Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~!~urat aur qoomi kiradar~!~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~!~urat aur qoomi kiradar~!~



    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

  • #2
    Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

    Originally posted by aabi2cool



    baat to sach hai magar....
    That's Enough...!!

    Comment


    • #3
      Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

      Originally posted by ScorpioN_RulzZ
      baat to sach hai magar....
      magar???
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

        Originally posted by ScorpioN_RulzZ
        baat to sach hai magar....
        ge haan magar kiya?:cc:
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment


        • #5
          Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

          yeh ager aap ne qalam band kiya hai tu waqai bauhat acche khayalat hain aap ke.....lakeen aik baat kaheinge yeh hum padh sakte hain aur sumjh bhi sakte hain :alhamd: ,aur is per amal shaid hum sub pahle se hi karte ho keh bahtareen taufeeq dene wala Allah hai...aise mazmoon Aam logon ko padhana chahiye....humara ilm humare hi darmiyaan ghoomta reh jaata hai..yaani hum mein se bauhat se log is se waqif hote hain...zarorat hai yeh baatein un logon tak pohchane ki jo yeh net per aa ker padh nhai sakte....
          Thanxx aap ne waqai aik accha mazmoon share kiya hai....:)

          Comment


          • #6
            Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

            Originally posted by barg.e.gul
            magar???
            MAGAR woh paimana hai jis k baad jaam chalakta hai, aur kapRay kharab hotay hain..:tasali:, isleay magar k baad .... he post karna chaheay :)
            That's Enough...!!

            Comment


            • #7
              Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

              Originally posted by aabi2cool
              ge haan magar kiya?:cc:
              MAGAR yeh k agar mujh maiN koi kharabi hai to woh dosrooN ki nazar main buri hai meri nazar main nahee, agar meri nazar main yeh kharabi hoti to hoti he kion...!!
              That's Enough...!!

              Comment


              • #8
                Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                MAGAR woh paimana hai jis k baad jaam chalakta hai, aur kapRay kharab hotay hain..:tasali:, isleay magar k baad .... he post karna chaheay :)
                Mmm theek :D:
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                  mey sirf aik sawal poochna chahun gi

                  jab bhi muashrey mey ya kaheen bhi kuch ghalt hota hai to hamari society key 80-90% log us kharabi ki zimeydaari aurat key sar kyoon daal deytey hein??
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                    Fiker-e-Arab ko dey ker farangee takhayyulat
                    islam ko hijaaz-o-yemen sey nikaal do

                    Main is baat ko manta hoon keh maghrib aur kufr ki janib sey jo aag bharki hai usney hamara bohat kuchh jala diya hai aur musalsal jala rahi hai. MAGAR sawal yeh pedah hota hai keh kya yeh dosh siraf maghrib ko diya jaey keh woh hamein tabah kar rahey hain? Muhammad SAW sey wafa kis ney karni hai ham ney ya ham is umeed per rahein gey America hamari madad karey ga?

                    Aaj agar ham bigarr rahey hain to is mein dosh kiska hai? I won't blame west!!! Sheeshey key ghar mein rahein to pathar aaney ki tawaqoh honi chahiye....
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                      ASsalamu Alaikum brother:rose

