Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Start Web Designing In Photoshop (Class 2)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Start Web Designing In Photoshop (Class 2)

    Dear Friends

    Asslam Alaikum

    Thanks for all about the comments.
    Here is next class So be ready for it.

    open your saved file.

    Hum nay apnay previous lecture main aik border create kia tha. Us ka size hum nay 777 * 420 rakha tha. who is liyee tha kay hamri web site jab koi bhi 800 * 600 ki screen resolution main open karay to us main koi bhi scrollbar show na ho. yehi aik professional ki nishani hai.

    Ab agay aap ko yeh pata hona chahyee kay aap nay jo web site tayaar karni hai us main aap nay kia kia banana hai. aik normal web site main yeh sab objects hotay hain. (Pic 1)
    1. Topbar
    2. Web Menu (formal and compulsary)
    3. Products or services menu (Optional)
    4. body
    5. base bar or bottom bar
    yes sab kuch sirf or static web site kay liyee hai. lakin jab dynamic web site par kaam kartay hain to us main kuch or objects bhi istamal hotay hain. jaisa kay search bar. registration form. login fields. news and updates etc etc.

    ab yahan par aap ko yeh decide karna hai kay aap nay web page kis kaam kay liyee banana hai. jaisa kay personal web page. ya business web page. ya phir pegham.com ki tarah koi blog web site.

    Us kay hisab say aap ko objects or material ikatha karna hoga phir hi aap web site shuru kar saktay hain. agar kisi bhi khayal kay baghair aap nay web site bana shuru ki to phir us ka kya hoga yeh to koi bhi nahain jaanta. :khi:

    aaj hum apni tobar ko complete karaingay. us kay liyee sab say pehlay aap loog koi bhi aik logo select kar lain ya phir khud say hi koi logo bana lain. or us ko web site kay head par laga dain.

    main nay apni topbar ki height 125 px rakhi hai or width 775 px hai. kyoon kay hum nay 2 px ka border use kia hai. aik px left or aik px right. so ab hamaray paas sirf 775 px available hain.

    Ab aap ko head banana sikhatay hain.

    Headr main sab say pehlay logo aata hai. us kay baad web ya company ka naam. or us kay neechay phir koi bhi slogan aata hai. Agar aap pegham.com ka header dekhain to sab say pehlay naam aaraha hai. is ka matlab yeh hai kay abhi pegham ka koi bhi logo nahain bana. or us kay neechay "for urdu lovers" likha howa hai. yeh pegham.com ka slogan hai.
    Umeed hai aap samajh gayee hongay.

    Sab say pehli baat to yeh hai kay aap ki color scheme achi honi chahyee warna aap ki web site main koi attraction nahain hogi. us kay liyee aap web sites ko visit kia karain. jis web ki color scheme achi lagay aap us ko use kar saktay hain.

    Main is web kay liyee green or blue color scheme use karoonga.

    1) Apnay header ko selection tool ki madad say select karain. aap kay pass layer panel main aik option available hoti hai jo kay aap pic 2 main deikh saktay hain. us ko click karnay ka faida yeh hai kay aap sirf or sirf apnay selected object main color fill kar saktay hain. who us object say bahir nahain jayeega. pehlay aap apnay object ki layer ko select karain. phir us icon par click karain. or us kay baad aap ctrl + del ya alt + del ki shortkey use karain to aap deikhain gay kay us main sirf wahan tak color fill howa hai jahan tak pehlay say color mojood tha. us say aik pixel bhi bahir nahain gaya.

    Header kay liyee main ziyada tar gradient color use karta hoon. us ka faida yeh hai kay attraction paida ho jaati hai. Gradient ka matlab hai kay aap do ya do say ziyada color ko aik doosray main merge kar kay use karain. main nay light blue or dard blue ko use kia hai to aap deikh saktay hain kay yeh ziyada acha lag raha hai single color say. (Pic 3)
    Abhi main nay Linear gradient use kia hai baki sab kay baray main aap ko INSHALLAH next class main bataoonga.


    Class bohat lambi hoti jaarahi hai kyoon kay main koi bhi point miss nahian karna chahta. is liyee aap koi bhi class miss na kijiee ga. main aap ko bohat si tips bhi doonga or tricks bhi bataoonga.

    So wait for the next class. thanks.

    Please jab bhi aap is class ko visit karain. Comments zaroor paas karain. us say hi mujhay pata chalay ga kay jo main karwa raha hoon who theek hai kay nahian. chahyee aap ko acha lagay ya bura. aap kay comments ki waja say hi yeh class continue hogi.
    Attached Files

  • #2
    Re: Start Web Designing In Photoshop (Class 2)

    nice thanks for shairing...
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • #3
      Re: Start Web Designing In Photoshop (Class 2)

      Nice Sharing Brother Likun Agar Urdu Main Share Kartay To Kiya Hi Baat Thi. (good Work)

      Comment


      • #4
        Re: Start Web Designing In Photoshop (Class 2)

        very nice
        laikin aik baat kee samaj nahi..ayei ager hum aik file 800*600 banay gee to wo sara page aik hee image show nai kary ga?

        Comment


        • #5
          Re: Start Web Designing In Photoshop (Class 2)

          Bohat Acha hia .............
          magar ye koi asan tareeqa nahin hia
          thanks for shairing...............

          Comment


          • #6
            Re: Start Web Designing In Photoshop (Class 2)

            Zabardast Hai................

            Comment


            • #7
              Re: Start Web Designing In Photoshop (Class 2)

              zabardast i think its easy
              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

              Comment

              Working...
              X