya kesa hi kyoon na ho. Jubke mazhab usay mutaiyan hadood ke ander rehnay ki talkeen kerta he, mazhab nafs ko kabu kerna sikhata he aik insaan ko hakeekat mein insaan banata he. Yeh cheezein to aap bhi samajti hoon gi.

    Phir wohi baat karon ga ke insaan wohi kerta he jis mein us ka hameer hota he, aap loog aurat ke be-basi ka be-ja perchaar to kerte hein, cinima ki baat kerte hein ke aurat ko cinema mein lanay wala merd he aur yeh to bohat masoom he, merdi isay ungli paker ker cinima mein laatay hein jese...hakeekat yeh he ke merd to apni taskeen ke liye khail kheelta he, paisay ka khail, jisay dekh ke aurat ki aankhon mein aik chamak si aa jati he aur yehi khail us ki aankhon mein patti band deta he, usay paisa to nazar aata he, lekin apne jism per kum se kum tar hotay huay kapray nazar nahi aatay.

    Aap soochti hon gi ke mein aurat hi ki baat kyoon kerta hoon merdon ki baat kyoon nahi kerta. Wo is liye ke mein ne aaj tak kabi TV per kisi merd ko dekh ker aankhein paray nahi kein, kabi TV channel change nahi kia.
    :thmbup:

    Comment


    • #62
      Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

      Red light area to ub ghar ghar mein he, Masood aik nunni jaan kahan kahan jaye ga.. akser yeh dekha gaya he ke jis ghar mein merd kum hotay hein ya wo apni auraton ko ghar choor ker kamanay ki gharaz se perdes chalay jatay hein un ke peechay un ka ghar red light area bun jata he...akser jo loog is ghandgi mein utertay hein, isi ghandgi ka hissa bun jatay hein.
      :thmbup:

      Comment


      • #63
        Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

        Originally posted by ummid
        dakhiye Bhai!





        mere nazdeek is ka aik simple hal moojood he...collective effort ki jaye...aur film industry pe halla boola jaye...govt ko involve kia jaye...kanoon mein termeem ki jaye...aur fekhash filmon aur serials ki production rook di jaye
        :thmbup:

        Comment


        • #64
          Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

          Originally posted by munda_sialkoty
          Red light area to ub ghar ghar mein he, Masood aik nunni jaan kahan kahan jaye ga.. akser yeh dekha gaya he ke jis ghar mein merd kum hotay hein ya wo apni auraton ko ghar choor ker kamanay ki gharaz se perdes chalay jatay hein un ke peechay un ka ghar red light area bun jata he...akser jo loog is ghandgi mein utertay hein, isi ghandgi ka hissa bun jatay hein.
          Aamir kya aap yahan masail ka anmbar lagane baithe hain......hum haal ki talash mein hain aur aap her reply mein aik naye problem ke saath aa jate hain....yahi wajah hai ke hum ab tak aapas mein hi itne uljhe hoye hain ke haal nahi mil pa raha....ab ager aap ne aisi koi baat ki na tu hum waqai aap se naraz ho jayenge...Aap ki soach aisi kyun hai Aamir....plzzz is inteha se soacheinge tu her kisi mein aib nazar aayega...Allah ke liye Aap is tarah ki baatein na kiya kijye....

          Comment


          • #65
            Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

            Originally posted by ummid
            Aamir kya aap yahan masail ka anmbar lagane baithe hain......hum haal ki talash mein hain aur aap her reply mein aik naye problem ke saath aa jate hain....yahi wajah hai ke hum ab tak aapas mein hi itne uljhe hoye hain ke haal nahi mil pa raha....ab ager aap ne aisi koi baat ki na tu hum waqai aap se naraz ho jayenge...Aap ki soach aisi kyun hai Aamir....plzzz is inteha se soacheinge tu her kisi mein aib nazar aayega...Allah ke liye Aap is tarah ki baatein na kiya kijye....
            :khi:
            Mere boolnay se koi farak nahi paray ga
            Mere na boolnay se koi farak nahi paray ga

