Asalam-o-alikum Dear friends,
Sab say pehlay thora sa Flash ka intro deta chalon. 1994 say pehlay sirf Static sites ka tasawur tha, matlab aesi sites jin mein sirf text aur pictures hoon, inhain simple HTML sites bhi kaha jata tha. 1994 mein Flash introduce kia gia jis mein animation nay logon ko kafi mutasir kia. Flash 4 sab say pehla version tha Flash ka, woh sites jin mein koi animation hoti hai Flash ki ya phir GIF animated images inhain Dynamic sites kehtay hain. Too Flash 4 mein animation introduce ki gie, inn files ka size kafi bara hota tha aur inn ko khulnay mein time lagnay laga, to Macromedia jis nay Flash introducde kia tha, Flash 5 introduce kia jis mein Action Script introduce kia gia, yani programming kay zariyay animation karwana, yeh tareqa bohat maqbol hua, to tab say lay kar ab taq yeh Flash kay kar version mein include kar dia gia.
Flash mein 2 qisam kay log kaam kartay hain Flash Designer aur Flash Developer, Flash Designer animation banata hai, simple tareqay sa, baghair Action Scripting, aur Flash Developer Action Scripting kay zariyay animation create karta hai.
Aajkal donon ki jobs aati hain, mera ziada dehan Designing ki taraf ho ga, Action Scripting mein nay 6months pehlay ki thi, jo keh ab bhool chuka hoon. kyon keh agar aap Action Scripting regular nahi karain to bhool jatay hain, Action Scripting bhi aap ko sikha doonga thori si, lekin ziada tar mein aap ko Designing sikaonga, so read, learn, enjoy and don't forget that your feedback is very important, so please give me your comments.
Wasay to Macromedia nay Flash start kia tha lekin ab Adobe jis ka Photoshop hai, inhon nay Macromedia ko khared lia hay, aur ab Macromedia ki products Abode kay naam say market mein moujood hain.
Mein Flash 8 par kaam karoonga, lekin Flash MX (6) bhi agar aap kay paas ho to woh bhi inhi option/featues par mustamil hai

Comment