Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Black&White picture ko coloured banain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Black&White picture ko coloured banain

    Asalaamolikum doston,

    Aaj aap ki khidmat mein aik chota sa tutorial lay kar hazir hua hoon jis ki madad say aap koi bhi Black&White ko coloured bana saktay hain. Mein yeh image use kar raha hoon, aap bhi yeh use kar saktay hain, yeh aap kay photoshop kay folder mein aik folder ho ga Samples uss mein Old photo kay naam say ho ga




  • #2
    Re: Black&White picture ko coloured banain

    Acha ji sab say pehlay aap ko yeh ko spots hain faltoo inn ko clear karna hay aur woh hoongay Healing Brush Tool ki madad say to pehlay aap issay select karain


    Comment


    • #3
      Re: Black&White picture ko coloured banain

      healing brush tool kuch iss tarah ka hota hay
      Attached Files


      Comment


      • #4
        Re: Black&White picture ko coloured banain

        ab aap image kay background mein kaheen bhi jaain keyboard say Atl ki key press karain aur left click karain(click wahaan karyay ga jo spot kay kareeb area ho), ab aap iss spot par jian jahaan par spot hay uss spot par left click karain to woh spot ghayab ho giay ga
        Attached Files


        Comment


        • #5
          Re: Black&White picture ko coloured banain

          Jab aap saray spots khatam kay leingay to aap ki image kuch iss tarah ho giay gi


          Ab aap Edit in Quick Mask mode mein jian yeh aap kay tool box kay last mein ho ga kuch iss tarah ka
          Attached Files


          Comment


          • #6
            Re: Black&White picture ko coloured banain

            Ab aap Brush tool select karain aur unn sahab hay face par strokes lagana shooro kar dein, to kuch iss tarah ka effect aa giay ga


            iss kay baad aap wapas Edit in Qucik mask mode mein aa jian ya Q press karain keyboard say(pehlay wala icon)
            Attached Files


            Comment


            • #7
              Re: Black&White picture ko coloured banain

              Ab aap Select > Inverse mein jian upper menu say ya phir Ctrl + Shift + I press karain keyboard say. Upper say Image > Adjustments > Hue/ Saturation select karain aur colorize par click karain, wahhh yeh kia PS nay to kamaal kar dia, aap ki image coloured ho gie



              Comment


              • #8
                Re: Black&White picture ko coloured banain

                Issi tarah aap background ko Quick Mask mode mein edit kar keh yehi process karain, aur cloths kay saath bhi yehi karain, aur aakhaair mein aap ki image kuch iss tarah ki ho giay gi


                Note: Agar koi bhi masla darpesh ho aap pooch saktay hain


                Comment


                • #9
                  Re: Black&White picture ko coloured banain

                  buht acha tut hai.....lakin thora difficult lag raha hai....try karain gay :)
                  For New Designers
                  وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                  Comment


                  • #10
                    Re: Black&White picture ko coloured banain

                    comment karnay ka shukriya ji, koi baat nahi jahaan bhi masla ho pooch liay ga


                    Comment


                    • #11
                      Re: Black&White picture ko coloured banain

                      :thmbup:
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      Working...
                      X