Hindustan mein angrezi hukumat se baghawat karney wale Haidar Ali aur Tipu sultan ki khandan ki ek ladki jise Britain ne izzat aur award se nawaza.
Wo ladki thi Noor Inayat Khan, wo hazrat Inayat Khan ki beti thi, Hazrat Inayat khan wohi shakhs they jinhone Hindustan se Sufism ko Western countries mein pahunchaya. Unki family England mein rahney lagi, Wo bahut hi khubsurat ladki thi, Noor Inayat Khan Sufi Music ki shouqin thi, Veena bajaney ka unhen shouq tha, wo bachhon ke liye kitabein bhi likhti thein. Unhone tarikh mein wo muqam haasil kiya jiska wo haqdar thi, England hukumat ke baaghi hotey huwey bhi unhone Britain ke liye JASOOSI ki.
Second World War ke waqt wo Spy ban gayi, jab France ne Nazi Germany per hamla kiya to wo Britain ki SPY ban kar France chali gayi.
Wahan rahtey unhone wo bahaduri ka kaam kar dikhaya jiske liye usey George Cross Award award se Noor ko nawaza.
1944 mein unhen Germany mein 3 deegar saathiyon ke saath giraftar kar liya gaya, wahan se DAKAU camp le jaya gaya, jahan unhen 12 September 1944 ko goli maar di gayi, uss waqt us ki umar 30 saal ki thi.
Noor Inayat Khan ek bahadur aurat thi, Dakau camp mein zanziron se bandh kar rakha gaya, uske saath ghair insaani soolooq kiya gaya, torture kiya gaya, itna torture honey ke baad bhi Noor ne koi raaz zahir nahin kiya. Wo sach mein ek mazboot aur bahadur shakhsiyat thi.
Noor ko gaye 60 saal ho chukka lekin afsos unhen koi nahin jaanta, issi liye yeh post main yehan laga raha hoon,
England based Sharabani Basu ne Noor Inayat Khan ki biography ke uper qalamband karne ki koshis ki hai.

Comment