Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

12. Symbols Vs Movie Clips

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • 12. Symbols Vs Movie Clips

    Asalam-o-alikum all,

    Flash mein jab bhi aap kisi object to convert karengay to aap ko 3options miltay hain, ussay Button bana dein, MovieClip bana dein ya phir Graphic bana dein, button kay baray mein baad mein baat ho ji pehlay aap ko aik eham farq say aagah karta chalon.

    MovieClip jo hota hai woh hamesha loop mein hi kaam karay ga, matlab agar aap nay aik object to MovieClip mein convert kar dia to woh aik baar nahi chalay ga balkay chalta rahay ga loop mein. Aur graphic sirf aik baar work karay ga.

    Jab bhi aap timeline par koi animation kareingay to aap ka woh object jis ko aap nay Graphic mein convert kia hua hai woh bhi sath sath run ho ga, lekin MovieClip mein aesa nahi hota. MovieClip sirf apni animation say kaam karta hai.

    MovieClip apnay framerate(speed) par run hota hai, aap ussay ActionScripting(flash mein jo programming kartay hain ussay AScripting kehtay hain) say control kar saktay hain usska timeline say koi taluq nahi hota, jabkeh Graphic element timeline kay sath animate hota hai.

    Jab bhi aap ko koi aesa object chahiyay ho jis mein koi animation na ho ya sirf aik baar ho to aap ussay as a Graphic bana dein to behtar rahay ga.

    Note: Iss mein aksar aesay points hongay jo aap ko abhi samajh naa aaien lekein aaianda asbaq mein aap ko woh bhi samajh aa jiangay, abhi sirf aap inhay yaad kar lein



  • #2
    Re: 12. Symbols Vs Movie Clips

    nice sharing
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: 12. Symbols Vs Movie Clips

      Very Nice

      Comment


      • #4
        Re: 12. Symbols Vs Movie Clips

        nice man

        Comment

        Working...
        X