Asalam-o-alikum all,
Photoshop mein aik bohat acha feature hai jis ki madad say aap bohat baray baray kaam minton mein anjam de saktay hain aur woh hai Action ka tool. Aaj aap kay saath aik chota sa tutorial lay kar hazir hua hoon, jis say aap ko Action use karna aa jiay ga
Sab say pehlay aap Photoshop mein menu say Action palatte open kar lein, Window > Action , ab aap koi pictue open karain, phir New action button par click karain
Iss tutorial kay baad kisi bhi picture par apna watermark/copyright text sirf aik button par enter kar sakeingay.
Ab aap action ka naam CRight enter karain Function key mein F2 ya koi aur key seleckt karain aur record kay button par click karain
Aap dekhaingay keh action palatte mein recording start ho gie ho gi
Ab aap text tool select karain aur text likhain
Ab layer ki opacity ko 40% kar dein aur Stop button par click karain(Record button kay sath ho ga)
Koi new image open karain aur F2 key press karain, aap ka record kia hua action apply ho gia ho ga iss image par

Comment