Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Discussion: Rishtey ..

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Discussion: Rishtey ..

    Originally posted by Rida
    mujhay apni baat dosray ta usi tarah ponhachana jo mairay zehen main hai buht mushkil lagta hai .....thanks u liked it... tum nay kia question pocha hai isay explain karo plzzz.....main nay apnay baray main hi tu bataya hai :p...same attitude hota hai naa maira...
    mera detail reply parho .. samajh aa jaaye gi kia poocha hai :D :tasali:
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

    Comment


    • #17
      Re: Discussion: Rishtey ..

      Originally posted by Aania
      hehe .. me bhi kuch aur bolney aa gayee :D

      hmmm so ... for me this word counts a lot... actually this word is precious... acha urdu mein likhti hoon naa... :tasali:

      meri nazar main .. merey khyaal main meri observation jo kehti hai wo to bayan ker chuki hooon
      like rishtey bana-na easy hai .. bigarrna aur bhi easy hai .. bas nibhaney ka dam hona chahye ...
      Rishta /bandhan chahey kisi se bhi ho
      insan ka Khuda se
      apni mom se dad se bachon se barron se boorhon se
      i think its better to realize wot u have inside of u ..
      a true n sincere person an emotional-selfish animal or something else... :) hmmm kachey dhagon se baney rishtey .. zara si aahat huii toot gaye.. girah lagani parr gayee... yehan zaroorat hoti hai aietemaad ki ... yaqeen ki .. :) jo shayed insan mein khudi doubted sa ho ke rehta hai yeah yaqeen khud pe hona chahye.. aur nazar main shak na ho to rishtey bohat bhaley lagtey hein.. aur nibaah ta-umr rehta hai ..

      ziada nahen kahoon gi . phir logon ko kahin din na lag jaayen parhney mein :khi:
      society ki base main hi majority rishtey banaye jaatey hein.. to un ko completely ghalat nahen kehna chahye .. koz rishtey to shayed baney hotey hein.. dunya mein aaney se pehley hi.. waqt n halat make things possible ... to meet n to be together foreva or for a while..

      well aik doosrey ko ilzaam theh-rana ke rishta kis ki waja se toota is point ka ehtesaab mumkin hai
      baat sochney samajhney aur khud ke nafs ko qaboo mein rakh ke faisley kerney ki hai... :)
      well... chalye .. solid suggestion deti hoon na-sirf aap ko khud ko bhi.. ke agar ham apney kahey huye words ko nibhatey rahen apney kahey hye words ka maaan rakhen un ki izzat rakhen koi bhi rishta banatey huye jo words ham kehtey hein unki baat ker rahi hoon ... to merey khyaal se rishton ko nibhaney aur samajhney mein ham khud ki islaah ker ke positive point ko top pe rakh ke ... khud ka , banaye/baney huye rishton ka , jis se rishta banaya hai us ka ehteram ker saktey hein pyaar barha saktey hein..

      haan.. thorri ziada jazbaati ho jaati hoon sometime ... lekin.. truely... zulm ke khilaf hoti hoon.. na-insaafi ke khilaaf hyper ho jaati hooon.. ya phir chup ker jaati hooon.. away ho jaati hoon wahan se jahan aiesa ehsaas miley .. ke bhens ke aagey been bajaney se koi faiida nahen .. yaa meri baat ko ya meri ghalti ko muaf kerna baraye naam hai .. un rishton mein ... chahey wo kisi bhi no-iyat ke hon .. rehna ... samjhota to ker leti hooon ... wot i like in my personality.. i admit my mistakes n i m much flexible in decisions.. dil na tootey khuda ka ye ghar hai.. lekin ... baat zulm ki ho to baqol mom ya seh lo ya chorr do .. jo possible ho sakey usi ko follow keroon gi ... sehna .. aur nibhana .. kisi bhi rishtey ko ...it depends...

      sometime love relation bhi had se ziada nafrat ban jaatey hein..


