Chapter 01: Data Communication sey aik ta'aruf
Data Communication aaj kal key modern computer system ki buniyad hai, jiski yeh demand hai keh data aik jagah sey doosri jagah muntaqil ho sakey. Zel mein di gaii misalein in mein chand aik hain:
Data Communication aaj kal key modern computer system ki buniyad hai, jiski yeh demand hai keh data aik jagah sey doosri jagah muntaqil ho sakey. Zel mein di gaii misalein in mein chand aik hain:
- Aik central computer jis per computer programs installed hon, aur jis key saath terminals jurrey hon. Yeh terminal aik bohat wasee elaqey mein bhi ho saktey hain. Yahan per data terminals aur central computer key darmiyaan harkat karta hai (Centrilized Data System)
- Mukhtalif Network key components jo net cables key zariyry aik doosrey sey jurrey hon
- Clien/Server-Solution jis mein data aik ya ziyada server per hota hai aur client yani users key pc sey us sey kaam letey hain - yeh bhi network key zariyry mumkin hai.
- Distributed Systems: aik ya ziyada computer jin per resources hon, jab aik user aik program shuru karta hai, to distributed systems khud manage kartey hain keh kis computer/server per yeh chaley ga
- Distributed Databases: computers/servers jin per database resourced mojood hon aur yeh faisla keh kis system sey information hasil ki jaey is per depend karta hai keh user ki input kya hai, agar database ya database ka aik makhsoos section hai to wohi harkat mein aata hai
Comment