PC as a Fax Machine
- windows Xp kiun k fax receive aur send karne ki saholat sirf XP mai hai
- Modem
- windows xp ki CD
aap k pass aik window khul jaye gi us pe aap ne Set up Faxing pe click karna hai
aap k pass aik window khul jaye gi us pe aap ne Set up Faxing pe click karna hai
jaise hi aap us ko click karien ge aap k pas kuch is taran ki window open hogi.
Phir aik aur window khul jaye gi is bar aap ko windows Xp CD ki zaroorat hogi OK kar k yahan windows CD ka path dein aur OK kar dein.
Aab aap ka fax program install hona shoro hojaye ga jab yeh takreban adha mukamal hojaye ga tab aap se window cd ka kaha jaye ga us ko OK kar dein fir aik aur window khule gi us ko b aap ne OK kar dena hai yahan pe humari installation khatam hoti hai.
Aab aap ne dobara se start pe click kar k Printers and Fax pe click karna hai aap k samne aik window khul jaye gi is window mai aik FAX nami icon hoga us ko click karne se aap k pas aik wizard open hoga jis ki aap ko settings karni hogi
Next pe click karein.
Agle setup mai aap ne apna modem select karna hai aur Enable receive ko check kar dena hai aur Next kar dena hai
Aik bar fir Next kardena hai
Yahan aap ko woh path dena hai jis mai aap fax receive karein ge aur save karein ge. Aur Finish pe click kar dein
Ab aik wizard start hojaye ga is ko Next kardena hai
Yahan aap ne us bande ka naam, country aur fax number likhna hai aur baki ki settings ko aise hi rehne dena hai aur Next pe click karna hai.
Yahan se aap apni marzi se template select kar sakte hain subject mai fax ka subject aur note mai apna msg likh k Next kar dena hai
Agli window mai aap fax send karne ka time wagera set kar sakte hain us k baad Next karna hai
Akhri window pe aap ne Finish pe click karna hai yahan se aap apne Fax ka Preview b dekh sakte hain
Next window aap ko bataye gi k Fax matloba shaks ko mosul horaha hai
Ji tu yeh tha humara tutorial kafi lamba tha :p hope aap sub ko pasand aya hoga is se aap pori duniya mai free fax send aur receive kar sakte hain :) haina maze di gal;)
Comment