      neways.. in short.. :khi: rishton ko nibhaney ka matlab apney aap ki izzat hai .. chahey rishta koi bhi ho ... specially legal one ... jis mein ... mian-biwi, parents... bachey.. sabhi aatey ehin...
      aur maan-baap ke banaye huye rishtey .. zaroori nahen ke hamesha ghalat hon.. kion ke ghalti to ham se bhi hoti hai .. to wo bhi to insaan hain.. is liye rishton ki qadar kerni chahye..
      pachtawon se behtar hai .. lekin ye process ... one-way possible nahen....aur complicated point ye hei.. ke zaroori nahen sab positive hi sochtey hon..

      rishtey jo takleef azyat detey ehin... un se kinara waqt kerwa hi deta hai sooner or later.. aur kisi ke liye aansoo kisi ke liye bad-dua ban jata hai waqt.. kher...

      bohat ziada likh diyaa naa... :shh: :wk sholly...
      guess wot.. abhi bohat shorten kia hai...
      to reply next time :D

      ll be waiting for ur response :) :lpop:



      hmmm nice

      Rishta Bana-na = Easy

      Rishta Torna = To Much Easy

      Rishta Nibana = to much difficult

      Comment


      • #18
        Re: Discussion: Rishtey ..

        Originally posted by Aania
        mera detail reply parho .. samajh aa jaaye gi kia poocha hai :D :tasali:
        yuups samajh gai... me aur u miltay hain kafi :p...kal baat hogi :phool;
        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • #19
          Re: Discussion: Rishtey ..

          Originally posted by Rida
          yuups samajh gai... me aur u miltay hain kafi :p...kal baat hogi :phool;
          k sure.. see ya tomorow :)
          Visit My Early PS Work
          You Are Welcome To Comment

          Comment


          • #20
            Re: Discussion: Rishtey ..

            Originally posted by TheMask
            hmmm nice

            Rishta Bana-na = Easy

            Rishta Torna = To Much Easy

            Rishta Nibana = to much difficult
            its 100 % true man ... :)
            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment


            • #21
              Re: Discussion: Rishtey ..

              for me .." Rishty" sub kuch hain
              .. i live for my family.... and i will be happy if i die for them....

              detail answer baad main post karoon ga.. ja sy hi time milaa
              Last edited by tauseeftariq; 16 May 2006, 20:54.
              Zaid Hammid on Sawat War..
              A must Watch..

              Comment


              • #22
                Re: Discussion: Rishtey ..

                nice dicusstion is going on .... keep it up :clap:


                Rishty hai tu yah dunia hai :rose
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • #23
                  Re: Discussion: Rishtey ..

                  Walikum Assalam!


                  Lets come 2 the topic


                  • rishtoon ko nibhana zaroori hai takey:
                    • rishte mazbooti se parwaan charhiin
                  • jahaan samjhoota hota hai wahaan rishte banai jate hain otherwise humin pata bhi nahi chalta kab koi dil k qareeb a jae or us se ik gehra rishta jurr jae


                  Thx 4 sharing such a gr8oo topic Aania:salam:
                  Keep coming n keep sharing:rose :rose
                  KHUSH RAHIYE:phool:

                  Comment


                  • #24
                    Re: Discussion: Rishtey ..

                    Originally posted by Aania
                    k sure.. see ya tomorow :)
                    Assalaam-0-Alaikom:rose

                    mmm...main pehlay bhi PG per kisi thread main keh chuki hoon... her rishtay ki bunyaad khulos..aitbaar..muhabbat per qaaim hai...jahan yeh saab hoga wahien per rishtay qaaim rehain gay...main is mamlay main buht shiddat pasand hoon.. her aik say khuloos say hi paish aanay ki koshish karti hoon... her rishtay say muhabbat karti hoon...aur kehnay per believe bhi karti hoon..aik hadees hai keh "agar tum apnay bhai say muhabbat rekhtay ho tu usay bata do "...bus isi liye acha lagta hai...n really jaisay tum nay kaha naaa...main bhi buht emotional ho jati hoon apnay loved ones kay baray main..... baqol me kay belongings.....me buht buht loving aur caring hooon.+ sensitive......rishtoon ko qaaim rakhnay kay liye dosroon ki kai tafleef deh batain ignore bhi karti hoon... lakin jaisay her baat ki aik had hoti hai is liyee... jab bardaasht ki had aajati hai...tu aar ya paar.....wohi u ki mom wali baat seh lo ya chor do.....pehlay bhi kaha naa jab rishtay aziyatoon kay siwa kuch na dain tu unhain chorna hi behter hai..... bus is ka bhi experience hai mujhay...lakin is mamlay .......suna ....kaha... khatam baaat...dil saaf hona chahiye....keena perwari ki qaaail nahin... blood relationships kay ilawa mujhay pehlay believe nahin tha khud say banaye hoye rishtoon per...lakin jab aik buht acha por khuloss ..naik niyaati say bhar poor rishta bana tu mujhay buht acha bhi laga aur really main aisay rishtoon ko bhi khona nahin chahti....khud say main zara kam hi aagay barhti hoon... is mamlay main humeesha dosroon nay hi haath aagay barhaya hai...phir mujhay peechay nahin paya hai...:lpop:
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #25
                      Re: Discussion: Rishtey ..

