Asalaam-o-alikum,
Yeh aik bohat hi aasan tutorial hay jis ki madad say aap smoke ya steam effect create kar saktay hain.
Yeh aik bohat hi aasan tutorial hay jis ki madad say aap smoke ya steam effect create kar saktay hain.
Mein yeh image use kar raha hoon
Ab aap Rounded Rectangular tool select karain
Aur iss ki madad say 3 lines draw karain kuch iss tarah ki
Ab aap Background aur Layer 1 ko hide kar dein, eye par click karain too layer hide ho giay gi
Ab keyboard say Ctrl + Shift + E press karain(yeh merging of layers kehlata hay, iss say aap bohat sari layers ko merge kar saktay hain)
Ab aik Soft brush select karain
Aur kuch strokes lagain, lines kay aas paas
Ab aap Smudge tool select karain(blur tool par click karain too nazar aa giay ga)
Iss tool ki madad say aap kuch iss tarah ka image kar dein
Aur last step mein aap layer ki trasparency ko kam kar dein too smoke aur asli lagay gi
Comment