Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Discussion: Rishtey ..

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Discussion: Rishtey ..

    Salam Folkz... wassup all..
    hmm umeed hai theek hon ge inshaAllah ..

    the topic i have today has unique, respecting, amazing, great, might be lil conflicted...
    & God-gifted qualities in its own existance.

    RISHTEY

    kesa word hai aap ki nazar main?
    is ki ahmiyat kia hai ?
    is ki ahmiyat kia honi chahye real main?

    har bandhan / ta'luq khud mein aik rishta bunta chala jata hai, kabhi ham pachtatey hein.. kabhi ham fakhr kertey hein.. Qudrat ka qanoon hai ke ham ko aik doosrey ke liye banaya gia hai/peda kia gia hai

    akeley to koi janwar bhi rehna pasand nahen kerta ..
    chalye kuch examples har society se...

    western: log akeley rehtey hein.. aur families main bhi rehtey hein.. lekin har terah ke logon main rishtey moujood hain.. nibhatey bhi hain torrtey bhi hain.

    eastern: poori koshish mein samjhoton takrar pyar sab kuch samney rakhtey huye.. rishton ko nibhatey bhi hein.. aur sometime torr bhi detey hein.

    janwar: jhund jesa bhi ho .. khaney pe shikaar mian larayee bhi rehti hai .. lekin ... apney jhund se alag ho ke khud kisi ka shikar bhi ho jatey hein..

    rishta maan-baap, bhaii-behan, miaan-biwi, dost, cousin gharz ke har rishta khud mein bohat kuch samoye huye hei.

    keh leejye... aik malaa hai khoobsoorat motiyon ki ye rishtey ...

    rishtey bana-na kuch aasaan hai ... kabhi kaafi aasaan hai .. rishtey torrna bohat hi ziada aasaan hai... roti aankhon ko chorrna .. be-hisi show ker ke torr denaa.. barron ke banaye huye rishton ko.. kabhi khud apney hathon banaye huye rishton ko...

    lekin is ko nibhana mushkil hai ... this is true..
    yehi to shayed insan ki real aazmayesh hai
    kehney ko bohat kuch hai..

    aap apney views in detail share keejye.
    rishton ki ahmyat?
    rishton ko nibhana kion zaroori hai?
    rishtey toot jaayen to results kia hotey hein ?
    postive/negative?
    rishtey ban bhi jatey hein banaye bhi jatey hein..

    aik baar apney zameer main jhankiye..
    khud se poochye .. ham har terah ke rishton ko nibhaney mein kitney % kamyaab hotey hein aur kitney % nakaam ?

    pachtawey.. ham khud ke liye khudi likh detey hein.. sometime pachtawey hamarey hathon mein gift ke tor pakraye jatey hein.

    so share ur openions...
    mein bhi apney mazeed views ideas suggestions share keroon gi kerti rahooon gi.. aur umeed kerti hoon.. ke aap sab bhi zaroor karen ge... :)
    so welcome everybody.. come n share.. ur right thoughts...

    aik baat zaroor kahoon gi...
    ke ham sometime .. likhtey bohat gehra hain..
    like manjhey huye writers ki terah ..
    lekin yehan jo openions chahyen ..
    wo sidq e dil se likhye..
    apney zameer mein jhaank ke apney insan honey ka ehtesaab ker ke likhye...
    zaroor bataye aap ki personality ... se rishtey jurrtey ziada hain ya door ziada bhagtey hein??
    I m not askin to share ur weak-points.. but some real words.

    Ethical-hacker.. hypnotize kerna words ke through aasaan hai.. lekin yehan zaroorat hai .. jesey aap hypnotized ho main hypnotized hooon ... TRUTH ke hathon .. n Real - Openion Real - Words Share keejye ..

    thnx... hope to see truth of ur inside!