                      Daikhain Bahir say koi b Aadmi andar tab hi a sakta hai jab usay andar waloon ki support milti hai...Sazish ya propaganda ka yahi formula hota hai k agar kisi country,ya kisi k ghar mai b even, koi kaam ghair mahsos tareeqay say karna ho tu us country ya ghar k andar say un afrad ka chu_nao kiya jata hai jin ki soch ghar walon k haq mai nahi hoti aor asa har jagha ho sakta hai ......
                      ab pakistan ya almay islam mai b asay meer jaafar hain jinhon nay externals ko favour kia hai aor un k liye raah hamwaar ki hai...isi tara islamic society k roshan khyal aor ghaddar lgono nay in western ko is satah tak lanay mai important role play kiya hai k wo loug hamray culture tak ko change karnay mai kamyab ho gaye hain....
                      yahan mujay kuch sawwalat k jawwabat chaye
                      aap bataye k indian movies ya asay ganday mags kia chal kar haamary ghar tak atay hain????
                      kia ourat ko koi zabardast ghar say bahir nikalta hai???
                      hamaian apna mazhab mai khud ko mazbot karna hai .....islam k asal message ko understand karna hai....aor sirf ourat hi nahi MARD ko b apna kirdar samjhna hai jahan aik ourat istaymal hoti hai tu usay istaymal karnay wala mard hota hai goya ourat apnay kirday say dor hoti hai tu mard b hota hai...MAAn k qadmo talay jannat hai tu baap JANNAT ka darwaza hai agar maa khud badi ki raah par ja sakti hai tu baaap b ja sakta hai aor jo khud dozakh ka darwaza ban jaye tu wo oulad ko kahan jannat mai lay jaye ga,,,
                      isliye bahtar hai k ham sab say pahla kaam ye karain k apni accountability karain aor apnay aap ko chanay aor apni buraiyaan khatam karain jab ham apni apni jagha par achhay muslim ban jaien gay tab hamray iman ki roshni hi kafi ho gi..............
                      Aap yaqeen kijye ham jitna marzi sir patkh lain jab tak asli ISLAM hamray andar nahi a jata ..ham asay hi DUNYA mai barbad houn gay,,,,,,,,,baytiaan zillat ka nishan ho gi tu baytay burai ki jar...muashra zawwal k la mahdod safar ki taraf gamzan rahay ga...
                      Aye apni apni jagha par sochain..HAm mai kitna islam hai
                      kia ham QURAN ko samjhtay hain?????ham aik din mai 5 namaz partay hain??
                      jhot say bach_tay hain???
                      HAdees ko samjtay hain????aor khud ko anti islam factors like movies ,films etc etc etc say kitna dor rakhtay hain ya post baraye post pay guzara kartay hain aor even asi post kartay hoye b koi na koi song play ho raha hota hai
                      let's think or prepare ourself to die in sea of EVIL
                      thanx
                      Hamain Khabar hai K ham Hain churag Akhir shab
                      ~~~HamaraY Baad Andaihra nahi Ujala Hai ~~~

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                        Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                        MAGAR yeh k agar mujh maiN koi kharabi hai to woh dosrooN ki nazar main buri hai meri nazar main nahee, agar meri nazar main yeh kharabi hoti to hoti he kion...!!
                        kisi bhi burai kiliye ye lazim naheen hota k aap ki nazar main bhi wo burai ho burai hony kiliye itna hi kafi hy k wo burai hy aur moashry kiliye baesy zarar hy ab is moashray main bohat se aysy log hain jo burai ko burai janty huy bhi apnay huy hain kaya khiyal hy?:salam:
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                          Originally posted by barg.e.gul
                          mey sirf aik sawal poochna chahun gi

                          jab bhi muashrey mey ya kaheen bhi kuch ghalt hota hai to hamari society key 80-90% log us kharabi ki zimeydaari aurat key sar kyoon daal deytey hein??
                          ye mehaz aap ki souch hy is ka haqeeqat se koi taluq naheen aaj ki urat kisi bhi moamly main khud ko kisi se peechy taswur naheen karti aur wo aaj is qabil hogai hy k khud par hony waly istehsaal ka utar de saky haan moashray main khuch misaleen mazloom urtoon ki bhi zaroor hain likin isitarah ki misaleen murdoon k bary main bhi de jasakti hain.....aur dosra aik sab se bara fector ye hy k hum jab bhi koi is kisam ki baat parhaty hain to bajay mozu k hum usy zaat par lay leyty hain masaln baat ho rahi hy moashry main urtoon ki bigri hui surtehaal par likin aap ny us surtehaal ko naheen mad e nazar arkha likin serf urtoon k difa kiliye foran amada hon gain...is that tru?:rose
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                            Originally posted by Say_lani
                            ASsalamu Alaikum brother:rose