                      Originally posted by Rida
                      Assalaam-0-Alaikom:rose

                      the Mask kay opinion mujhay bhi pasand aaya hai ...nice nad true :rose
                      thxxxxxxx

                      Comment


                      • #26
                        Re: Discussion: Rishtey ..


                        So plzz humare liye duwa kijye ga keh aage bhi Allah hume her musibat se apni panah mein rakhe aur tamam ummat ko bhi(aameen)

                        love you..:phool:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Discussion: Rishtey ..

                          Originally posted by ummid
                          So plzz humare liye duwa kijye ga keh aage bhi Allah hume her musibat se apni panah mein rakhe aur tamam ummat ko bhi(aameen)

                          love you..:phool:
                          Kisi ne kaha he

                          Khuda jub husn deta he to nazakat aa hi jati he

                          bilkul isi tarah jub Insaan naye naye rishton mein bandta he to usay akal bhi aa hi jati he :comfort:

                          Wish you best of luck
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #28
                            Re: Discussion: Rishtey ..

                            Originally posted by munda_sialkoty
                            Kisi ne kaha he

                            Khuda jub husn deta he to nazakat aa hi jati he

                            bilkul isi tarah jub Insaan naye naye rishton mein bandta he to usay akal bhi aa hi jati he :comfort:

                            Wish you best of luck


                            Thank you....:phool:
                            bus duwa kijyega keh jub naye rishtey bane tu nibhane ka saliqa bhi aa hi jaye(aameen):dua

                            Comment


                            • #29
                              Re: Discussion: Rishtey ..

                              Originally posted by Aania
                              Salam Folkz... wassup all..
                              hmm umeed hai theek hon ge inshaAllah ..

                              was salam
                              meyra khayal hai aap sab ney theek thak likh liya hai is per :thmbup:
                              thora sa meyri taraf sey

                              rishton ki ahmyat?
                              ye aik bohot nazuk lafz hai aur jo cheezein nazuk hoti hein wo eham bhi hoti hein, agar in ka sahih sey khayal na rakha jaye to bohot nuqsaan hota hai
                              rishton ko nibhana kion zaroori hai?
                              insaan aik society key baghair nahi reh sakta aur society hai to it means key rishtey hein yani insaan rishton key baghair nahi reh sakta ---zinda rehney key liye rishtey nibhana zaroori hain
                              rishtey toot jaayen to results kia hotey hein ?
                              postive/negative?
                              Aany her haal mey hi nuqsaan hota hai ----and as u said result sirf pachtawa hota hai
                              rishtey ban bhi jatey hein banaye bhi jatey hein..
                              most imp. hamarey blood relations hein jo key qudrat ki taraf sey baney huye hein --- in key ilawa jin logon key sath aap interact kertey ho like ur friends' colleagues ' teachers....

                              pata nahi rishtey banaye kaisey jaatey hein .....might be just for business dealings

                              aik baar apney zameer main jhankiye..
                              khud se poochye .. ham har terah ke rishton ko nibhaney mein kitney % kamyaab hotey hein aur kitney % nakaam ?
                              Mmm ye baat to shayad hamein khud bhi tabhi pata chaley gi jab hum practical life mey qadam rakhein gey
                              filhal to sirf kitabon key sath nibhana hai :D








                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              Working...
                              X