Asalam o alikum doston,
Bill Gates ne beshaq windows banaie hai lekin kuch features aesay bhi hain jin ka shayad Bill Gates ko bhi pata naa ho, to aaein aaj aap ko aik aesi trick batatay hain jis se aap files ko image mein hide kar sakte hain.
Aik file ban jiay ji sample.jpg ki image file, iss ko open karain to simple image file lagay gi, lekin ab aaiay ga maza, aap file par right-click karain aur Open with WinRAR karain phir dekhain kia hota hai
Note: Yeh thori mushil si tip hai iss liay mein aik video bhi attach kar raha hoon, yeh tip parhain aur video bhi dekhain, phir bhi samajh naa aaiay to poch liay ga, hum kis liay hain jee
Bill Gates ne beshaq windows banaie hai lekin kuch features aesay bhi hain jin ka shayad Bill Gates ko bhi pata naa ho, to aaein aaj aap ko aik aesi trick batatay hain jis se aap files ko image mein hide kar sakte hain.
- To pehlay aap apni C drive mein aik folder banaein (C drive mein jaa kar right-click karain aur New > folder par click karain), ab aap iss folder ko rename karain mein jo eg use kar raha hoon uss mein, mein issay Hidden ka naam de raha hoon.
- Ab aap koi bhi image file C:\Hidden walay folder mein copy karain
- Ab aap kuch files ya image ko .rar kar dein, yaad rahay aap images ya files ko .rar karain .zip nahi. Iss ke liay aap ke paas WinRAR ka program hona chahiyay.
- Ab aap iss rar file ka naam Labs rakh dein
- Jo image meinne copy kia tha uss ka naam mylogo1.jpg tha
- Ab aap Start > Run > cmd likh kar enter karain
- Command prompt open ho jiay ga ab aap ko C:\Hidden folder mein jana hai, aap cd.. enter karain to aap root drive(C mein aa saktay hain, jab aap root drive mein aa jian to aap C:\Hidden likh kar enter karain
- Ab aap ki Command Prompt mein location aa rahi ho ji C:\Hidden
- Ab aap yeh type kar keh enter karain
Code:
copy /b labs.rar + mylogo1.jpg sample.jpg
Note: Yeh thori mushil si tip hai iss liay mein aik video bhi attach kar raha hoon, yeh tip parhain aur video bhi dekhain, phir bhi samajh naa aaiay to poch liay ga, hum kis liay hain jee
Comment