Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Beware!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Beware!

    Assalam-o-alaikum
    Mein aksar auqaat online education browse karti rehti hoon,yeh alag baat hai ke fees itni ziada hoti hain ke ....:D
    Isi doraan mein ne aik site daikhi:



    Aap hairaan hongay ke yeh university PhD ki degree just $549 mein de rahi hai aur saath mein certificate of excellence waghaira bhi offer kar rahi hai..........yunhi nahin de rahi baich rahi hai:lpop:.Mujhay dhachka laga ke UK based university previous experience ki bina per degree de rahi hai aur previous experience ko check karnay ka koi criteria bhi nahin hai.Bas paisay do...degree lo.Mujhay iski validity per 100% shuba tha so mein ne british council se raabta kiya.Wahan se jo jawab aya woh bari detail se tha jis mein kai web links bhi thay jo waqai authanticated hain distance learning ke liyay aur ai idaray ke baray mein bataya gaya jo Distance learning ke liyay licence jari karta hai.Kaha gaya ke pahlay aap kisi bhi university ki accredition check karain.Alfaz kuch yun hain:

    The Open and Distance Learning Quality Council (ODLQC) offers accreditation to open and distance learning providers in the UK. You can check whether an institution is accredited by ODLQC on their website:
    http://www.odlqc.org.uk/
    ..............
    Before starting a distance learning course you should:
    * Find out what award you will receive when you finish the course
    * Check whether the qualification awarded will be recognised in the country where you intend to work
    For advice on the recognition of British qualifications in your home country, please contact your local British Council:
    http://www.britishcouncil.org/home-contact-worldwide.htm
    Yeh to UK-based universities ke liyay hai aur yaqeenan doosray mumalik ke liyay bhi aisay idaray hongay.
    Yahan yeh sab share karnay ka maqsad yeh hai ke aap sab hoshiar rahain aur kahin aisa na ho ke kisi ja'alsaaz university key jhansay mein aa jain.
    Shukriya

    Mind Sciences

  • #2
    Re: Beware!

    hhhmmm...maira tu aisa koiprogramm hi nahin...lakin dosroon ko batanay kay kaam aaye ga....:)
    thanks naaa :phool:
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #3
      Re: Beware!

      Originally posted by *Rida* View Post
      hhhmmm...maira tu aisa koiprogramm hi nahin...lakin dosroon ko batanay kay kaam aaye ga....:)
      thanks naaa :phool:
      Isi liyay to isay shre kiya hai takay jis ko faida pohancahy acha hai.:rose
      Mind Sciences

      Comment

      Working...
      X