            baat phir wohi aa ke khatam ho gi ke aap ki observation aap ka experience limited he...aap ne wo nahi dekha jo mein dekhta hoon, ya dekh chuka hoon...mein masail berha nahi raha bulke un per se perda utha raha hoon, ub yeh aap soochiye ke itnay ziada masail hein aap kin kin per aur kese kabu karein gi. Aik baat mein yahan kerta chaloon, Deen wohi he jo aaj se kai so aur kai hazar bers pehlay tha...hum apni aasaniyoon ke liye is mein termeem nahi ker saktay, khyaal rahay kahin hamari rooshan khyaali ki hadein deen ki hadoon se bohat door na nikal jaaein
            :thmbup:

            Comment


            • #66
              Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

              Originally posted by munda_sialkoty
              :khi:
              Mere boolnay se koi farak nahi paray ga
              Mere na boolnay se koi farak nahi paray ga

              baat phir wohi aa ke khatam ho gi ke aap ki observation aap ka experience limited he...aap ne wo nahi dekha jo mein dekhta hoon, ya dekh chuka hoon...mein masail berha nahi raha bulke un per se perda utha raha hoon, ub yeh aap soochiye ke itnay ziada masail hein aap kin kin per aur kese kabu karein gi. Aik baat mein yahan kerta chaloon, Deen wohi he jo aaj se kai so aur kai hazar bers pehlay tha...hum apni aasaniyoon ke liye is mein termeem nahi ker saktay, khyaal rahay kahin hamari rooshan khyaali ki hadein deen ki hadoon se bohat door na nikal jaaein
              deen kotah nazar bhi nahi hai...Islam bazaate khud aik roshan Mazhab hai...ab jo aap yahan yeh saari baatein ker rahe hain us waqt hi kyun un logon ke pass ja ker unhein nahi roka..."Nahianilmunkar" yeh hai humara deen..pahle jo daikhte hain unhein daikh ker khamosh rahne ki bajaye aur yahan aa ker in baaton se parda uthane ki bajaye usi waqt un logon ko rokiye...tab kuch baat bane....us waqt kyun aap ne us doctor ko nahi gharka, kyun use nahi bataya.....jawab dijye...yahan kyun maslehat aade aa gai...kyun aap baher nikal gaye...kyun aap ne us aurat ko rok ker nahi poacha ke kahein us doctor ne use...............
              kya kiya aap ne yeh sub....ager nahi tu aap ko koi Haq nahi ke aap yahan us Aurat ki story aa ker batayen...ya kisi Aurat ko itni buri soach se describe kare...
              Last edited by ummid; 24 May 2006, 07:05.

              Comment


              • #67
                Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                Originally posted by ummid
                deen kotah nazar bhi nahi hai...Islam bazaate khud aik roshan Mazhab hai...ab jo aap yahan yeh saari baatein ker rahe hain us waqt hi kyun un logon ke pass ja ker unhein nahi roka..."Nahianilmunkar" yeh hai humara deen..pahle jo daikhte hain unhein daikh ker khamosh rahne ki bajaye aur yahan aa ker in baaton se parda uthane ki bajaye usi waqt un logon ko rokiye...tab kuch baat bane....us waqt kyun aap ne us doctor ko nahi gharka, kyun use nahi bataya.....jawab dijye...yahan kyun maslehat aade aa gai...kyun aap baher nikal gaye...kyun aap ne us aurat ko rok ker nahi poacha ke kahein us doctor ne use...............
                kya kiya aap ne yeh sub....ager nahi tu aap ko koi Haq nahi ke aap yahan us Aurat ki story aa ker batayen...ya kisi Aurat ko itni buri soach se describe kare...
                Yahi to masla he ke ghalat kaam kerne wala bura nahi samja jaata us kaam ko bura samajnay wala bura samja jata he...meri be-basi yahi he ke mein dekh sakta hoon, bool nahi sakta...aap aik doost ho ke boolnay ka haq nahi de rahein to ajnabiyoon se kia baeed
                :thmbup:

                Comment


                • #68
                  Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                  Originally posted by aabi2cool



                  agar general baat ki jay tu ya sair bateen jo apnay kahin 16 anay bilkul theek hain aur aik karwi aur kablay nafrat haqeeqat ha!!! mai un sab batoon per app se itafaq karti hon . khabi khabi society mai asi jeeti jagti misalay dekh kar bohat wahshat hoti ha .Allah hum sab ko hadiyat day aur humay bay haiyai se bachnay ki tofeeq day:dua

                  Comment


                  • #69
                    Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                    Originally posted by munda_sialkoty
                    Yahi to masla he ke ghalat kaam kerne wala bura nahi samja jaata us kaam ko bura samajnay wala bura samja jata he...meri be-basi yahi he ke mein dekh sakta hoon, bool nahi sakta...aap aik doost ho ke boolnay ka haq nahi de rahein to ajnabiyoon se kia baeed
                    Tanz mat kijye hum per.........
                    Aap ko sirf itna kaha hai hum ne ke her cheez ko itni intaha pasndi se bhi mat dakhiye ke her kisi mein aib hi nazar aaye....
                    Allah bakhshne wala hai Aamir.....kya pata jin per hum anjaane mein tauhmat laga rahe hon woh apne kisi aik naik amal ki wajah se hi sahi Allah ko aziz ho....

                    Comment


                    • #70
                      Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                      Zia-ul-Haq daur kaee hisaab sey Pakistan ki tareekh mein aik siyah daur tha - magar jab usney hakoomat sambhali aur Islam ka danda phaira to mulk mein be'hayaee ka aik had tak khatma ho geya tha - yeh elahda baat hai keh woh bhi baad mein ba'unwaniyon mein par geya.

                      Mera yaqin hai keh sar-brah-e-Mumlakat agar naik niyyat key hon to woh aisa danda phair saktey hain jo aisi behayaee ko rok sakey. Lekin hamarey hukmraan bohat bad'niyyat hain aur un sey ziyada bad'niyyat unkey musheer hain.

                      Lekin is mein qasoor bhi bohat had tak awwam ka hai. Agar awwam aik soch key tehat aik parcham taley jama ho ker chalna shuru karein, (yahan per bohat zaroori hai keh mazahirey na kiyey jaein, torr phorr na ki jaey) balkey aik muhazzab qom ki tarha muhazzab tareeqey sey aik hi soch key taley jamaa ho ker aagey bharein to koi door nahin keh ham apni manzil na paa sakein.
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #71
                        Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                        Originally posted by ScorpioN_RulzZ

                        isleay kay unhain 80-90 % yaqeen hota hai k woh he is ki zimaydar hain..:blush:
                        mery khayal main Abid ki baton ka ghalat matlab nikala jarha hai, Abid nay jo Article post kia hai us main "BURAI" ka zimaydar aurat ko nahee thehraya gaya balkay us Article main aurat ki zimahdarioN ki baat ki gai hai, maiN nay aik thread post kia tha jis main polling k zareay pocha tha kay aik qoom ko bananay main aurat ka kitna hissa hota hai kuch nay 100% kuch nay 75, 50, 25% kaha.. aur shayad Abid bhi yeh he kehna chahtay hain k kisi qoom ko azeem bananay k leay aurat ka 100% hissa hota hai....!!
                        (mazaq)
                        bilkul bhai mera bhi yehi ,maqsad tha jo aap ny yahaan biyan kardiya magar yahaan wohi hamri pourani jahalt karfarma hogai k urat aur marad ka mawazna shouro hogaya halnk k mera ye maqsar hargiz naheen tha. ALLAH taala ny jo salahiyteen mard ko deen hain wo urat main naheen hain issi tarah jo khobiyan urat main hain mard un se mehroom hy dono hi ALLAH ki makhlook hain aur apni apni jaga dono hi lajawab hain .aap ki wazahat ka bohat shukriya:rose :salam:
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • #72
                          Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                          Originally posted by barg.e.gul
                          ye mehas meyri soch ho sakti hai ---abhi in pakistan mey ney media-- dono electronic aur written,yahi deykha---apney ird gird bhi--wahan mujhey yahi sab nazar aa raha tha ---mey yahan kisi ko bhi nahi defend ker rahi hun--ye sirf aik general comments they--aur meyra ab bhi yahi sawal hai key jab larkiyon ko ghar sey bahar jaaney key adaab seekhaye jaatey hein to phir wahan key larkon ko ye baat kyoon nahi seykhai jaati key nazrein neechi rakha karein?
                          dekhiye payari behan main aap se mutfik hon k mardon ko bhi unhi iqdaar ka paband hona chaiye jo k moashray main baesy sharmo haya hon mera ye post shar karny ka maqsad hagiz yahaan par mard o urat k mabeyn taqabulnaheen tha baz log is se ghalat mubhas main par gay aur asal mozu ko chor kar mardo aur urat ka fasana ly beythy..:rose
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment


                          • #73
                            Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                            Originally posted by Aanchal
                            deekhian aap nay jo likha hai beshak sahi likha hai lekannnnnnn is main har cheez ka zimmadar aurat ko tehrana sahi nahi hai .....
                            hamaray musharay main ab bhi power mardoo kay hathoo main hai ....agar koi aurat aisay kamoo ki taraf chali jati hai to us kay peachay marad hazraat ka hath zaror hota hai ...........aik mard ki kamyaabi kay peachay aurat ka hath hota hai to aik nakam aurat kay peachay aik mard ka hath bhi hota hai ....

                            yeh jo cinema or poster laganay ki baat kar rehay hain yeh cinema aurtian chala rahi hain kia???? yeh jo films banai jatai hain female director ki tadad kitni hai pak main ? 95% to male hain ........

                            aik model ka interview laga howa tha ,us say poucha gia aap is field ki taraf kesay aian ? to us nay kaha us kay father us kay bachpan main fout hoo gay they 2 sis the koi kamanay wala nahi tha , rishtadaroo nay poucha tak nahi pher woh yaha a gai or pesa kama rahi hain ....or loog batain kartay hain lekan jab zarorat ho madad karnay koi nahi ata ....

                            in sab cheezoo main jitna aurat ka hath hai mard ka bhi utna hai ...
                            salam anchal sister mera hargiz ye maqsad naheen tha post lagany k k jis nehaj par baat chal nikli hy asal main bohat kum logon ny asal mozu ko chua hy baqi sary log is post ko urat aur marad k tanazur main dekh rahy hain jab k haqeeqat e haal ye hy k is waqat zaroorat hameen infiradi tour par har aik ko apny apny ahtisaab ki zaroorat hy . agar aap meri post ka shouro wala hisa hi gour se parh laytieen jis main likha hy k kisi bhi moashray main agar mard bigar jaien to baat itni naheen bigarti likin agar urteen bigar jaieen to poura moashra hi tabah ho jata hy ...ye baat jahaan aik tarf urat ki moashray mainb hasiyat ka tayon karahi hy wahaan is se urat ki azmat bhi sabit ho rahi hy aur wo ye k aurat hi moashray ka asal hy jis k bigarny aur sanwarny par moashray ka inhisaar hy...:rose
                            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                            Comment


                            • #74
                              Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                              ge aap ny blkul saheeh ka sister , k aaj kal hum ny waqehi nikah jaysi sunnat ko bohat dushwaar bana diya hy .:rose
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment


                              • #75
                                Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                                Originally posted by Say_lani
                                brother aap nay shyed misunderstand kiya ..manay koi male female difference say baat nahi ki..i just pointed out another aspect......aor rahi baat ourat ya MARD k character ki tu let me say
                                agar aik ourat sahi ho jaye tu mard us k kirdar ki roshni say khud hi zair ho jata hai aor isi tara ourat apni burai ka khatma aik achhay mard k iman ki roshni mai kar sakti hai...asal taqal shak_si nahi hoti balk ye tu iman ki barkat aor taqat hoti hai aor achha aor naik shakhs whether male or female aik PHOOL ki taraf hota hai jis ki khushbu char so phailti hai aor daikhtay hi daikhtay ankhon ka nizara hi badal jata hai........
                                geee aap ny bilkul baja farmaya.:salam:
                                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                                Comment

                                Working...
                                X