Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~
Kisi bhi baat ki, waqeye ki assessment kerne ke liye us ki asaas per nazar zaroor dooraein. Insaani jo soochta he, jo kerta he us per do cheezon ka amal-dakhal hota he, aik insaani fitrat ka jubke doosra mazhab ka. Insaan apni fitrat mein bohat be-haya he, aik janwar ki tarah he, wo her wo cheez kerna chahta he jis per usay taskeen hasil ho chahay us taskeen ko hasil kerne ka zariya kesa hi kyoon na ho. Jubke mazhab usay mutaiyan hadood ke ander rehnay ki talkeen kerta he, mazhab nafs ko kabu kerna sikhata he aik insaan ko hakeekat mein insaan banata he. Yeh cheezein to aap bhi samajti hoon gi.
Phir wohi baat karon ga ke insaan wohi kerta he jis mein us ka hameer hota he, aap loog aurat ke be-basi ka be-ja perchaar to kerte hein, cinima ki baat kerte hein ke aurat ko cinema mein lanay wala merd he aur yeh to bohat masoom he, merdi isay ungli paker ker cinima mein laatay hein jese...hakeekat yeh he ke merd to apni taskeen ke liye khail kheelta he, paisay ka khail, jisay dekh ke aurat ki aankhon mein aik chamak si aa jati he aur yehi khail us ki aankhon mein patti band deta he, usay paisa to nazar aata he, lekin apne jism per kum se kum tar hotay huay kapray nazar nahi aatay.
Aap soochti hon gi ke mein aurat hi ki baat kyoon kerta hoon merdon ki baat kyoon nahi kerta. Wo is liye ke mein ne aaj tak kabi TV per kisi merd ko dekh ker aankhein paray nahi kein, kabi TV channel change nahi kia.
Originally posted by Aanchal

Comment