                            Daikhain Bahir say koi b Aadmi andar tab hi a sakta hai jab usay andar waloon ki support milti hai...Sazish ya propaganda ka yahi formula hota hai k agar kisi country,ya kisi k ghar mai b even, koi kaam ghair mahsos tareeqay say karna ho tu us country ya ghar k andar say un afrad ka chu_nao kiya jata hai jin ki soch ghar walon k haq mai nahi hoti aor asa har jagha ho sakta hai ......
                            ab pakistan ya almay islam mai b asay meer jaafar hain jinhon nay externals ko favour kia hai aor un k liye raah hamwaar ki hai...isi tara islamic society k roshan khyal aor ghaddar lgono nay in western ko is satah tak lanay mai important role play kiya hai k wo loug hamray culture tak ko change karnay mai kamyab ho gaye hain....
                            yahan mujay kuch sawwalat k jawwabat chaye
                            aap bataye k indian movies ya asay ganday mags kia chal kar haamary ghar tak atay hain????
                            kia ourat ko koi zabardast ghar say bahir nikalta hai???
                            hamaian apna mazhab mai khud ko mazbot karna hai .....islam k asal message ko understand karna hai....aor sirf ourat hi nahi MARD ko b apna kirdar samjhna hai jahan aik ourat istaymal hoti hai tu usay istaymal karnay wala mard hota hai goya ourat apnay kirday say dor hoti hai tu mard b hota hai...MAAn k qadmo talay jannat hai tu baap JANNAT ka darwaza hai agar maa khud badi ki raah par ja sakti hai tu baaap b ja sakta hai aor jo khud dozakh ka darwaza ban jaye tu wo oulad ko kahan jannat mai lay jaye ga,,,
                            isliye bahtar hai k ham sab say pahla kaam ye karain k apni accountability karain aor apnay aap ko chanay aor apni buraiyaan khatam karain jab ham apni apni jagha par achhay muslim ban jaien gay tab hamray iman ki roshni hi kafi ho gi..............
                            Aap yaqeen kijye ham jitna marzi sir patkh lain jab tak asli ISLAM hamray andar nahi a jata ..ham asay hi DUNYA mai barbad houn gay,,,,,,,,,baytiaan zillat ka nishan ho gi tu baytay burai ki jar...muashra zawwal k la mahdod safar ki taraf gamzan rahay ga...
                            Aye apni apni jagha par sochain..HAm mai kitna islam hai
                            kia ham QURAN ko samjhtay hain?????ham aik din mai 5 namaz partay hain??
                            jhot say bach_tay hain???
                            HAdees ko samjtay hain????aor khud ko anti islam factors like movies ,films etc etc etc say kitna dor rakhtay hain ya post baraye post pay guzara kartay hain aor even asi post kartay hoye b koi na koi song play ho raha hota hai
                            let's think or prepare ourself to die in sea of EVIL
                            thanx
                            mujhy aap ki tamam batoon se ittifaq hy aur rahy aap ki pouchy gay sawalaat k jawabat to wo aap ny khud hi apny akhri pary main de diya mujhy alehda se khuch kehny ki zaroorat naheen.. main is baat ka qaiel hon k burai ko burai k tanazur main dekhna chiye na k mard o urat k tanazur main,,,:rose
                            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~!~urat aur qoomi kiradar~!~

                              Originally posted by Masood
                              Fiker-e-Arab ko dey ker farangee takhayyulat
                              islam ko hijaaz-o-yemen sey nikaal do

                              Main is baat ko manta hoon keh maghrib aur kufr ki janib sey jo aag bharki hai usney hamara bohat kuchh jala diya hai aur musalsal jala rahi hai. MAGAR sawal yeh pedah hota hai keh kya yeh dosh siraf maghrib ko diya jaey keh woh hamein tabah kar rahey hain? Muhammad SAW sey wafa kis ney karni hai ham ney ya ham is umeed per rahein gey America hamari madad karey ga?

                              Aaj agar ham bigarr rahey hain to is mein dosh kiska hai? I won't blame west!!! Sheeshey key ghar mein rahein to pathar aaney ki tawaqoh honi chahiye....
                              , bilkul is ghar ko aag lag gai ghar hi k chiragh k misdaak ghalib qasooor hamara hi hy likin ab is ka kaya kiya jay k hum par aysi behsi tari hy k hum par kisi bhi cheez ka koi bhi asar hota hi naheen koi hamri bootiyan hi noch noch kar kiuon na khay hum dethai se dekhty rehty hain...:rose
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              Working...
                              X