Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Problem ... Problem ... Problem...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Problem ... Problem ... Problem...

    Assalam-0-Alaikom
    1.
    mairay PC mein nahin maloom kia gar bar hai.....jab start karo tu kabhi kabhar tu bilkul sahih tarah say windows start ho jati hai....
    aur kabhi kabhar....CPU ki sirf green LED" on" nazar aati hai........aur Monitor per show hota hai " No signal input " ......kai martaba plug nikalnay ya CPU button say hi on , off karnay kay kafi dair bad PC start hota hai......

    2 .
    health kay hawalay say kuch websites main nay aisi dekhi hain......jo apni site ki membership mangti hain...kuch maloomat faraham karnay kay liye.......
    website per woh information nahin daitiN jo hamain chahiye...balkay us kay liye subscribe karna parta hai aur phir hamari ID per free newsletter send kia jata hai......
    yeh sites subscribtion kiun mangti hain...jab yeh bhi likha hota hai keh woh hamara Email sell nahin karin gi....

    3.
    kuch sites per Flash contents mujoud hotay hain....jin per right click karo tu save ka option nahin hota....
    jaisay kuch greeting cards bhi aisy hotay hain........
    in ko save karnay ka koi tareeqa hai....?

    DO HELP ME PLZ.........................
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: Problem ... Problem ... Problem...

    aaap ki pehli problem ka hal main bataye deta hon, Apni RAM nikaal ke dobara lgain, problem solve ho jaye gi inshALLAH :)
    Last edited by Yaaram; 23 April 2008, 10:16.
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: Problem ... Problem ... Problem...

      mian nay kai martaba aisa kia hai....lakin dobara wohi problem ajata hai
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #4
        Re: Problem ... Problem ... Problem...

        Originally posted by *Rida* View Post
        Assalam-0-Alaikom
        1.
        mairay PC mein nahin maloom kia gar bar hai.....jab start karo tu kabhi kabhar tu bilkul sahih tarah say windows start ho jati hai....
        aur kabhi kabhar....CPU ki sirf green LED" on" nazar aati hai........aur Monitor per show hota hai " No signal input " ......kai martaba plug nikalnay ya CPU button say hi on , off karnay kay kafi dair bad PC start hota hai......
        aap k moniter kee cable main aik to fault hay aur secondly ram k sath prb hay..ager ap k pc main 2 rams hain to un kee jaga aps main change ker k dekhain.
        2 .
        health kay hawalay say kuch websites main nay aisi dekhi hain......jo apni site ki membership mangti hain...kuch maloomat faraham karnay kay liye.......
        website per woh information nahin daitiN jo hamain chahiye...balkay us kay liye subscribe karna parta hai aur phir hamari ID per free newsletter send kia jata hai......
        yeh sites subscribtion kiun mangti hain...jab yeh bhi likha hota hai keh woh hamara Email sell nahin karin gi....
        wo humain pagal banaty hain..
        zahir hay her banda apni mashoori chahta hay aur un kee site main akser ads huty hain jo un k liy earning hoti hay so es liy ap ko newzlater send kerty hian
        waisy ager koi ap ko health prob hy to ap share ker skati hian.:khi:


        3.
        kuch sites per Flash contents mujoud hotay hain....jin per right click karo tu save ka option nahin hota....
        jaisay kuch greeting cards bhi aisy hotay hain........
        in ko save karnay ka koi tareeqa hai....?

        DO HELP ME PLZ.........................

        ager ap firefox use ekr rahi ho to wo doanload ho jaty hian aur ager aap ny reall player install kia ho kisi b browser per to aap unain doanlod ker sakti ho

        Comment


        • #5
          Re: Problem ... Problem ... Problem...

          Originally posted by *Rida* View Post
          Assalam-0-Alaikom
          1.
          mairay PC mein nahin maloom kia gar bar hai.....jab start karo tu kabhi kabhar tu bilkul sahih tarah say windows start ho jati hai....
          aur kabhi kabhar....CPU ki sirf green LED" on" nazar aati hai........aur Monitor per show hota hai " No signal input " ......kai martaba plug nikalnay ya CPU button say hi on , off karnay kay kafi dair bad PC start hota hai......

          2 .
          health kay hawalay say kuch websites main nay aisi dekhi hain......jo apni site ki membership mangti hain...kuch maloomat faraham karnay kay liye.......
          website per woh information nahin daitiN jo hamain chahiye...balkay us kay liye subscribe karna parta hai aur phir hamari ID per free newsletter send kia jata hai......
          yeh sites subscribtion kiun mangti hain...jab yeh bhi likha hota hai keh woh hamara Email sell nahin karin gi....

          3.
          kuch sites per Flash contents mujoud hotay hain....jin per right click karo tu save ka option nahin hota....
          jaisay kuch greeting cards bhi aisy hotay hain........
          in ko save karnay ka koi tareeqa hai....?

          DO HELP ME PLZ.........................
          aap kay pc main derasal koi prob nahain
          aap meri bat say etfaq nahain kerain gi leken ye theek hay
          hemara mahol hay is kherabi ki wejha
          ye jo gerd her teref ur rehi hay ye aap kay pc kay chalnay main rukawat hay
          ager aap hardware kay baray main thora bahut janti hain to apnay pc say sari removable cheezon ko bikal ker us ki air presure say achi tereh sefai kerain aap ka masla hal ho gae ga

          Comment


          • #6
            Re: Problem ... Problem ... Problem...

