Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Problem

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Problem

    Assalma-0-ALaikom
    phir say problem kay saath aa gai main...
    mairay PC mein koi kehta hai RAM ka problem hai ....aur mujhay lag raha hai board ka problem hai.....
    jab PC on karo ....ya tu on nahin hotaa... jaisay pehlay bhi bataya tha....us ki LED on hoti hai aur saath beep daita hai music sa lagta hai....:khi:
    phir band karnay kay bad dobara on karo tu bhi display nahin aata..buht mushkiloon say display aata hai tu apni marzi say logon honay tak phir band ho jata hai PC......aur on karnay per F4 say open karnay ka msg aata hai....aur reason likha hota hai keh PC thermal event ki waja say band howa......zra bhi working hoti nahin...on tak hota nahin aur heat up hojana ...kuch samajh nahin araha.....
    pehlay windows ki problem samajh kar wondows install kieN...is doran bhi hang bhi ho raha tha...phir khud ba khud band bhi ho gaya...buht mushkil say windows install kieN.. plzzzzzz kia problem hai koi bataye...aur us ka kia hal hai pllzzz.....
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: Problem

    is ka elaj to shertiya hay laken mujhay der hay keh aap say ho nahain sekay ga
    sab say pehlay ye keh aap ka sys kherab nahain hay ye prob RAM ya processor ka hay.aap temam removeable parts ko alag kerain aur un ki achi tereh sefai kerain khas tor per processor ki aur puray pc ko air presure say saf kernay kay bad dobara fitting kerain

    Comment


    • #3
      Re: Problem

      ahan...chalain theek hai karain gay aisay...
      abhi aur remedies ka intizaar bhi karti hoon..:khi:
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #4
        Re: Problem

        legta hay aap prob solve kernay kay liye thread post nahain ker rehain belkeh posts main azafa kernay kay liye ker rehi hain

        Comment


        • #5
          Re: Problem

          ji ji .... 15000 posts kay saath yehi tu karna reh gaya hai......:kr:
          aur jaghain buht hain post counts barhanay kay liye ....
          aap nay is say pehlay bhi dust ka hi kaha thaaa... ab mairay pass camera wala mobile tak nahin hai jo main aap ko apna chamakta damakta CPU dikha sakooN....isi liye main is baat ko nahin maan rahi keh mairay PC mein gar bar Dust ki waja say hai....
          na maantay hoye bhi main nay aap ki baat ko respect di ......balkay main yeh bhi soch rahi thi...keh chemicals kay zariye mother board saaf karwaya jata hai ...main woh bhi kar dekhoon.....
          Last edited by *Rida*; 20 May 2008, 09:02.
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #6
            Re: Problem

            Originally posted by *Rida* View Post
            ji ji .... 15000 posts kay saath yehi tu karna reh gaya hai......:kr:
            aur jaghain buht hain post counts barhanay kay liye ....
            aap nay is say pehlay bhi dust ka hi kaha thaaa... ab mairay pass camera wala mobile tak nahin hai jo main aap ko apna chamakta damakta CPU dikha sakooN....isi liye main is baat ko nahin maan rahi keh mairay PC mein gar bar Dust ki waja say hai....
            na maantay hoye bhi main nay aap ki baat ko respect di ......balkay main yeh bhi soch rahi thi...keh chemicals kay zariye mother board saaf karwaya jata hai ...main woh bhi kar dekhoon.....
            ye hi hal aajkal kay logon ka hay uper say chamaktay chamkatay nezer aatay hain laken ander say...
            masla uper nahain aap ki slots main dust hay jo nazer nahain aati is bat ki shaid hi aap ko samjh aae laken mera bhi kafi tejerba hay
            ager dosray options aap ko mil jain to theek werna aik defa ye zaroor ker lana
            serf ram aur processor ko hi dekh lo masla yhain per hay
            aur apnay mother board ki kuch tafseel beta do takeh main us ka print dekh ker behter mashwera day sekon
            Last edited by naveed iqbal; 20 May 2008, 15:08.

            Comment


            • #7
              Re: Problem

              loagooN per tu aap ka tajziya khoob hai MASHALLAH...me bhi agree karti hoon....
              miaray pass PIV hai... 256 RAM kay sath.... 2.4 G htz hai processor
              ab RAM hardaware shop per hai ..repairing kay liye.....


              Last edited by *Rida*; 23 May 2008, 08:16.
              For New Designers
              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

              Comment


              • #8
                Re: Problem

                Aap Casing Ko Open Kr K Deky K Kahi Processoer K Fan To Slow Nahi Chaltta Aur Band To Nahi1,aur Dosra Agr P2/p3 Start K Version Ha Aap K Pc To Processor Ki Jumper Setting Check Kry Kahi Us Ki Proper Configuration Na Hui Ho Tb B Problem Kerta,ram K Agr Problem Hota To Windows Installation M Kafi Problem Deti,mgr Jo Problem Aap Bta Rahi Yh Wasy Mother Board Us K Bad Ram Phr Processor K Atta Aap Ram Ko Bilkul Nikal K Phr Beep Suny Agr Ram Lagany S B Usi Trha Aur Utni Hi Beep Deta To Phr Ram K Ho G Aur Agr Ram Nikal K Aur Laga K Beep M Farq Ata To Phr Vga Card K B Problem Ho Skta, Pci Slot P Vga B Laga K Check Kr Le.
                Allah Hafiz

                Comment


                • #9
                  Re: Problem

                  Aap pehle RAM ko nikalkar pencil eraser se halke se saaf kijiye phir dobara lagakar dekhe, humidity ki wajah se bhi problem hoti hai. Monitor ka cable bhi check kijiye, ho sakta hai kahin se cut ya toot gaya ho. Agar Cmos main kuch changes kiye ho toh bhi kabhi kabhi problem hoti hai.... Clock speed sahin nahin ho toh bhi problem hoti hai. Thandi jagah par apne PC ko rakhiye...
                  :insha:Saari Duniya Main Aman Ho

                  Comment


                  • #10
                    Re: Problem

                    fsham aur astro ...buht shukriyaa reply ka aur suggestions ka :)
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #11
                      Re: Problem

                      Rida , You are welcome :)
                      :insha:Saari Duniya Main Aman Ho

                      Comment

                      Working...
                      X