    Welcome All

    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: Discussion: Rishtey ..

    yaar aany mujhe doubt hai ke U med se related ho, R U sure tum physocology ki field se related nahi :hhh:

    J...k... Mei thora free ho ker reply kerti hoon in dtl :)
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Discussion: Rishtey ..

      2 din tak to main esy read keronga...

      Comment

      • #4
        Re: Discussion: Rishtey ..

        Originally posted by Khalil
        2 din tak to main esy read keronga...
        urdu hi to likhi hai wid a lil terrka of english easy-words...
        ab ye bhi samajh naa aaye to ...
        Visit My Early PS Work
        You Are Welcome To Comment

        Comment

        • #5
          Re: Discussion: Rishtey ..

          Originally posted by Khalil
          2 din tak to main esy read keronga...

          :p
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: Discussion: Rishtey ..

            Originally posted by Sweet & Sour
            yaar aany mujhe doubt hai ke U med se related ho, R U sure tum physocology ki field se related nahi :hhh:

            J...k... Mei thora free ho ker reply kerti hoon in dtl :)
            Wasalam .. ji mein life se related hoon.. rishton ka definite hissa main bhi hoon sab ki terah bas.. aur haan... to have management as major ethics.. related life mind body reactions... senses related sabhi kuch parrhti hoon... :) aur its requirement of my major how we can understand people .. n how we have to be .. n how we are... n many more things...

            welcome ne-time ... waiting for ur reply .. :)
            Visit My Early PS Work
            You Are Welcome To Comment

            Comment

            • #7
              Re: Discussion: Rishtey ..

              Assalaam-0-Alaikom:rose

              Aani tum nay PM kia hai tu reply kar rahi hoon... other wise main behes say zara duar rehnay ki koshish karti hoon...mujhay words kay zariyey hypnotize karna nahin aataa na hi apni bat dosray tak achi tarah ponhchanay ka saleeqa hi....lakin thora buht share karnay ki baat karooo... tu main yehi samajhti hoon... keh her rishta aik khaas ehmiyat rakhta hai.... chahay woh ALLAH aur banday kay darmiyaan ho... chahay aik insaan ka dosray insaan kay saath ho...hum maan baap. behen bhai.. dost rishtay daar...ustaad aur shagird.. mian bivi ...kisi bhi rishtay kay hawalay say baat karain...her rishtay apni jaga buht zayada importance aur izzat o hurmat ka hamil hai....rishtoon kay zariyay hum is dunyaa main survive kar patay hain.. jaisa kay Wasif Ali Wasif nay kha hai keh Zindgee ka asal lutf rafaqat kay dam say hai... rishtay nibhanay kay liyee ...aik dosray ki izzat karna ..aik dosray kay ehsaasat ka khayal rakhna aur un ko samajhna buht zurori hai....kaha jaata hai keh insaan apnay aadhay gham dosroon say tawaqaat wabasta rakh kar khareedta haii... poori na honay per expectations really buht rulaati hain.. lihaaza kam say kam expect karna chahiyee....rishton ko tora kiun jata hai... is ki kai wojohaat ho sakti hain....bad qismati say humaray muashray main aisay loag bhi moajod hain jo jaan bojh kar dosron ko takleef dai kar khush hotay hain...yahi loag rishtay toorrnay main sar-e fehrist nazar aatay hain...woh loag bhi hain jo her sorat main rishta nibhanay per belive kartay hain...lakin kabhi kabhar aisi situations paida ho jati hain keh woh bhi majboor hojatay hain... jab kisi rishtay say aap ko aziyaat kay siwa kuch na milay tu aisay rishtay ka torrna hi behter rehta hai... her rishtay aur taalloq ki aik motayyan umer hoti hai auragar mizaj priorities ya choices different hoon tu saray rishtay taallloq aur mohabbatin tabai umer say pehlay apni umer pori kar laitay hain .......rishtay ttot-tay hain tu in ka +ve effect hota hai ya -ve... yeh baat bhi rishtay ki noiyat per depend karti hai...Aisa shakhs jisay milnay kay baad aap zabt ki aakhri hadon ko touch karnay lagian jo kabhi aap kay pasand or soch kay mayar per pora na otray tu zahir si baat hai aap us say koi rishta rakhnay kay rawadaar nahin hongay ....
              bus bhaii itna hi kaafi hai :pphew:
              Last edited by *Rida*; 16 May 2006, 09:42.
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment

              • #8
                Re: Discussion: Rishtey ..