            Walaikumasalaam,

            Solution 1:
            Acha ji, yeh link try karain, shayad problem solve ho jiay
            http://http://www.computerhope.net/issues/ch000438.htm

            Solution 2:
            Ji webistes pehlay kuch material provide karti hain taqe aap ko andaza ho giay keh un kay paas information kesi hay, phir aap ko registeration karwana parta hay agar aap ko material acha lagay, subscription keon maangti hain yeh to aap ko bhi shayad andaza ho issi liay keh woh aap ko information provide free mein nahi karna chahtay woh aap sa iss kay charges letay hain, america aur u.k mein loog apni health kay baray mein bohat conscious hotay hain to woh loog iss kay liay pay bhi kar detay hain, humaray yahaan net par pay karnay ka rewaaj nahi hay, hum chahtay hain sab kuch free mein mil jiay. Umeed hay aap ko clear ho gia ho ga

            Solution 3:
            Ji bilkul aesa possible hay, aap yeh softwares use karain

            Flash Saver Gold 6.5
            Download link

            Download embeded Videos and Flash files from anywhere!
            Download link

            Save Flash v4.1 Build 0029
            Download link
            Last edited by pakgates; 25 April 2008, 12:41.


            Comment


            • #7
              Re: Problem ... Problem ... Problem...

              sab dostoon ne bahut hi achhe jawab diye hain.
              designer4u aap ne jitne softwares ke link diye hain woh sab rapidshare ke hain aur aap ko maloom hai ke aajkal rapidshare waale membership maangte hain.aur in ke link free main kaam nahi karte hain.
              iss liye aap un softwares ke specific naam de den taake un ko kissi aur web se rida g download kar saken.
              Pakistan ke awam zinda dil aur bashaoor hain iss liye awam ko kamzor na samjha jaaye. ab mulk
              main jamhooriyat ho gee aur aamriyat ke haami bhaag jaayen ge.:insha:

              Comment


              • #8
                Re: Problem ... Problem ... Problem...

                javed bhai meinnay softwares kay naam mentioin kar diay hain, aap in softwares ko search kar lein, mein kisi aur server par upload karnay ki koshish karoonga


                Comment


                • #9
                  ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

                  Comment


                  • #10
                    Re: Problem ... Problem ... Problem...

                    Originally posted by the loser View Post
                    aap kay pc main derasal koi prob nahain
                    aap meri bat say etfaq nahain kerain gi leken ye theek hay
                    hemara mahol hay is kherabi ki wejha
                    ye jo gerd her teref ur rehi hay ye aap kay pc kay chalnay main rukawat hay
                    ager aap hardware kay baray main thora bahut janti hain to apnay pc say sari removable cheezon ko bikal ker us ki air presure say achi tereh sefai kerain aap ka masla hal ho gae ga
                    blower say saaf karti tu hoon.... lakin regularly nahin ....thanks for suggestion
                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • #11
                      Re: Problem ... Problem ... Problem...

                      Originally posted by designer4u View Post
                      Walaikumasalaam,

                      Solution 1:
                      Acha ji, yeh link try karain, shayad problem solve ho jiay
                      http://http://www.computerhope.net/issues/ch000438.htm

                      Solution 2:
                      Ji webistes pehlay kuch material provide karti hain taqe aap ko andaza ho giay keh un kay paas information kesi hay, phir aap ko registeration karwana parta hay agar aap ko material acha lagay, subscription keon maangti hain yeh to aap ko bhi shayad andaza ho issi liay keh woh aap ko information provide free mein nahi karna chahtay woh aap sa iss kay charges letay hain, america aur u.k mein loog apni health kay baray mein bohat conscious hotay hain to woh loog iss kay liay pay bhi kar detay hain, humaray yahaan net par pay karnay ka rewaaj nahi hay, hum chahtay hain sab kuch free mein mil jiay. Umeed hay aap ko clear ho gia ho ga

                      Solution 3:
                      Ji bilkul aesa possible hay, aap yeh softwares use karain

                      Flash Saver Gold 6.5
                      Download link

                      Download embeded Videos and Flash files from anywhere!
                      Download link

                      Save Flash v4.1 Build 0029
                      Download link
                      tamam solutions / softwares kay liye thanks...:)
                      For New Designers
                      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                      Comment


                      • #12
                        Re: Problem ... Problem ... Problem...

                        ji main nay check kia tha..lakin main history nahi rakhti...is option ko uncheck kia howa hai...is waja say shayed....nahin save hoi...khair yeh bhi kar kay dekhtay hain...:)
                        For New Designers
                        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                        Comment


                        • #13
                          Re: Problem ... Problem ... Problem...

                          Originally posted by *Rida* View Post
                          ji main nay check kia tha..lakin main history nahi rakhti...is option ko uncheck kia howa hai...is waja say shayed....nahin save hoi...khair yeh bhi kar kay dekhtay hain...:)
                          ye assan tareeqa he keynke ap ka PC waise bhi naraz he.waise ye azmoda nuskha he.ap sab se bari SWF file save karein.Mushkil wala ye he ke ap http://www.justdosoft.com/flashCatch...ashCatcher.exe download karlein,ap ke intenet explorer par eik sun ka nishan ajey ga.bas jab animaton play hojae tu us sun ko click karein phir save karlein. Magar zeyadatar SWF objects copyright protected hote hein tu zara sanbhal kar use karein lol
                          ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

                          Comment

                          Working...
                          X