Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

PhotoShop - Realistic Shadow

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • PhotoShop - Realistic Shadow

    1. Yeh Tutorial Aap Ko Bateyga Kai Kis Tarah Aik Tasweer Mai Asal Shadow Dal Saktai Hai .
    Sub Se Pehlay adobe Photoshop Open Karay Phir Neechay Digayi Tasweer Ko Lelay Ya Apni Koi Bhi Tasweer Lelai. Aur Phir Is Tasweer Ki Mode Ko Change Karde
    image -> Mode->rgb

    Attached Files


  • #2
    Step 2

    2. Ab Is Tasweer Mei Diye Gaye Aadmi Ko Select Kare. Aap Chahe Tu Masking Se Select Kare Ya Chahe Tu Magic Wand Se Jaisi Aap Ki Marzi. Mai Magic Wand Use Kar Raha Hoo. Ab Magic Wand Tool Lekar Jo Tasweer Mai White Area Hai Is Per Click Aur Phir ctrl+shit+i Ko Aik Saath Press Karngay Tu Tasweer Mei Jo Aadmi Hai Select Hojayega. Ab Aap Ke Paas Sirf Aadmi Select Kiya Howa Hai Theek..
    Attached Files

    Comment


    • #3
      Re: Realistic Shadow~~~

      3. Ab Aik New Layer Banaye (layer->new->layer) Ya
      (shift+ctrl+n) Ko Preess Karengay Ko Tu Aik Nayi Layer Ban Jayegi Per Jo Aadmi Select Hai Is Aisay Hi Rehnayde .ab Nayi Layer Ko Select Kare Ab Hum Gradiant Tool Pe Kaam Karengay. Ab Aap Sirf ?d? Press Karengay Tu Aap Ka Foreground Black Aur Background White Hojayega. Ab Gradiant Ko Lekar Aadmi Ke Feet Se Lekar Head Tak Lejaye
      Attached Files

      Comment


      • #4
        Re: Realistic Shadow~~~

        Lejana Ke Baad Aap Ki Taasweer Kuch Is Tarah Nazar Aayegi
        Attached Files

        Comment


        • #5
          Re: Realistic Shadow~~~

          4. Ab ctrl+d Press Karkay Selection Ko Hataday. Ab Hume Zameen Per Shadow Banana Hai Tu Is Keliye Jaye (edit->transform->distort) . Ab Uper Se Seedhay Side Aur Uper Se Ultay Side Ke Transform Box Ko Istamaal Karte Howe Is Ko Neechay Di Gayi Tasweer Ki Karay. Ab Aap Dekh Rahe Hoo Gay Kay Shadow Aadmi Ke Uper Aaraha Hai. Bilkul Aasaan Hai Phir Se Tasweer Wali Layer Mai Jaakar Wohi Magic Wand Lekar Aadmi Ko Select Karay Jab Aadmi Select Hojaye Tu Shadow Wali Layer Ko Select Karkay Delete Press Karengay Tu Shadow Aadmi Ke Peechay Chala Jayega....:)
          YEH HAI MERI FINAL TASWEER....
          Attached Files

          Comment


          • #6
            Re: Realistic Shadow~~~

            Realy kool effort thnx for sharing be blessed

            Comment


            • #7
              Re: Realistic Shadow~~~

              Originally posted by ForumAdmin
              Realy kool effort thnx for sharing be blessed
              Thanks forum admin :)

              Comment


              • #8
                Re: Realistic Shadow~~~

                Aha :rose thanks for sharing
                http://www.genericviagra2015shop.com/

                Comment


                • #9
                  Re: Realistic Shadow~~~

                  Shukriya Jums,:thmbup:
                  Akhri step kya aap dobara samjha dein gey
                  jab shawdo aadmi key uper aa jaye to wahan tak theek hai magar aagey nahi ho raha kuch :$
                  shukriya :-)
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: Realistic Shadow~~~

                    Originally posted by jums
                    4. Ab ctrl+d Press Karkay Selection Ko Hataday. Ab Hume Zameen Per Shadow Banana Hai Tu Is Keliye Jaye (edit->transform->distort) . Ab Uper Se Seedhay Side Aur Uper Se Ultay Side Ke Transform Box Ko Istamaal Karte Howe Is Ko Neechay Di Gayi Tasweer Ki Karay. Ab Aap Dekh Rahe Hoo Gay Kay Shadow Aadmi Ke Uper Aaraha Hai. Bilkul Aasaan Hai Phir Se Tasweer Wali Layer Mai Jaakar Wohi Magic Wand Lekar Aadmi Ko Select Karay Jab Aadmi Select Hojaye Tu Shadow Wali Layer Ko Select Karkay Delete Press Karengay Tu Shadow Aadmi Ke Peechay Chala Jayega....:)
                    YEH HAI MERI FINAL TASWEER....

                    Is step per aa ker kuch samajh nahi aaya, yahan aa ker yaan to aadmi ki tasweer selct hoti ahin yaan shadow...delete press kerne per shadow aadmi ke peechey to ky akahin nahi aata , please zara tafseel se bataiyeh..
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: Realistic Shadow~~~

                      Zabardast Tutorial Jums bhai jaan :)
                      Allah

                      Comment


                      • #12
                        Re: Realistic Shadow~~~

                        Originally posted by barg.e.gul
                        Shukriya Jums,:thmbup:
                        Akhri step kya aap dobara samjha dein gey
                        jab shawdo aadmi key uper aa jaye to wahan tak theek hai magar aagey nahi ho raha kuch :$
                        shukriya :-)
                        shadow uper aagaya theek ab phir se aadmi wali layer per jaakar aadmi ko wagic wand se select karay woh is tarah ke wagic wand ko white jaga per select karay phir select ->inverse per click karengay tu aadmi select hojaaye ga
                        Ab aap shadow wali layer ko select karay aur delete press karengay tu shadow peechay chalay jaaye ga.

                        Umeed hai ab aap ko samajh mei aagaya hoga? :)

                        Comment


                        • #13
                          Re: Realistic Shadow~~~

                          Originally posted by jums
                          shadow uper aagaya theek ab phir se aadmi wali layer per jaakar aadmi ko wagic wand se select karay woh is tarah ke wagic wand ko white jaga per select karay phir select ->inverse per click karengay tu aadmi select hojaaye ga
                          yahan tak theek hai
                          Originally posted by jums
                          Ab aap shadow wali layer ko select karay
                          ye bhi ker liya ..magar jab hum layer 2 mey ja ker shadow ko select kertey hein to pehli wali selection khatam ho jati hai (selection layer 1 ki)
                          Originally posted by jums
                          aur delete press karengay tu shadow peechay chalay jaaye ga.
                          delete press kerney sey shadow hi khatam ho jata hai peechey nahi jata
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #14
                            Re: Realistic Shadow~~~

                            Sala/\/\.

                            Wah Ji Bohat Achi Post Hain Aap Ke .

                            Attiq Abbasi

                            Comment


                            • #15
                              Re: PhotoShop - Realistic Shadow

                              nice one jumss

                              Comment

                              Working...
                              X