                Originally posted by Rida

                thnx to be here.. n share.. ur openions... hmmm ...
                aap apney barey main kaho.. rishta nibhaney pe kitney % yaqeen n khud pe kitney % trust hai in the same case? (any-kinda-relation)
                and thnx again .. for ur nice thoughts... :)
                ab to me pm kerti rahoon gi :D
                seriously to liya naa u ne ... ye dekh ke aap ke points parh ke bohat acha laga ... thnx again ...

                answer the qs's wheneva u want .. n lets see wot other comment... about this topic.. :)
                stay with me kurrye :D :lpop:
                Visit My Early PS Work
                You Are Welcome To Comment

                Comment

                • #9
                  Re: Discussion: Rishtey ..

                  :)
                  Attached Files

                  Comment

                  • #10
                    Re: Discussion: Rishtey ..

                    :) :)
                    Attached Files

                    Comment

                    • #11
                      Re: Discussion: Rishtey ..

                      u have raised interesting points TheMask
                      I ll ask u some details of ur points... lil laters... lets see baaqi sab kia kehtey hein :)
                      Visit My Early PS Work
                      You Are Welcome To Comment

                      Comment

                      • #12
                        Re: Discussion: Rishtey ..

                        Originally posted by Aania
                        u have raised interesting points TheMask
                        I ll ask u some details of ur points... lil laters... lets see baaqi sab kia kehtey hein :)
                        ok jee sab ki ruy dhektey haim muje be us aik person kay points ka intizar hai :)

                        Comment

                        • #13
                          Re: Discussion: Rishtey ..

                          Assalaam-0-Alaikom:rose

                          the Mask kay opinion mujhay bhi pasand aaya hai ...nice nad true :rose
                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment

                          • #14
                            Re: Discussion: Rishtey ..

                            Originally posted by Aania
                            thnx to be here.. n share.. ur openions... hmmm ...
                            aap apney barey main kaho.. rishta nibhaney pe kitney % yaqeen n khud pe kitney % trust hai in the same case? (any-kinda-relation)
                            and thnx again .. for ur nice thoughts... :)
                            ab to me pm kerti rahoon gi :D
                            seriously to liya naa u ne ... ye dekh ke aap ke points parh ke bohat acha laga ... thnx again ...

                            answer the qs's wheneva u want .. n lets see wot other comment... about this topic.. :)
                            stay with me kurrye :D :lpop:
                            mujhay apni baat dosray ta usi tarah ponhachana jo mairay zehen main hai buht mushkil lagta hai .....thanks u liked it... tum nay kia question pocha hai isay explain karo plzzz.....main nay apnay baray main hi tu bataya hai :p...same attitude hota hai naa maira...
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment

                            • #15
                              Re: Discussion: Rishtey ..

                              hehe .. me bhi kuch aur bolney aa gayee :D

                              hmmm so ... for me this word counts a lot... actually this word is precious... acha urdu mein likhti hoon naa... :tasali:

                              meri nazar main .. merey khyaal main meri observation jo kehti hai wo to bayan ker chuki hooon
                              like rishtey bana-na easy hai .. bigarrna aur bhi easy hai .. bas nibhaney ka dam hona chahye ...
                              Rishta /bandhan chahey kisi se bhi ho
                              insan ka Khuda se
                              apni mom se dad se bachon se barron se boorhon se
                              i think its better to realize wot u have inside of u ..
                              a true n sincere person an emotional-selfish animal or something else... :) hmmm kachey dhagon se baney rishtey .. zara si aahat huii toot gaye.. girah lagani parr gayee... yehan zaroorat hoti hai aietemaad ki ... yaqeen ki .. :) jo shayed insan mein khudi doubted sa ho ke rehta hai yeah yaqeen khud pe hona chahye.. aur nazar main shak na ho to rishtey bohat bhaley lagtey hein.. aur nibaah ta-umr rehta hai ..

