Assalam-o-Alaikum,
Ap jub koi CD ya USB Flash Drive ya koi bhi Card computer main lagate hain tu computer in ko Automatically read kar ke run karne ki koshish karta hai. Is se ek tu yeh khatra hota hai ke kahin koi virus run na ho jaye aur computer infected ho jaye aur aksar hum ko automatically run ki zarorat nahi hoti. Is se ap ka time bhi zaya hota hai.
Is ko rokne ka ek asan tariqa hai. Start per click karen. Run per click karen. Aur yahan par likhe GPEDIT.MSC aur Enter press kar den. Aap ke samne ek new window open ho jaye gi. Ab ap is ko follow karen.
1. Computer Configuration
2. Administrative Templates (double click karen is par)
3. System
4. Ab right side per dekhen kuch Configurations nazar aayen gi. Ap Turn Off Autoplay ko double click kar den. Ek new window open ho jaye gi. Is main 3 options hon ge. Ap Enabled ko select karen aur nechay diye gaye drop down list main se All Drives ko select kar ke OK kar den.
Ab isi tarah User Configuration main ja kar step 3 aur 4 ko repeat kar den.
Ap ko computer restart karne ki zarorat nahi hai. Ap ke computer ka Autoplay tamam drives ke lye off ho gaya hai.
Mazeed madad ke lye pictures bhi attached hain ap in se bhi istefada kar sakte hain.
Duaon main yad rakhye ga.

Comment