Flash ka aik bohat hi zabardast tool jis ki madad say aap kafi achay effects create kar saktay hain, jesa keh naam say zahir hai keh mask woh cheez hai jis say picture kay kuch hissay nazar aaiangay aur kuch cover ho jiangay.
Aap koi bhi image flash mein Import( File> Import > Import to stage ya phir Ctrl + R press karain) kar lein.
Aik new layer create karain aur uss par koi sa bhi shape bana lein
New layer par right-click karain aur Mask select karain
Yeh aap ki masking ho gie, jesa keh aap dekh saktay hain keh aap ki layer say pehlay masking ka icon show ho raha hai, aur aap ki layer lock bhi ho gie hai, aap ka image mask ho gia aur sirf woh area visible hai jis par aap nay shape banaya tha
Layer ko unlock karain to aap ko dobara image nazar aanay lagay ga
Comment