                              ziada nahen kahoon gi . phir logon ko kahin din na lag jaayen parhney mein :khi:
                              society ki base main hi majority rishtey banaye jaatey hein.. to un ko completely ghalat nahen kehna chahye .. koz rishtey to shayed baney hotey hein.. dunya mein aaney se pehley hi.. waqt n halat make things possible ... to meet n to be together foreva or for a while..

                              well aik doosrey ko ilzaam theh-rana ke rishta kis ki waja se toota is point ka ehtesaab mumkin hai
                              baat sochney samajhney aur khud ke nafs ko qaboo mein rakh ke faisley kerney ki hai... :)
                              well... chalye .. solid suggestion deti hoon na-sirf aap ko khud ko bhi.. ke agar ham apney kahey huye words ko nibhatey rahen apney kahey hye words ka maaan rakhen un ki izzat rakhen koi bhi rishta banatey huye jo words ham kehtey hein unki baat ker rahi hoon ... to merey khyaal se rishton ko nibhaney aur samajhney mein ham khud ki islaah ker ke positive point ko top pe rakh ke ... khud ka , banaye/baney huye rishton ka , jis se rishta banaya hai us ka ehteram ker saktey hein pyaar barha saktey hein..

                              haan.. thorri ziada jazbaati ho jaati hoon sometime ... lekin.. truely... zulm ke khilaf hoti hoon.. na-insaafi ke khilaaf hyper ho jaati hooon.. ya phir chup ker jaati hooon.. away ho jaati hoon wahan se jahan aiesa ehsaas miley .. ke bhens ke aagey been bajaney se koi faiida nahen .. yaa meri baat ko ya meri ghalti ko muaf kerna baraye naam hai .. un rishton mein ... chahey wo kisi bhi no-iyat ke hon .. rehna ... samjhota to ker leti hooon ... wot i like in my personality.. i admit my mistakes n i m much flexible in decisions.. dil na tootey khuda ka ye ghar hai.. lekin ... baat zulm ki ho to baqol mom ya seh lo ya chorr do .. jo possible ho sakey usi ko follow keroon gi ... sehna .. aur nibhana .. kisi bhi rishtey ko ...it depends...

                              sometime love relation bhi had se ziada nafrat ban jaatey hein..

                              neways.. in short.. :khi: rishton ko nibhaney ka matlab apney aap ki izzat hai .. chahey rishta koi bhi ho ... specially legal one ... jis mein ... mian-biwi, parents... bachey.. sabhi aatey ehin...
                              aur maan-baap ke banaye huye rishtey .. zaroori nahen ke hamesha ghalat hon.. kion ke ghalti to ham se bhi hoti hai .. to wo bhi to insaan hain.. is liye rishton ki qadar kerni chahye..
                              pachtawon se behtar hai .. lekin ye process ... one-way possible nahen....aur complicated point ye hei.. ke zaroori nahen sab positive hi sochtey hon..

                              rishtey jo takleef azyat detey ehin... un se kinara waqt kerwa hi deta hai sooner or later.. aur kisi ke liye aansoo kisi ke liye bad-dua ban jata hai waqt.. kher...

                              bohat ziada likh diyaa naa... :shh: :wk sholly...
                              guess wot.. abhi bohat shorten kia hai...
                              to reply next time :D

                              ll be waiting for ur response :) :lpop:

                              Visit My Early PS Work
                              You Are Welcome To Comment

                              Comment

                              Working...
                              X