Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Batch Processing

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Batch Processing

    Aksar aesa hota hai keh aap ko koi khaas operation bohat sari pictures par karna hota hai jesay aap ko bohat sari pictures ko resize karna hai ya bohat sari pictures ko blur karna hai ya kuch bhi. Aesa operation jo aap bohat sari photos par aik sath karain ussay Batch Processing kehte hain. Aaein aaj aap ko yeh sikhata hoon.

    Sab se pehlay aap My Documents mein aik folder banien jis ka naam Images rakhein, iss folder mein aap woh sare images copy karain jis par aap ko koi opeation perform karna hai.

    Mein 5pictures par yeh operation perform kar raha hoon aap ziada par kar sakte hain



    Jesa keh aap dekh sakte hain keh yeh imges mukhtaliq sizes ke hain mein inhain 640 by 480 pixels ka karna chah raha hoon
    Last edited by pakgates; 30 August 2009, 06:30.



  • #2
    Re: Batch Processing

    Ab aap apne desktop par aik folder banein jis ka naam images rakh dein



    Comment


    • #3
      Re: Batch Processing

      Ab aap Photoshop open karain, uss mein koi bhi image jo aap ne My Documents wale folder men copy kia tha open karain

      Acitons window open kar lein (Window > Actions) aur New Action button par click karain



      Comment


      • #4
        Re: Batch Processing

        Action window open hogi iss mein aap action ka nam rakh dein Resizing aur Record button par click karain

        Last edited by pakgates; 30 August 2009, 06:38.


        Comment


        • #5
          Re: Batch Processing

          Aap Actions window mein dekhain to Record ka button enable ho gia ho ga



          Comment


          • #6
            Re: Batch Processing

            Ab aap upper menu se Image > Image size ko select karain ya keyboard se Ctrl + Atl + I press karain, iss mein aap width aur height 640 by 480 set karain aur haan Constrain Proportions wale check box ko hata diay ga



            Comment


            • #7
              Re: Batch Processing

              Ab aap File > Save As par click karain aur iss image ko Desktop wale folder images mein save kar dein



              Comment


              • #8
                Re: Batch Processing

                Ab Action ko stop kar dein



                Comment


                • #9
                  Re: Batch Processing

                  Note: Acha ab aesa karain keh jo desktop par folder hai uss mein se image ko delete kar dein, kyon keh jab aap Batch processing ko shoro kareingay to masla ho ga


                  Ab aap File > Automate > Batch ko select karain

                  Yahan par Action mein Resizing ko select karain

                  Source mein aap My Documents wala folder select karain

                  Destination mein aap desktop par images wala folder select karain

                  aur file naming mein aap serial select kar lein ya koi bhi aur option, uss ke sath extension select karain



                  Comment


                  • #10
                    Re: Batch Processing

                    Jab aap Ok par click kareingay to Photoshop apna jadu shoro karay ga, aur palak jhapapte aap ke sare images 640 by 480 size ke ho jiange, haan na jadu




                    Mein umeed karta hoon keh aap doston ko iss tutorial se kafi kuch sekhne ko milay ga, so enjoy the magic of Photoshop with Batch Processing


                    Comment

                    Working...
                    X