I'mHalal
Asslamo Alikum
Internet per kisi bhi mozoo se mutaliq mawad ki talash ke lye aisi website se madad li jati hay jinhian search engine kaha jata hay. Google, Yahoo, aur MSN sab se maqbool search engine hain. Internet ke millions users web search ke lye inhi search engines ko tarjeeh dete hain. In search engines ki afadyat main koi shak nai lekan in ki aik aham khasoosyat yah khami yeh hay ke yeh kisi search engines ke results main har kisam ki websites ya tasaveer zahir kar dete hain. Jin main fehash websites aur tasaweer bhi shamil hoti hain. In search engines ki yeh khasoosyat khas tow per muslmanon ke lye qabil e qabool nahin. Taham, ab in ki yeh mushkil bari hadh tak hal ho gayi hay keunke aik aisa search engine takhleeq kar lia gaya hay jo HARAM aur HALAL main tameez kar sakta hay.
Imhalal.com holland ke shehr amesterdim main muqeem 20 years ke student Raza Sardha ki takhleeq hay. Raza ka kehna hay k woh jab bhi internet per kuch search karta tha to search engine ke dye gaye result main fehash mawad bhi shamil hota tha. Musalsal is qisam ki soort-e-hal ka samna karney ke baad is ke zehan main aisa search engine banany ka khayal aya jo fehash aur gher ikhlaqi mawad ko zahir na karta ho. Chunachey kayi maah ki koshisho ke baad woh imhalal.com ki tashkeel main kamyab ho gaya. Imhala.com main gher ikhlaqi mawad ko roknay ke lye 3 level ya Haram level banaye gaye hain. Jab hum is engine ke search box main kuch type kartey hain to yeh engine is sawal ki in 3 levels ke mutabiq jaanch karta hay. Agar woh in 3noN main s e kisi bhi darjey se mutaliq na ho yani halal ho to is ke natayij fori tor per zahir ho jate hain. Haram ke pehley darjey main any waley sawalat ke jawabat main search engine aik warning zahir karta hay ke aap ki search haram ke pehel ya doosrey darjay main aati hay aur is ke results main gher ikhlaqi aur fehash mawad ho sakta hay. Agar aap phir bhi search karna chahien to kar sakte hain, lekan haram ke 3srey darjey main anay walay sawalat ka aap ko koi jawab nai milay ga. Abhi yeh search engine ibtidayi marahil main hay , is lye tawaqa ki jati hay k is ki karkardgi main mazeed behtri layi jaye gi.
Dunya ka pehla halal search engine tezi se maqboolyat hasil kar raha hay. Jis ka andaza is baat se bhi hota hay ke pehle 2 hafton main is se 5 lakh logoN ne istifada kia aur yeh tadad roaz baroz barh rahi hay. Khas tor per mashriq-e-wusta main is ke users ki tadad main tezi se izafa ho raha hay. Dil chasp baat yeh hay ke Imhala.com gher muslims main bhi maqbool ho rha hay. Jo apnay bachoN ko gher ikhlaqi mawad se door rakhna chahtey hain. Islami Search engine ki barhti hoi maqboolayat ko dekhte hoey kaha ja sakta hay ke 2, 3 years main yeh Google, aur Yahoo ke mazboot hareef ke roop main samney aa sakta hay.
Refrence :- Sunday Express Magazine.
Written by Yaaram.

Comment