Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Help Needed

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Help Needed

    Asslam-o-Alaikum

    Mere system ke saath aik problem ho raha hai kal meine C:\ Drive mein Win XP install ki aur Symantec Antivirus use kar raha hoon magar jab se Windows Install ki hai har 20sec se 30sec main aik message aata hai (See SCREEN SHOTS)

    Issko kis tarah Windows doubara Install kiye bagher solve karoon ?
    Attached Files

  • #2
    Re: Help Needed

    Open command prompt type in "net stop messenger"
    or click 'start' > 'run' and enter "services.msc"
    this will open the services applet,
    find the messenger service and stop it, then disable it.
    yeh kerny k baad ap koi bhi acha sa firewal instal kr lain NOD32 ,Kaspersky,Zone Alaram inn ma sy koi bhi kr lain ummiod ha k aap ka masla hal ho jay ga :)

    Comment


    • #3
      Re: Help Needed

      ik r baat bhi woh yeh k ager aap k pass xp sp1 ha kion k yeh masla iss ziyda tar iss ma aata ha tu aap us ko update karin sp2 best ha k sp3 kr lain r sp3 aap microsoft ki apni site sy hi update karin market sy cd ly kr na kery ga kion k market ma bahi tak sp3 orignal ma nahi aai ha r :)

      Comment


      • #4
        Re: Help Needed

        Rai bhai nay bilkull sahi jawaab dia hay, aap windows xp service pack 2 kar lein, aur yeh bhi check karain keh aap ka windows firewall enabled hay ya nahi

        Microsoft Windows Firewall

        aur behat ho ga aap service pack 3 yahaan say download kar lein

        WindowsXP service pack 3

        aik aur cheez agar aap network par hain to yeh bhi check karain

        Control Panel-> Network Connection yahaan par jo connection bhi aap hay paas hay iss par right click karain aur File and Printer sharing ko uncheck kar dein


        Comment


        • #5
          Re: Help Needed

          Rai bhai aur Designer 4U aap ka bohut bohut Thank U.

          Net Stop Messenger se masla solve ho gaya hai aur jahan tak SP2 aur SP3 ki baat thi tou main yehi samajh raha tha ke ye Service Pack 2 hai kyunke cd par tou yehi likha tha magar Properties main SP1 dekha raha tha. Aur Operating System installation mein Windows Firewall bhi install nahi hui.

          Waise iss ka kuch background batain gay aap ke yeh problem kun aati hai.

          Comment


          • #6
            Re: Help Needed

            Originally posted by designer4u View Post
            Rai bhai nay bilkull sahi jawaab dia hay, aap windows xp service pack 2 kar lein, aur yeh bhi check karain keh aap ka windows firewall enabled hay ya nahi

            Microsoft Windows Firewall

            aur behat ho ga aap service pack 3 yahaan say download kar lein

            WindowsXP service pack 3

            aik aur cheez agar aap network par hain to yeh bhi check karain

            Control Panel-> Network Connection yahaan par jo connection bhi aap hay paas hay iss par right click karain aur File and Printer sharing ko uncheck kar dein
            Service Pack 3 par kis tarah jump karoon yeh jo link aap ne diya hai ye tou MS wale CD's bech rahay hain aur uss main bhi PAKISTAN ka naam list main nahi hai free main tou nahi dai rahay aur haan LAN hi use karta hoon aur File and Printer Sharing ko uncheck karne se kya hota hai mere khayal se yeh tou Network par file sharing ko disable
            karta hai.

            Comment


            • #7
              Re: Help Needed

              simple alfaaz mein biyaan karoon to yeh aik tarah ka spyware hay jo keh net kay zariyay aap kay computer mein aa jata hay, aap windows xp service pack 2 kartay hain to iss mein iss spyware ka solution moujood hay, jo aap kay computer ko iss say clean kar deta hay, itna kafi hay naa...


              Comment


              • #8
                Re: Help Needed

                Originally posted by shehzad_umar View Post
                Service Pack 3 par kis tarah jump karoon yeh jo link aap ne diya hai ye tou MS wale CD's bech rahay hain aur uss main bhi PAKISTAN ka naam list main nahi hai free main tou nahi dai rahay aur haan LAN hi use karta hoon aur File and Printer Sharing ko uncheck karne se kya hota hai mere khayal se yeh tou Network par file sharing ko disable
                karta hai.
                bhai sab say pehlay aap ko kuch wazahat karta chaloon, windows xp jab bani thi to iss mein kuch arsay baad kuch problems aati shooroo ho gien thi, ab windows ko replace to nahi kar saktay thay, kafi loog issay istimaal kar rahay thay, to iss ka solution yeh nikala gia keh windows kay service pack bana diay giay, jis mein jo flaws thay windows mein un to sashi kar dia gia, windows service pack 3 jo hay woh totally security based pack hay, iss mein windows kay firewall ko improve kia gia hay. Meinnay to issay install bhi nahi kia, meray paas kaspersky maujood hay, iss ka firewall bohat powerfull hay, meray paas bhi service pack 2 hay install. Agar aap kay paas koi acha firewall/anti-virus hay to aap bhi service pack-3 install nahi karain.

                Aur File and Printer Sharing network kay liay hay, taqe aap kay computer mein koi spyware ya trojan nahi aa sakay.


                Comment

                Working...
                X