Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Windows 95/98 -start picture

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Windows 95/98 -start picture

    Assalamo allaikum

    Agar aap aaj bhi Windows 95/98 istimaal kartey hain aur Windows ki default tasweer dekh dekh ker tang aa gaey hain to issey change karney ka tareeqa yeh hai:

    Apni koi bhi pyari si picture lijiye (main ney pyari picturea kaha hai :lol)

    is ka size reduce kijiye aur issey 320x400 pixels 256 colors mein .bmp-format mein save kijiye - save karney ki jaggah C:\ hai. Is picture ka naam Logo.sys rakhiyey

    Aisa karney sey jab aap Windows 95/98 start karein gey to apna pyara sa chehra dekhein gey (agar dar na gaey to :lol )
    __________________________________________________ _____________

    agar aap Windows key ikhtitaam per yani close honey per bhi apna chehra hi dekhna chahtey hain to yeh kijiyey...

    apni 320x400 pixels ki 256 color ki picture bmp-format mein save kijiye aur ussey naam dijiyey logow.sys aur logos.sys aur save karney ki jaggah: c:\windows ho gi
    __________________________________________________ ______________

    Agar aap yeh chahtey hain Windows 95/98 ki start-picture bilkul bhi nazar na aaey to yeh kijiye...

    C-drive per aik file hai Msdos.sys (hidden file) issey talash kijiye aur write-protection hataiyey - ab is file ko Wordpad mein kholiyey aur aik line add kijiye

    Logo=0

    ab is file ko save kijiye - ab Start-window nazar nahin aaey gi...
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Windows 95/98 -start picture

    Thanks Dear If you are having for XP.
    then plz let me know that

    hum 95/98 mein start ki jaga apna name kesay likhin ga.

    i think autoexec.bat

    isi tarha ki kuch command ha.

    Is it.

    Waiting for your reply

    Regards,
    Baqar.

    Comment

    Working...
    X