Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

13a. Simple Buttons in Flash

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • 13a. Simple Buttons in Flash

    Asalam-o-alikum all,

    Flash mein aik bohat hi eham tool hai button, iss ki madad say aap apni movie ko control kar saktay hain, aur buttons ko control karnay kay liay aap ko Action-scripting(yeh aik tarah ki programming language hai jis say aap animation bana saktay hain aur aap ki movie ka size bhi bara nahi hota iss ki wajeh say) ki zarorat hoti hai, filhaal aap ko itni sikha raha hoon jis say aap button ko control kar sakein, phir aaianda inshALLAH iss par bhi tafseeli baat ho jiay gi.



  • #2
    Re: 13a. Simple Buttons in Flash

    Sab say pehlay aap Oval tool select karain aur uss ki madad say aik circle bana lein



    Ab aap arrow tool select karain, ball par double click karain, aur Modify > Convert to symbol mein jian, yahan say button ko select karain aur ok kar dein





    Comment


    • #3
      Re: 13a. Simple Buttons in Flash


      Ab aap Add new layer button par click karain aur phir aap Rectangle tool ki madad say aik square bana lein new layer par



      Ab aap frame-by-frame(post#5) animation kar lein ya motion tween kar keh koi choti si animation bana lein



      Last edited by pakgates; 28 March 2009, 13:11.


      Comment


      • #4
        Re: 13a. Simple Buttons in Flash


        Ab aap Layer1 kay pehlay frame par click karain aur Window>Action mein jian




        Comment


        • #5
          Re: 13a. Simple Buttons in Flash



          Aik menu open ho ga uss mein aap Add new item button ko click karain



          Ab aap Global functions > Timeline control > Stop button par click karain



          Iss say aap nay jo animation banaie hai woh play nahi ho ji jab aap movie run kareingay to





          Comment


          • #6
            Re: 13a. Simple Buttons in Flash




            Ab aap button par click karain aur Window>Action mein jian



            Yahan par aap phir say Global functions > Timeline control > Play par click karain



            yeh add ho jia ho ga



            Ab aap Ctrl + Enter press karain to aap ki movie run ho jiay gi, aap button ko click karain to aap ki animation start ho jiay gi



            Comment


            • #7
              Re: 13a. Simple Buttons in Flash

              Aap ki aasani kay liay jis file par mein kaam kar raha tha, woh bhi sath mein attach kar raha hoon, taqe aap ko koi problem ho to uss say bhi dekh lein
              Attached Files


              Comment

              Working...
              X