Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

If PC Goes Down

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • If PC Goes Down

    Assalamo allaikum

    Yeh thread siraf aik informative thread hai keh what I have experienced...

    Mera PC kuchh arsey sey bohat garr barr kar raha tha. Bar bar crash ho jata - Blue screen of Death - aa jati. And there were alot of different messages...

    Main ney virus check kiyey, HD change ki, RAM change ki magar kuchh na huwa... I had always a doubt about the MOTHERBOARD.

    Main ney motherboard change kiya to problem khatam ho gaee... So in future if you see a problem where your PC get started in regular intervals and there doesn't come any satisfactory error message - then try to change the motherboard :)

    Masood
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: If PC Goes Down

    Walekumsalam,
    Meray Pc kay saath bhi kuch aisa hee masala tha system chaltay chaltay struck ho jaata tha or reset kerna perrta tha reset kernay per THERMAL EVENT error aata tha main ay bhi RAM, HHD. Powers Suply even casing tak change ki lakin koi farq nahi parra phir main nay Motherboard change kya --- lakin Motherboard change kernay kay baad bhi system held ho jaata hai or reset kernay per start nahi hota balkay switch off kerna parrta hai or phir bhi uski marzi hoti hai tu chalta hai warna Monitor power saving window show kerta hai or HHD kaam nahi kerti Fan waigra chall raha hota hai . CD ROM ki light blink ho ho ker band ho jaati hai lakin monitor per power saving ki window hee aati hai--- XP ki nahi... :mm:
    kya karon????????

    Comment

    • #3
      Re: If PC Goes Down

      agar main nay wrong thread mein post kiya tu sorry

      Comment

      • #4
        Re: If PC Goes Down

        waite kerian

        Comment

        • #5
          Re: If PC Goes Down

          Originally posted by LosT SouL
          Walekumsalam,
          Meray Pc kay saath bhi kuch aisa hee masala tha system chaltay chaltay struck ho jaata tha or reset kerna perrta tha reset kernay per THERMAL EVENT error aata tha main ay bhi RAM, HHD. Powers Suply even casing tak change ki lakin koi farq nahi parra phir main nay Motherboard change kya --- lakin Motherboard change kernay kay baad bhi system held ho jaata hai or reset kernay per start nahi hota balkay switch off kerna parrta hai or phir bhi uski marzi hoti hai tu chalta hai warna Monitor power saving window show kerta hai or HHD kaam nahi kerti Fan waigra chall raha hota hai . CD ROM ki light blink ho ho ker band ho jaati hai lakin monitor per power saving ki window hee aati hai--- XP ki nahi... :mm:
          kya karon????????
          Yeh merey nazdeek motherboard ka masla nahin. Is mein kuchh factor hain... kya aap ney antivirus use kiya hai? Baaz oqat antivirus bhi computer ko stuck kar detey hain. Yeh bhi mumkin hai koi hardware virus hai. Re'installation kijiye aur complet formation kijiye HD ki. Phir tmaam tar drivers latest install kijye... check kijiye koi loose cable to nahin? Yeh bhi check kijiye keh aap key computer ki BIOS mein agar ko caching, shadowing ka option hai to ussey disable kar key dekhiye ....
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: If PC Goes Down

            Originally posted by Masood

            javaab denay kay liye shokriya.
            ji main McAfee Antivirus use kerti hoon. C drive tu kai baar reformat ki lakin phir bhi prob rehta tha tu kisi nay kaha kay HDD mein virus ho ga sab drives khatum ker kay reformat kero.waisa bhi kiya lakin koi farq nahi parra. phir prossessor bhi change ker kay dekha lakin na G issay na theek hona hai na ye hova... ab sab kuch wohi hai koi setting change nahi ki lakin motherboard sister kay PC ka use ker rahi hoon ab theek chal raha hai.
            Main 2 baar motherboard change ker chuki hoon lakin issay shayad paraai kher ziyada passand hai :pagal:
            meri saari saving iss per kharch ho jaati hai
            ab kya 3rd time motherboard change kerna parray ga?????

            Comment

            • #7
              Re: If PC Goes Down

              mera mashwara many to aap aisa kerian k RAM utar ker os k kinary saaf ker k dobara lagay..inshaALLAH afaka huga

              Comment

              • #8
                Re: If PC Goes Down

                Originally posted by Khalil
                mera mashwara many to aap aisa kerian k RAM utar ker os k kinary saaf ker k dobara lagay..inshaALLAH afaka huga
                RAM bhi change ki hai or agar RAM ka hee masala hota tu ab sis kay PC ka Motherboard jo use ker rahi hoon us kay saath bhi tu vohi masalaa hota na.:hhh:

                Comment

                • #9
                  Re: If PC Goes Down

                  Originally posted by LosT SouL
                  javaab denay kay liye shokriya.
                  ji main McAfee Antivirus use kerti hoon. C drive tu kai baar reformat ki lakin phir bhi prob rehta tha tu kisi nay kaha kay HDD mein virus ho ga sab drives khatum ker kay reformat kero.waisa bhi kiya lakin koi farq nahi parra. phir prossessor bhi change ker kay dekha lakin na G issay na theek hona hai na ye hova... ab sab kuch wohi hai koi setting change nahi ki lakin motherboard sister kay PC ka use ker rahi hoon ab theek chal raha hai.
                  Main 2 baar motherboard change ker chuki hoon lakin issay shayad paraai kher ziyada passand hai :pagal:
                  meri saari saving iss per kharch ho jaati hai
                  ab kya 3rd time motherboard change kerna parray ga?????
                  Nahin!
                  Aap sab sey pehley apney Motherboard ki kitab pakriyey aur ussey parhiye. Agar aap ka motherboard SHADOWING, CACHING ki sahoolat deta hai aur woh enabled hain to inhein disable kar key dekhein...

                  Kya aap ko yaqin hai keh aap key PC sey jurrey huwey sarey hardwares key drivers theek theek install hain?
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: If PC Goes Down

                    Originally posted by Masood
                    Nahin!
                    Aap sab sey pehley apney Motherboard ki kitab pakriyey aur ussey parhiye. Agar aap ka motherboard SHADOWING, CACHING ki sahoolat deta hai aur woh enabled hain to inhein disable kar key dekhein...

                    Kya aap ko yaqin hai keh aap key PC sey jurrey huwey sarey hardwares key drivers theek theek install hain?
                    Meray paas Mother Board ki kitaab nahi hai :pagal:

                    ab dekhein na sister kay PC ka motherboard use ker rahi hoon baqi her cheez matlab RAM, HDD, CD ROM, Power Supply, Prossessor, windows sab wahi hai lakin system theek chall raha hai,:tauba
                    compatibly ka masala tu nahi hai na?
                    or agar hai tu ye kaisay dor ho ga???? :mm:

                    mujhay tu pagal ker diya hai iss nay
                    Last edited by LosT SouL; 29 April 2006, 12:41.

                    Comment

                    Working...
                    X