Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Naya computer khardeetay waqat kin cheezoun ka khayal reakhna chaye ???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Naya computer khardeetay waqat kin cheezoun ka khayal reakhna chaye ???

    Originally posted by abdulmueid View Post
    Assalamualaikun Anchal Ji,

    Naya Computer lete waqt sabse pehle to aapko apni jeb dekhni hoti hay. Ji haan, sab se pehle aapko aik raqam fix karni hay. Iss January, jab main Pakistan main tha, Pentium 4 ki qeemat taqreeban 35000 se 40000 rupay tak thi. Yeh aik normal se PC ki qeemat hay. Ismain aapko Pentium 4, 2.8-3.0 GHz, 256MB DDR Ram, Built-in Graphics Card, 15 inch Monitor aur doosri regular cheezain milengi.

    Ab main aapko batata hoon apka apna PC kaise banayengay. Yeh thora mehenga to parega lekin ismain faida yeh hoga ke dukaandaar aapko dhoka nahi de sakega aur aapko apna man-pasand computer milega.

    Computer main sab se important CPU hota hay. Doosri cheezain jaise ke Mouse, Keyboard, Monitor, Camera wagera itni important nahi hoti aur kisi bhi kisam ke mouse, keyboard se kaam chal jata hay...

    Sabse pehle aap choose karen ke aapko kaisa PC banana hay? Normal school wagera ke kaam keliye, Office ke kaam keliye, Games khelne keliye... Main aapko aik UP-TO-DATE, POWERFUL pc ki poori specifications doonga.

    Processor: Pentium 4 ke aane ke baad ab iski kayi aqsaam nikli hain jaise ke Pentium 4, Pentium 4 HT, Pentium 4 HT EXTREME, Pentium 4 HT EXTREME with PRESCOTT Technology. In tamam precessors ki apni aik khasiyat hay. Hum lengay Pentium 4 HT EXTREME jo ke aaj kal world-wide standard chal raha hay aur itne problems bhi nahi deta.

    Motherboard: Motherboard ko select karna itna aasaan nahi jitna dikhta hay. Aajkal china ke motherboards market main itne bhar gaye hain ke koi hadd nahi. In motherboards ke features to bohut ache hotay hain lekin zyaada time chalte nahi hain. Meri choice hamesha Intel hay. Intel ke motheboards hamesha behtareen quality ke hotay hain. Ab aap ne apne aik Intel ka motherboard lena hay jo aapke processor ke saath compatible ho. Hum lenge INTEL EXTREME EDITION ki series ka koi bhi motherboard lengay. Ismain PCI Express ka slot bhi hota hai jiski detail main aaje bataunga. In ki qeemat 10000 ke andar andar hoti hay.

    RAM: Ji haan, RAM kisi bhi computer ka bohut hi important hissa hoti hay. Bohut se log jin ke paas pentuim 4 hain aksar shikayat karte hain ke unka computer kuch programs install karne ke baad kaafi slow ho gaya hay. Iska solution RAM hay. Poore PC ki overall performance RAM par depend karti hay. RAM ka matlab hay Random-Access-Memory. Jab aap programs chaletay hain to uska saara data aapki RAM main jaata hay, jab aap program main misaal ke tor par files kholtay hain ya nayi files banate hain to woh bhi RAM main hi rehti hain. Jab aap program close karte hain tab RAM free hojati hay.
    Hamare PC keliye hum DDR2 ,jo ke standard hay, use karengay. Hum 512 ya iss se zyaada RAM use karengay. RAM keliye ache brands Samsung, Kingston aur LG hain.

    Hard-Drive: Hard Drive aap apni zaroorat ke mutabiq laga sakte hain. Main minimum 20GB suggest karoonga kyunke Windows ke saath programs install karne keliye aapko kaafi jaga chahiye hogi. Aajkal har game 1GB se oopar hoti hay aur heavy softwares bhi taqreeban 500MB par pohunch gaye hain. HardDrive keliye Sea-Gate ya phir Maxtor ki hard-drives lain.

    Graphics Card: Kya aap games kheltay hain? Kabhi aapne socha hay ke aapki games itni slow ya kabhi kabhi chalti kyu nahi hain? Iska secret Graphics Card hay. Aapke computer ki screen par jo kuch bhi display hota hay woh pehle aapke graphics card main process hota hay phir aapko nazar aata hay. Aaj kal Games aur Designing softwares itnay complex hain ke normal graphics card, jo motherboard par built in hota hay, inko handle nahi kar sakta. Issi liye hum alag se aik graphics card lengay. Graphics Card ki dunya main aajkal do naam sabse mash'hoor hain. ATi aur Nvidia. Yeh do companies BEST graphics card manufacturers hain. Graphics card lete waqt yeh zaroor dekhain ke ismain Video MEMORY kitni hay. Aajkal 128MB normal range hay. Agar aap chahain to aap 256MB video memory wala card bhi le sakte hain. Yaad rakhiye, jitni zyaada memory, utni achi graphic performance. Agar aap ATi lena chahain to main suggest karoonga ke aap ATi Radeon 9800 series ya phir Radeon X series (agar available ho to, Expensive) ka card khareedain. Agar aap Nvidia lena chahain to Nvidia GeForceFX series ka card lain. Jaise ke maine oopar motherboard ki baat waqt PCI EXPRESS ka zikr kia tha. PCI EXPRESS graphics ki dunya main naya inquilaab hay. Iss ke zariye aap normal video card ke muqable main 16x zyaada powerful cards istimaal kar sakte hain. Dono ATi aur Nvidia ki series main normal AGP versions aur PCI EXPRESS versions ke cards aap le sakte hain.

    Sound Card: Main sound par itna zor nahi doonga kyunke aajkal saare Intel ke motherboards 5.1 Surround Sound compatible hotay hain. Yaani ke agar aap apne PC ke saath home theater system lagana chahain to aapko kisi additional hardware ki zaroorat nahi paregi.

    Network Card: Agar aap LAN user hain to aapke liye network card bhi bohut zaroori hay. Waise to Intel ke motherboards main LAN interface built-in hota hay lekin kuch models main nahi hota. Isliye agar aap Network Card lena chahain to main suggest karoonga ke aap 3COM ya Zoltrix ke cards istimaal karen.

    Modem: Ji haan, aajkal kaafi users keliye modem aik masla bana huwa hay. Mere khayaal se modem koi bhi ho, agar aapki telephone line theek nahi hay to aapka modem bhi theek nahi chalega. Main yehi suggest kar sakta hoon ke apke wall-point se pc tak jo taar (wire) aata hay wo achi quality ka use karain.

    CD-ROM: Sab se behtareen solution yeh hay ke aap kisi bhi ache brand ka COMBO-DRIVE le lain. Combo-Drive main aapko CD-Rom, DVD-Rom aur CD-Writer aik saath milega. Aap alag alag yeh sab lengay to kaafi mehenga parega issi liye main COMBO-Drives ko pasand karta hoon.

    In sab cheezo ke price har jaga par alag alaga hongay... Aap computer ki dukano aur markets main ghoomain, price ka andaaza lagaen aur phir saare parts alag alag khareedain. Ismain aik aur faida yeh bhi hay ke aapko har part par alag alag guarantee milegi. Jab computer kharab hojaye to dukandaar ko poora computer dene ke bajaye aap apna kharaab part alag kar ke repair/replace karwa lain.

    Bas ab Ijazat chahoonga.

    Abdul Mueid
    :jazak:
    ALLAH AAP KO SADA KHOOSH RAKHAIN. AAMEEN!
    :oldie:
    S T I L L W A I T I N G
    sigpic

    Comment

    Working...
    X