Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

KeePass - Password Saving Software

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • KeePass - Password Saving Software

    Assalamo allaikum

    Aksar hamarey paas itney sarey Passwords hotey hain keh unhein yaad rakhna mushkil ho jata hai....

    KeePass aik OpenSource Software jiska matlab hai keh yeh aap key liyey bilkul muft hai... Install kijiyey aur apney Passwords aik hi jaggah save kijiyey...
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: KeePass - Password Saving Software

    walaikum salam

    bohat achi sharing hai...Masood..thanku for sharing..:)




    Comment


    • #3
      Re: KeePass - Password Saving Software

      Zabardast :rose
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: KeePass - Password Saving Software

        Wa Alaikum Salam!

        Sab say pehlay to Masood bhaai software k liye shukrya

        doosri baat jo main arz karna chahta hoon ho sakta hay aapko buri lagay laiken maray dil main jo aai wo main nay kah dya

        abhi kuch hi din pehlay software section k rules update howay thay

        jin main aik rule tha k Roman urdu allowed nahi hogi..khalil bhaai nay is per ehtjaaj kya tha aur kaha tha k ye nahi hona chaheye.. un k aik do thread shayed isi waja say Move bhi kiay gaye thay

        janab arz ye hay k site admin honay k naatay aapko rules ki zyada paasdaari karni chaheye ya hamain bata dain k admin rules say baala tar hotay hain.. meray khyaal say ye baat theek nahi hay... rules sab k liye hotay hain

        Umeed hay meri baaat say aap mind nahi karain gay meray dil main jo tha main nay kah dya


        Please Visit My Blog

        http://aayasir.wordpress.com/

        Comment


        • #5
          Re: KeePass - Password Saving Software

          Inna acha software share kernay kay liay Masood aapka buhat buhat Shukria
          Khush rahiyay :rose
          Last edited by Capt.Abdur Rehman; 13 February 2008, 07:50.

          Comment


          • #6
            Re: KeePass - Password Saving Software

            Originally posted by A.A.Yasir View Post
            Wa Alaikum Salam!

            Sab say pehlay to Masood bhaai software k liye shukrya

            doosri baat jo main arz karna chahta hoon ho sakta hay aapko buri lagay laiken maray dil main jo aai wo main nay kah dya

            abhi kuch hi din pehlay software section k rules update howay thay

            jin main aik rule tha k Roman urdu allowed nahi hogi..khalil bhaai nay is per ehtjaaj kya tha aur kaha tha k ye nahi hona chaheye.. un k aik do thread shayed isi waja say Move bhi kiay gaye thay

            janab arz ye hay k site admin honay k naatay aapko rules ki zyada paasdaari karni chaheye ya hamain bata dain k admin rules say baala tar hotay hain.. meray khyaal say ye baat theek nahi hay... rules sab k liye hotay hain

            Umeed hay meri baaat say aap mind nahi karain gay meray dil main jo tha main nay kah dya
            janab A.A.Yasir bahi aap ny rulz ko shaid ghoor sy nai perha ha.us ma yeh nai kaha gaya ha k romen urdu allowd nai ha.yeh kaha gaya ha k Koshish k review Urdu rusam-ul-Khat ma likhin yeh nai kaha gaya k yeh must ha.r na kaha gaya ha k Roman urdu allowd nahi ha aap roman urdu ma likh sakty haan.lekin tarjeh urdu rusam-ul-Khat ko di ha.Aap Rulz ko pher sy perh kr iss ko samajh sakty haan.r Khalil bahi ny jab objection kia tha to un ko bhi yehi kaha gaya tha k mokamal English Allowd nahi ha Roman urdu Allowd ha.ma iss ko move zaroor karoon ga kion k iss ma ik baat out of rule ha woh yeh ka Ik ya do line k thread ko Move kerny ka rule mojood ha.:)

            Comment


            • #7
              Re: KeePass - Password Saving Software

              Nice sharing Masood bahi

              Comment


              • #8
                Re: KeePass - Password Saving Software

                Rai bhaai main nay abhi abhi check kya hay

                aap khud dekh lain

                Shiq number aik aur last shiq main likha hay

                "aap say iltimaas hay k urdu main zarur likhain"


                Please Visit My Blog

                http://aayasir.wordpress.com/

                Comment


                • #9
                  Re: KeePass - Password Saving Software

                  Originally posted by A.A.Yasir View Post
                  Rai bhaai main nay abhi abhi check kya hay

                  aap khud dekh lain

                  Shiq number aik aur last shiq main likha hay

                  "aap say iltimaas hay k urdu main zarur likhain"
                  :)

                  "Urdu mein zaroor likhein" aur "Urdu rasm-ul-khat mein zaroor likhein" dono baton mein farq hai - main ney Urdu mein hi likha hai beshak roman mein likha hai - aur jahan sey main ney likha hai woh mera office tha, yani main ney apney kaam doran waqt nikaal kar software check kiya aur issey recommend kiya.
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: KeePass - Password Saving Software

                    Nice sharing ALLAH app ko khush rakhay

                    Comment


                    • #11
                      Re: KeePass - Password Saving Software

                      Nyce!! Sharing
                      Coooooooolllllll

                      Comment


                      • #12
                        Re: KeePass - Password Saving Software

                        Its Fantasic ..Thank you so much 4 sharing with us
                        ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                        سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                        Comment

                        Working...
                        X