Asalaam-o-alikum friends,
Jesa keh aap sab doston ko ilm hay keh August ka maheena shoroo ho chika hay aur yeh humaray liay bohat hi muhataram maheena hay, issi tawasud say mein aap say aik tutorial share karnay jaa raha hoon.
Iss tutorial ki madad say aap aik simple flag ko waving flag bana saktay hain
Sab say pehlay aap flag ko PS mein open karain, phir aap upper menu mein Filter > Distort > Wave mein jian aur yeh settings apply karain
Ab aik new layer create karain Layer > New > Layer mein jaa kar
Ab brush tool select karain aur Square brush select karain kisi bhi size ka
Ab 4 straight lines draw karain
Aik aur dafa phir Filter > Distort > Wave mein yeh settings apply karain
Ab layer ki window mein say Soft Light mode select karain
Aur aap ka final image kuch iss tarah ki ho ga

Comment