Ab Flash kay aik zarori baab ki taraf aap ki tawageh chahonga. Iss kay liay aap sab say pehlay line tool ko slelect karain iss ki madad say apnay stage par aik triangle banaien
Ab aap triangle ko select karain Edit > Copy karain aur Edit paste karain, ab aap arrow keys ki madad say triangle ko dosri jageh rakh dein
Issi tarah aik aur copy banein aur ussay bhi put kar dein
Ab yahan par aap ko kuch batein say aagah karna chahonga, sab say pehlay aap jesa keh dekh saktay hain keh yahan par 3objects moujod hain, to Flash inn ko 3objects hi samajh raha hai, halakeh aap nay aik hi object ki 3copies ki hain, iss say kia ho ga, iss say aap ki Flash file ka size barh jiay ga aur woh load honay mein time lay gi, to Flash ki animation wohi achi hoti hai jo jaldi load ho jiay aur iss ka file size bhi kam ho. Issi liay hum Symbols use kartay hain, iss say aap ka file size kam rehta hai aur aap achi animation bana saktay hain. Acha ab aap in mein say 2objects ko delete kar dein.
Aik object ko select karain aur F8 ki key press karain, yahan part aap naam de dein kuch bhi, abhi filhal aao aur kuch na karain sirf graphic select karain aur ok kar dein
Comment