Onion skin Flash ka aik bohat eham tool jis ki madad say aap kafi accurate kaamn kar saktay hain, iss say aap apni animation ko trace kar saktay hain aur uss say kaam kartay hain. Yahan par aik choti si animation ki hai meinnay, aur iss mein Onion Skin kay options ko show kia hai

Onion Skin button ko click karain to aap ko kuch andaza ho gia, keh mien kia keh raha hoon, aap ko apni animation kay frames thoray tranparent nazar aanay laginegay

Iss button say aap ko thora aur light preview nazar aaiay ga

Iss ki madad say aap select kar saktay hain keh aap ko kitnay steps dekhnay hain, 2, 5 ya phir saray

Aur yeh jo second last option hai, iss say aap multiple frames ko edit kar saktay hain, iss ko select karain move tool select karain aur apnay saray objects ko select karain, ab aap jo bhi operation perform karain, rotate, scale woh sab objects par apply ho jiay ga

Comment